You are on page 1of 8

Mera

Mera
Mera
Mera
Mera
Mera
Mera

dil
dil
dil
dil
dil
dil
dil

badal
badal
badal
badal
badal
badal
badal

day
day
day
day
day
day
day

Mera Ghaflat mein dooba dil badal day


Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Hawa-o-Hirs wala dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Khudaya Fazl farmaa dil badal day
Khudaya Fazl farmaa dil badal day
Badal de Dil ki duniya dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Gunah gaari main kab tak Umr kaatoun
Gunah gaari main kab tak Umr kaatoun
Badal day Mera rasta dil badal day
Sunoun Main naam Tera dharhkanon
Main
Sunoun Main naam Tera dharhkanon
Main
Maza aajaye Maula dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Hataaloun aankh apni Maa-siwa say
Hataaloun aankh apni Maa-siwa say

Jiyoun Mein Teri khatir dil badal day


Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan
Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan
Tu apna ghum ata kar dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Mera
Mera
Mera
Mera

dil
dil
dil
dil

badal
badal
badal
badal

day
day
day
day

Pada houn Teray dar par dil shikasta


Pada houn Teray dar par dil shikasta
Rahoun kyu dil shikasta dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Tera hojaoun itni arzoo hay
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Sehal farmaa musalsal yaad apni
Sehal farmaa musalsal yaad apni
Khudaya Reham farmaa dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day

Ragoon mein woh lahoo baki nahin hai


Woh dil, woh arzoo baki nahin hai
Namaz o roza o qurbani o hajj
Yeh sab baki hain, tu baki nahin hai
Aie Taiba, aiy Taiba, ummat ka safeena
Roh e zameen per koi nahin hai, aisa hai Madina
Kuch Makki, kuch Madani, ayetein Quraani
Hijrat ki, tha hukmay rabbani
Khairul anam, darood o salaam, Muhammad!
Ishq e Rasool, duaein houn qabool, azmat e Madina
Ya Tayba, Ya Tayba, ya dawa al-ayyana
Eshta`nalik wil hawa nadana.
Meaning
O Tayba, O Tayba
O cure of the patient
we missed you, and passion has called us to you
Qiblaati Baitullahi saabir, al-Laani yaumal-laki zaayeer
Ya turah haltaraani naazir, lilkaaba tug murnib aamaana
Tug murnib aamaana..
Meaning
My direction of prayer (my Qiblah), the house of Allah, Im patient
perhaps a day will come to visit you
I wonder, Will I be looking upon alkaaba
and being overwhelmed with its safety
Aie Tayba, aiy Tayba, ummat ka safina
Rooh e zameen per koye nahin hai, aisa hay Madina
Maidan e badr, jabl e Ohad, jazba e imani
Ajm o arab teri hee sultani
Fatima, Ali, Hassan o Hussain gharana
App rashadi, khalqa e sahaba, kiya hoga woh zamana
Aie Taiba, aiy Taiba, ummat ka safeena
Roh e zameen per koi nahin hai, aisa hai Madina
Kuch Makki, kuch Madani, ayetein Quraani
Hijrat ki, tha hukmay rabbani
Khairul anam, darood o salaam, Muhammad!
Ishq e Rasool, duaein houn qabool, azmat e Madina
Ya Tayba, Ya Tayba, ya dawa al-ayyana
Eshta`nalik wil hawa nadana.
Meaning
O Tayba, O Tayba
O cure of the patient
we missed you, and passion has called us to you

Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,


Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
Parh bethay kiya samajh ke bhala toor pe kaleem
Takkat ho deed ki to taqaza kare koi
Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na pyala hai,
Bhikari woh jisey hirs-o-hawas nay maar dala hai,
Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker
Sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker,
Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,
Gunahon ki lipatt sey, kayenat-e-qalb afsurda,
Iraaday muzmehal, himmat shikasta hoslay murda,
Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
Ke kis jhanjhaal mein guzri hein gharhiyan zindagani ki.
Khulasa yeh ke bus jull bhun ke apni roo-syahi sey,
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,
Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laaiq har amal se hath hein khali,
Yeh Tera ghar hai Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.
Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
Nahi jis ko saleeqa mangney ka, woh sawali hoon
Zuban gharke-nadamat dil ki nakas tarjumani per,
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zubani per,
Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.
Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon

Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan,
Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Daaiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khalqi Kulliini.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Daaiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khalqi Kulliini.
Na Koi Aap Sa Ho Ga Na Koi Aap Jesa Tha,
Koi Yusuf Say Poochay Mustafa Ka Husn Kesa Tha,
Zameen-o-Aasmaan Main Koi Bhi Misaal Na Mili.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Daaiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khalqi Kulliini.
Daleel-e-Zindagi Wo Hain Kamaal-e-Bandagi Wo Hain,
Koi Bhi Daur Ho Us Main Meraj-e-Aadmi Wo Hain,
Wohi Toh Deen-o-Duniya Hai Jo Baatain Aap Nay Kahin.
Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan,
Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Daaiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khalqi Kullini.
Rasulullah Habibulllah Imam Al Mursaleen,
Rasulullah Habibulllah Imam Al Mursaleen.
Koi Bhi Baat Ho Har Hukm Unka Mutabar Aisa,
Kay Un Ka Haan Nahin Kehna Bhi Hai Quran Kay Jesa,
Hadith-e-Paak Kehlaain Jo Baatein Aap Nay Kahin.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Daaiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khalqi Kullini.
Durrod Un Par Salaam Un Par Yehi Kehna khuda Ka hai,
Khuda Kay Baad Jo Hai Martaba Salle Ala Ka Hai,
Wohi Sardaar-e-Alam Hain Wohi Gham`Khwaar-e-Ummat Hain,
Wohi Toh Hashar Kay Maidan Main Sab Ki Shifaat Hain,
Shifaat Kay liye Sab Ki Nazar Un Par Lagi Ho Gee.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Daaiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khalqi Kulliini.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Daaiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulliini.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Daaiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khalqi Kulliini.
Maula Yaa Salli Wa Sallim Daaiman Abadan,
Ala Habibika Khairi Khalqi Kulliini

Allama Iqbals Bang-e-Dra

Dua
Prayer

Ya Rab! Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamana De


Jo Qalb Ko Garma De, Jo Rooh Ko Tarpa De
Lord, fill the Muslims heart with a desire so fervent
That it will set his heart aflame and stir his soul.

Phir Wadi-e-Faran Ke Har Zarre Ko Chamka De


Phir Shauq-e-Tamasha De, Phir Zauq-e-Taqaza
Light up again every speck of dust in the Valley of Faran.
Make us long again for beautiful sights, and create in us the urge to make demands.

Mehroom-e-Tamasha Ko Phir Dida-e-Beena De


Dekha Hai Jo Kuch Mein Ne Auron Ko Bhi Dikhla De
Give piercing vision to those deprived of sight,
and show to others what I have seen.

Bhatke Huway Aahu Ko Phir Sooay Haram Le Chal


Iss Sheher Ke Khugar Ko Phir Wusaat-e-Sehra De
Lead the stray gazelle back to the Sanctuary.
It has grown used to the city Give it back the vastness of the desert.

Paida Dil-e-Weeran Mein Phir Shaurish-e-Mehshar Kar


Iss Mehmil-e-Khali Ko Phir Shahid-e-Laila De
Stir up again the ruins of the heart with a commotion like judgment Day.
Let this empty litter once again seat a sweetheart a Layla!

Iss Dour Ki Zulmat Mein Har Qalb-e-Preshan Ko


Woh Dagh-e-Mohabbat De Jo Chand Ko Sharma De
In the darkness of this age give to every troubled heart
Scars of love that would shame the moon.

Riffat Mein Maqasid Ko Humdosh-e-Surraya Kar


Khuddari-e-Sahil De, Azadi-e-Darya De
Let the goals be as high as the Pleiades.
Give us the calm and poise of the shore, But the freedom of the sea.

Be Lous Mohabbat Ho, Bebak Sadaqat Ho


Seenon Mein Ujala Kar, Dil Soorat-e-Meena De
Let love be selfless and truth fearless;
Let our breasts be flooded with lightMake our hearts clear as crystal.

Ehsas Anayat Kar Asaar-e-Mosibat Ka


Amroz Ki Shuarish Mein Andesha-e-Farda De
Enable us to foresee the calamity that is coming;
In the midst of todays upheaval give us a vision of tomorrow.

Main Bulbul-e-Nalan Hun Ek Ujre Gulistan Ka


Taseer Ka Saail Hun, Mauhtaj Ko, Data De!
I am a nightingale making my lament, I am from a garden which has been ravaged.
I wish that my prayer would have effectGive to a beggar, bounteous Lord!
( Read Explanation here - )

You might also like