You are on page 1of 3

Bhale Dino Ki Baat Hai

Bhali Si Ek Shakal Thi

Na Yeh Husn-E-Taam Ho

Na Dekhne Main Aam Ho

Na Yeh Ke Woh Chale To Kehkashan Si Guzar Lage

Magar Woh Saath Ho To Phir Bhala Bhala Safar Lage

Koi Bhi Rut Ho Us Ki Chhab

Fiza Ka Rang-O-Roop Thi

Woh Garmiyon Ki Chhaon Thi

Woh Sardiyon Ki Dhoop Thi

Na Muddaton Juda Rahe

Na Saath Subh-O-Shaam Ho

Na Rishta-E-Wafa Pe Zid

Na Yeh Ke Izn-E-Aam Ho

Na Aisi Khush Libasiyan

Na Sadgi Gila Kare

Na Itni Be Takallufi

Ki Aaina Haya Kare

Na Ikhtilaat Main Woh Ram

Ki Bad Maza Ho Khwahishein

Na Is Qadar Supurdgi

Ki Zach Karein Nawazishen

NA Aashiqui Junoon Ki
Ki Zindagi Azaab Ho

Na Is Qadar Kathor Pan

Ki Dosti Kharab Ho

Kabhi To Baat Bhi Khafi

Kabhi Sukoot Bhi Sukhan

Kabhi To Kasht-E-Zafraan

Kabhi To Udasiyon Ka Ban

Suna Hai Ek Umar Hai

Muamilaat-E-Dil Ki Bhi

Visaal-E-Jaanfiza To Kya

Firaaq-E-Jaangusal Ki Bhi

So Ek Roz Kya Hua

Wafa Pe Behes Chidh Gayi

Main Ishq Ko Amar Kahoon

Woh Meri Zid Se Chid Gayi

Main Ishq Ka Aseer Tha

Woh Ishq Ko Qafas Kahe

Ke Umar Bhar Ka Saath Ho

Woh Bad-Taraz-Hawas Kahe

Shajar Hijr Nahi Ki Hum

Hamesha Pa Ba Gul Rahe

Na Door Hain Ke Rasiyan

Gale Main Mustaqil Rahein


Muhabbaton Ki Vusatain

Hamare Dast-O-Pa Main Hain

Bas Ek Dar Se Nisbatein

Sagaan-E-Bawafa Main Hai

Main Koi Painting Nahi

Ki Ek Frame Main Rahoon

Wahi Jo Mann Ka Meet Ho

Ussi Ke Prem Main Rahoon

Tumhari Soch Jo Bhi Ho

Main Is Mizaaj Ki Nahi

Mujhe Wafa Se Bair Hai

Yeh Baat Aaj Ki Nahi

NA Uska Mujh Pe Maan Tha

Na Mujhko Us Pe Zaam Hi

Jo Ahad Hi Koi Na Huyi

Toh Kya Gham-E-Shikastgi

So Apna Apna Rasta

Hansi Khushi Badal Diya

Woh Apni Raah Chal Padi

Main Apni Raah Chal Diya

Bhali Si Ek Shakal Thi

Bhali Si Uski Dosti

Ab Us Ki Yaad Raat Din

Nahi, Magar "Kabhi-Kabhi"

You might also like