You are on page 1of 1

aey mere watan taiz qadam, taiz qadam ho

phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho

[repeat x2]
aey mere watan, aey mere watan
aey paak chaman, aey paak chaman

jaana hai hamain waqt ki riftaar se aage
sooraj ki kiran ham se na pehle kabhi jaage
quwwat ke, akhuwwat ke jo mazboot hon dhaage
toote na kabhi azm, na himmat kabhi kam ho
phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho
aey mere watan, aey mere watan
aey paak chaman, aey paak chaman
aey mere watan taiz qadam, taiz qadam ho
phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho
har haath mein ek shama ho, aur woh na madham
din raat safar jaari-o-saari rahe peham
har fard ko ho zaat se yeh mulk muqaddam
mitti jo kabhi maange dil-o-jaan to baham ho
phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho
aey mere watan, aey mere watan
aey paak chaman, aey paak chaman
aey mere watan taiz qadam, taiz qadam ho
phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho
har ehl-e-watan chaahe woh duniya mein kahin ho
millat ki woh izzat ka, hamiyyat ka ameen ho
Allah pe, Nabi pe usey imaan-o-yaqeen ho
is mulk-e-khuda daad pe maula ka karam
phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho
aey mere watan, aey mere watan
aey paak chaman, aey paak chaman
aey mere watan taiz qadam, taiz qadam ho
phir tujh se milaey wo qadam jis mein ke dam ho
[repeat x2]

You might also like