You are on page 1of 19

Pregnancy Calander Part I-1st Trimester

PREGNANCY Calendar
Congradulation!
Pregnacy aik exciting time aur great opportunity hai ye jannay k liay k aap k child ki kaisay growth aur development ho
rahi hai.itni zayada pregnancy information aaj kal books me,magazines aur websites me available hai k aap birth se
pelhay es sub ko kaisay cover ker sakti hen?
Es ko easy bunnanay k liay mein ye yahaan likh rahi hoon so that u got all information here.es me aap ko ye pata chulay
ga k weak-by-weak aap me aur aap k baby me kiya changes ah rahi hen during pregnancy.pregnacy k her weak me aik
description hai aap k baby ki development k barey me aur aap ki body me honay wali changes k barey me bhi.aap ko
yahaan khud ko aur khud k baby ko healthy rukhnay k liay important medical info bhi milay gi.
A Word About Due Dates & Trimesters:
Jab aap apni pregnancy ko announce kerti hen tu pelha question ye hi hota hai k aap hi expecting delivery date kiya hai?
aap k pelhay prenatal visit per aap ki health provider aap ko expected delivery date jannay me madada kerain gi,aap ki
EDD total 40 weeks aur ye aap k last menstrual period(LMP) se start hoti hai,aap ka baby asal me 38 weeks old hai--that's bcoz ap k last menstrual period k start honnay se 2 week pelhay aap k egg ki sperm se fertilization nahi hui thi.
Ye yaad rukhna zurori hai k aap ki due date sirf aik undaaza hai.zayada ter babies mom k LMP se lay ker 38 aur 42
weeks k dermayaan paeda hotay hen aur womens k samall percentage hi due date per deliever kerti hai.
Aik aur common term jo pregnancy k doraan aap k samnay aye gi wo hai Trimesters.aik pregnancy ko trimesters me
divide kiya jaata hai:ist trimester 1 week se 12 week k end tak hota hai,second trimester 13 week se 26 week k end tak
hota hai aur third trimester week 27 se pregnancy k end tak hota hai.
Getting Started:
Apni pregnancy k her week ko check kerain ye dekhnay k liay k aap k baby ki kaisay development ho rahi hai aur ye bhi k
aap me kiya changes ah rahi hen!
PREGNANCY Calendar
WEEK 1 WEEK 1 WEEK 1

WEEK 1 . . .

Your Baby's Development:


Ye pelha week actually aap ka menstrual period hai.kuin k aap ki expected delivery date(EDD) aap k last period k first day
se hi calculate ki jaati hai,ye week bhi aap ki pregnancy k 40 weeks me shamil hai but abhi aap ka baby conceive bhi nahi
hua.
Your Body:
Pregnancy k doraan aap ki healthy habits aur aap k baby ki health sath saath chalti hai.pregnacy se pelhay se hi aap apni
body ko motherhood k liay prepare ker k rukhain,pregnancy se pelhay aap ko chahiay:

Alcohol,drugs,aur tobacco ki cheezoon se avoid kerain,ye cheezain birth defects paeda kerti han jaisay k faetal
alcohol syndrome,respiratory problems(saans ki prblms),buchay k weight me kaami aur doseri health ki problems.

Apnay doctors se es baray me baat kerain k kon si medicine(drugs) aap doctor k mashveray se(prescription) lay
rahi hen aur kon si mashveray k baghairr(nonprescription OTC).aap ko khaas ahtiyaat kerni ho gi k aap kon si
medicine use ker rahi hen ya over-the-counter medicine aap k foetus(baby uder development) ko negatively effect
ker sakti hen.lakin doctor ki prescripe ki hui medicines aap health care provider k mashveray k binna mat
choorain.

Aisi diet use kerain jis me vitamins aur khaas torr per folic acid ki adequate amount ho.jo womens pregnant
honnay wali hoon wo daily 400 mirograms folic acid per day use kerain,folic acid ka intake baby k brain ki aur
spinal cord ki incomplete development k risk ko kam kerta hai jaisa k spinal bifida.apnay health care provider se
folic acid proper amount me lainay ki zuror baat kerain jab aap pregnant honnay wali hoon.
PREGNANCY Calendar
WEEK 2 WEEK 2 WEEK 2

WEEK 2 . . .

Your Baby's Development:


Ye shahid aap ko ajeeb lugay,but u r still not pregnant!es week k end me aap k egg ki fertilization sperm se ho gi
fertilization k barey me mazeed ap nichay body section me perhaan gi.
Aap k baby ki gender fertilization k time determine ho gi.46 chromosomes jo k genetic material bunnatay hen,sirf 2aik
egg ki teruf se aur aik sperm ki teruf se---baby ki sex determine kertay hen.ye sex chromosomes k name se jannay jatay
hen.her egg k pass aik X chromosome hota hai aur her normal sperm k pass aik X ya aik Y chromosome hota hai.ager wo
sperm jo aap k egg k saath fertilize ker raha hai X chromosome rukhta hai then u will hv a girl,aur ager sperm k pass Y
chromosome hai jo aap k egg k sath fertilize ker raha hai then u'll hv a boy.

Your Body:
Aap ki uterine lining jo k baby ko nourish kerti hai wo develop ho rahi hai aur aap ki body aik hormone secrets ker rahi hai
follicle-stimulating hormone(FSH).jo k aik egg ko mature kernay k liay release hota hai.es week k end me aap apnay
mestrual cycle k midpoint per hoon gi(ager aap ka regular 28-day cycle hai),aur ovulation ho gi(aap ki overy egg ko
fallopian tube me release ker day gi).
Ye wo time hai jab aap pregnant honnay wali hen.ager aap sexual intercourse kerti hen uss time ki protection keray binna
jab aap ne ovulate kiya,aap pregnant ho sakti hen,aap ka partner millions of sperms ejaculate kert hai jo k vagina k
through travel kertay hen,aur un me se hundred fallopian tube me chalay jatay hen jahaan aap ka egg wait ker raha hota
hai.un sub me se sirf aik egg aam torr per egg me penetrate kerta hai,aur fertilization hoti hi.jab ye hota hai aap pregnant
ho jati henalthough abhi tak aap me koi body change nahi ho raha hota.
PREGNANCY Calendar
WEEK 3 WEEK 3 WEEK 3

WEEK 3 . . .

Your Baby's Development:


Even aap ko abhi tak ye fel nahi ho ga that u r pregnant,lakin aap k ander baby grow bhi ker raha hai aur development
bhi!although abhi aap ki pregnancy start hui hai ,lakin qaam ker rah/rahi hai.fertilized egg ki kaheen divisions hoti
hen.taqreebun fertilization k 30 hours k bahud,ye 2 cells me divide hota hai,phir 4 cells me,phir 8 me aur phir ye
countinues divide hota rahta hai aur fallopian tube se uterus me chala jaata hai.jab ye uterus me hota hai tu ye cells ka
group aik tiny ball ki tara nazer aata hai jis ko morula kahtay hen.
Ab morula hollow ho jata hai aur es me fluid fill ho jata haiab ye blastocyst kahlata hai.es week k end per,blastcysts
khud ko endometrium(uterus ki lining) se attach ker laita hai.ye implantation kahlata hai.ye implantation uterus se aik
important connection haiye uterus ki lining(endometrium) foetus developing embryo ko nutrients provide kerti hai aur
wastes ko remove kerti hai.waqt k saath ye plantation site placenta me develop ho jaati hai.
Your Body:
Pregnant women ka adequate quantity me folic acid,calcium,protein,aur iron lenay baby ko nourish kernay k liay bahot
zuroori hai.folic acid jo k aap pregnancy k start honnay se pelhay hi lay rahi hen aik khaas torr per important hai kuin k ye
neural tube(wo structure jis se brain aur spinal cord buntay hen,jo k pregnancy k bahot early bunnti hai.
Protein ka intake pregnancy k doraan increase ker daina chahiay bcoz ye new tissues bunnanay me use hota hai.es k
saath calcium bones aur teeth ki development k liay bahot zuroori hai,so ye yaqeen ker lain k aap dairy products,leafy
gren vegetables,aur legumes ki good dose lay rahi hen.iron pregnancy k doraan bajoot zuroori hai bcoz continual baby ka
blood volume increase ho raha hai.iron k achay sources red meat,legumes,eggs,aur leafy green vegetables hen.
PREGNANCY Calendar
WEEK 4 WEEK 4 WEEK 4

WEEK 4 . . .

Your Baby's Development:


Pregnancy k 4 week,aap ka baby(jis ko embryo kahtay hen) 2 layers per mushtamil hota hai----the epiblast and
hypoblast-----jo layers bahud me baby k sub organs aur body parts me develop otai he.2 aur structure jo es doraan
buntay hen wo amnion aur yolk sac hen.amnion amnion fluid se fil hoti hai,jo k growing embryo ko surround aur protect
kerta hai.jab tak placenta ki complete development nahi hoti aur wo nourishment ka role nahi kerti,yolk sac blood produce
kerta hai aur embryo ko nourish kerta hai.
Your Body:

Es week baby uterus me implant honna jari rukhta hai,endometrium me khud ko deeply bury ker laita hai.implant honnay
k bahud,aap ka baby aik hormone human chorionic gonadotropin(HCG)produce kerna shoru kerta hai,jo k uterus ki lining
ko maintain rukhnay ka qam kerta ha.ye overy ko her month egg release kernay se roknay ka signal bhi send kerta hai,jo
k aap k monthly periods bhi rook daita hai.Kuch womens es week jis me implantation hoti hai k slight free movements aur
blood k stains bhi feel experience kerti hen aur wo es ko periods sumajh laiti hen bcoz ye aften uss time hi hota hai jab un
k monthly periods ki due date aati hai.
hCG wo hormone hai jis ko pregnancy tests me check kiya jata hai.es week pregnancy test ho sakta hai pregnancy ko
detect kernay k liay!hCG pregnancy ki symptoms bhi cause kerta hai jo es week zahir hoti hen.fatique,acing breasts,or
nausea jo aap ko ye yaqeen bhi dila sakta hai that aap k periods kisi din bhi start ho saktay hen kuin k pelhi pregnancy
symptoms premenstrual syndrome(PMS) jaisi hoti hen,lakin aap k expected periods nahi hoon gay.your pregnancy is well
on its way!
PREGNANCY Calendar
WEEK 5

WEEK 5

WEEK 5

WEEK 5 . . .

Your Baby's Development:


Ab tak embryo aik cells ka mass tha,lakin pregnancy k es point per aik khaas shakal bunni shoru ho jaati hai,neural tube
jis ne finally brain aur spinal cord me develop honna hota hai,embryo k top se bottom ki teruf run kerna shoru ker daiti
hai.aik bulge(outward swelling) embryo k centre me baby heart me develop hoti hai.es waqt placenta bhi develop hoti
hai.embryo mother se placenta aur es ki finger like projection jis ko chorionic villi kahtay hen k zeriay nourishment receive
kerta hai.
Your Body:
Ager abhi aap ko nausea nahi bhi hai tu bhi aap kuch foods se avoid hi kerain bcoz foodborne illnesses,jaisay k listeriosis
aur toxoplasmosis birth defects yahaan tak k miscarriage cause ker sakti hen.yahaan kuch foods hen jinhaan aap ne
avoid kerna hai.

Soft cheeses

Unpasteurized milk aur juices

Raw aur undercooked meats.

Raw eggs and foods containing raw eggs.

Raw shellfish

Pate(The top of the head)

Texoplasmosis soiled cat litter boxes se bhi phelta hai,es liay kisi aur ko pregnancy k doraan ye litter box clean kernay k
liay rukhain.
PREGNANCY Calendar
WEEK 6

WEEK 6

WEEK 6

Your Baby's Development:

WEEK 6 . . .

6th week se aap k baby k brain aur nervous system rapid speed se develop kertay hen.optic vesicals,jo k bahud me eyes
bunnatay hen,head ki side per develop honna shoru ho jatay hen,eshi tara passageways bhi jo k inner ear bunnatay hen.
Aap k baby ka heart es waqt beat kerna start ker daita hai,aur even es ko ulterasound examination se detect bhi kiya ja
sakta hai.aur digestive system aur respiratory system ki begainings bhi bunna shoru ho jati hen,es week me small buds
bhi appear hotay hen jo k arms aur legs me later grow kertay hen.
Babies ki length ko ful measurement kerna bahot difficult hai because un ki legs un k torse (The body excluding the head
and neck and limbs)k against curl hoti hen.babies often crown to rump measure kiay jatay hen heat to toe ki bajaye.es
week aap ka baby 0.08 inches(2 to 5 milllimeters) crown se rump tak measure kiya jata hai.
Your Body:
Es week common pregnancy complaints full force per hoti hen.aap extreme fatique feel ker sakti hen jaisay hi aap ka
baby pregnancy ki demands per adjust hota hai. aur tender, aching breasts aur nausea aur vomiting (morning sickness)
ye sub aap ko extremely feel ho ga.jaisay k es ka name hai morning sickness tu ye kisi hour bhi ho sakta hai aur pora din
bhi.aur ager noon tak aap ka sick stomach set nahi hota tu surprised honay ki koi zuroorat nahi hai.sirf nausea hi aap ko
toilet tak nahi lay ja sakti balkay hormonal changes aur kaheen doseray factors,kidneys extra hard qaam kertay hen tu ye
aap ko frequently urination kerayain gay.
PREGNANCY Calendar
WEEK 7

WEEK 7

WEEK 7

WEEK 7 . . .

Your Baby's Development:


Aap ka baby constantly aap ki uterus me life adapt ker raha hai.es week tak umbilical cord bunn jaati hai.ye aap k aur aap
k baby k dermayaan throughtout pregnancy aik connection hai,jo baby ko oxygen,nourishment provide kerti hai aur baby k
wastes ko dispose kerti hai.es k saath hi aap k baby ka digestive track aur lungs bunna jaari rahtay hen.
Kiya aap apnay baby ka face birth day per dekhnay k liay besaberi se intayzaar ker rahi hen?abhi tu kafi time perha
hai,lakin eshi doraan aap k baby ka face shape laita hai.mouth,nostrils,ears,eyes jo k kuch facial features hen es week
kafi wazaya ho jaatay hen.
Kiya aap apnay son ya daughter k saath ball khailnay ki kowaab dekh rahi hen?arm bud jo last week develop hui thi a
buss k end per hand bhi ah chukka hai,jo ik tiny paddle ki tara nazar aata hai.
Your Body:
Pregnancy se aap ki cervix me kaafi changes aati hen.es week se aap me aik mucous plug develop ho ga,jo cervical
canal ki opening per bunnta hai aur uterus ko protection k liay seal off ker daita hai(aap ye plug tab lose kerain gi jab aap
ki cervix dilate keray gi labor ki prepation k time).
PREGNANCY Calendar
WEEK 8

WEEK 8

WEEK 8

WEEK 8 . . .

Your Baby's Development:


Baby ki tiny fingers per hayraan hoti hen aur toes zindagi k pelhay din ki khush hai.wo fingers aur toes es week bunna
shoru ho jatay hen,aur arms elbows aur wrists per bend honna shoru ho jatay hen.eyes zayada wazaya ho jati hen.kuin k
ye pigment(color) retina(back of the eye) me develop kerna shoru ker daiti hen.

Aur intestines bhi longer hoti jaati hen aur baby k abdomen me in ki jaaga kam ho jati hai,es liay ye bahir nikaal aati hai
umbilical cord k saath 12 weeks tak rahti hai.
Ab tak wo buds appear ho jatay hen jo aap k baby k genitals me develop hotay hen,although ye itnay develop nahi hotay
k ye pata lugaya ja sakay k aap ka baby girl hai ya boy.
Your Body:
Pregnancy symptoms jaisay k missed period, nausea, extreme fatigue, aur tight clothes uterus ki swelling ki waja se aap
ko hayraan ker day gi k aap pregnant ho.aik bar ap pelhay home pregnancy test se aur blood aur urine tests se doctor k
office me ye confirmation ker choki hen k aap pregnant hen,aap ko first prenatal visit call aur schedule kerna chahiay,aap
ki pregnancy ko kaheen health care professionals se monitored honna chahiay,jin me obstetrician, nurse practitioner,
midwife, or family doctor.ager aap ki pregnancy ko high risk sumjha jar aha hai (for example,ager aap k multiple
miscarriages huay he,ya phir 35 se older hen,ya aap ko es se pelhay pregnancy ki complications hui hen),then aap ki
doctor aap k zayada ter check ker sakti hen aur kaheen barr aap k pregnancy course k doraan.
Good prenatal care aap k baby ki healthy aur safe delivery k liay bahoot zuroori hai,so ye yaqeen ker lain k es doraan
prenatal appointments top priority per rukhain.
PREGNANCY Calendar
WEEK 9

WEEK 9

WEEK 9

WEEK 9 . . .

Your Baby's Development:


Aap k baby k bottom per tail samall ho jaati hai aur phir es week disappear ho jaati hai.es k moqablay me aap k baby ka
head grow kerta hai---ye baki body se qadray bara hota hai esliay chest per curve ho jaata hai.es week aap ka baby 0.6
se 0.7 inches(16 se 18 millimeters) crown se rump tak aur uss ka weight 0.1 ounce(3 grames) ho jaata hai.nose ki tip bhi
develop ho jaati hai aur eyes k ooper skin k flaps eyelids ki shape me ah jatay hen,jo k aglay few weeks me noticeable
hotay hen.
Digestive system ki development jaari rahti hai.anus bunnti hai aur intestine longer hooti jaati hai,es k saath hi
reproductive features jaisay k testes aur overies es week me develop kerna start ho jaatay hen.
Es week aap ka baby first movements start kerta hai bcoz ab uss k muscles es week devlope hotay hen.ab ager aap
ultersound kerayain,ye movements visible bhi hoon gi,lakin ko aap kuch aur weeks tk feel nahi ker saktien.
Your Body:
In preparation for your first prenatal visit, take the time to familiarize yourself with your familay health history aur aap k
medical records dekhain?kiya aap k uss record me aur family health history me koi chronic illnesses,allergies,or surgeries
hen?kiya aap abhi koi doctor ki prescribe ki hui medicine use ker rahi hen?kiya aap koi aisa genetic disorder jaanti hen jo
k aap ki family me pelhay se hi ho?kiya aap ka menstrual cycle regular tha aur aap ki koi past pregnancies thien?kiya aap
ne alcohol use kit hi ya phir smoke kiya tha?aap ki exercise habits kiya hen?ye wo cheezain hen jo aap ki health care aap
se discuss ker sakti hen,so ye zuroori hai k aap health care ko visit kernay se pelhay ye informations ready rukhain.
PREGNANCY Calendar
WEEK 10

WEEK 10

WEEK 10

Your Baby's Development:

WEEK 10 . . .

Week 10 tak aap k baby k sub vital organs bunn chokay hen aur aik saath apnay qaam ker rahay hen.external changes
jaisay k fingers aur toes ki separation aur tail disapear hoti hai.internal development bhi hoti rahti haimounth k ander tooth
buds bunnti hen,aur ager aap ka son hai tu uss k testes male hormone testosterone produce kerna shoru ker daittay hen.
Congentital abnormalities 10 week k bahud develop nahi ho saktien.ye embryonic period k end ko bhi mark kerta hai--aam torr per,ab embryo ka wazaya torr per human appearance hai aur aglay week k start take s ko foetus consider kiya
jae ga.
Your Body:
Aap ka prenatal visit es week k end es time per aap ki life me aik significant event ho ga doctor k office me.aap k series
me tests aur checks hoon gay jis me ap ka weight aur blood pressure bhi check ho ga.aap ka external abdominal
examination bhi ho ga jis me aap k baby ka size aur position heck ki jaye gi aur aap ka urine test bhi ho ga.aap k es first
prenatal visit per aap ki health care aap ko thoroughly check keray gi jiss me internal examination aur breast exam bhi ho
ga.ap ki health care provider aap se bahot sarey question pochay gi like aap ki medical history aur family health problems
etc.ye determine kernay k liay k aap k baby ko koi genetic disease ka risk tu nahi hai,aik aur cheez aap ki health provider
check keray gi?aap k baby ki heartbeat!jis me Doppler stethoscope use ho gi,aap es ko first time soonay gi.
Jaisay hi aap apni first appointment,ghalbun aap ki health care provider aap ko blood test k liay bhejay gi ye jaannay k liay
k aap vericella,measles,mumps,aur rubella(german measles) se immune hen,aur aap ki blood type aur Rh bhi determine
kernay k liay.
PREGNANCY Calendar
week 11 week 11 week 11 week 11 . . .
Baby's Development:
Es week se lay ker week 20 tak,aap ka baby rapidly grow keray gasize me 2 inches(5cm) se 8 inches(20cm) tak izaafa
ho ga crown se rump tak.es k saath hi baby ko zayada nutrients provide kernay k liay placenta me blood vessels ka size
aur numbers bhi increase hota jaye ga.
Facial development jaari rahay gi jab k ear apni asal position me head k sides per move ker jain gai.ager aap ab apnay
baby ki picture dekhain tu aap sochain gi k aap ka baby bahot genius ho gabcoz baby ka head us ski pori body ki half
length k beraber ho ga!
Although aap k baby k reproductive organs rapidly develop ker rahay hen,external genitals boys k aur girls k 11 th week k
end tak aik jaisay nazer ayain gay.ye 14th week me clearly differenciate hoon gay.
Your Body:
Baby ko nourish kernay k liay aaap ko weight gain kernna ho gaaur pregnancy k course me bahot sarey cases me
weight gain 25 to 35 pounds (11.33 to 15.87 kg) recommend kiya jaata hai.ager aap pregnancy se pelhay over weight ya
under weight han,tu aap ki health care provider aap ko weight gain ki different recommendations kerain gi.
PREGNANCY Calendar
week 12 week 12 week 12 week 12 . . .
Baby's Development:
Aap k baby ka brain develop honna jari rahta hai,aur tiny fingernails aur toenails bunna shoru ho jatay hen,vocal ords es
week bunntay hen jo k aap k first trimester k akhir hai.
Aap k baby ki kidneys qaam ker rahi hen!amniotic fluid swallow kernay k bahud aap ka baby es qabil hai k wo apni body
se urine pass ker sakay.ab intestine bhi abdomen me adjust hoti hai bcoz wahaan a buss k liay itni space hai k wo
wahaan apni jaga bunna lay.

Your Body:
Kisi ne aap ko bataya hai that u have "pregnant glpw"?ye sirf e ski khushi nahi hai that u are going to have a babyes
smoother aur zayada radiant skin ki kuch physiological reason bhi hai.blood volume ka increase honna aur pregnancy
hormones ka aik saath qaam kerna ye sub aap ko ye glow daita hai.greater blood volume aur bhi zayada blood vessels
me laata hai aur hormones oil gland secretions ko increase kerta hai aur es sub ka result flushed,plumper,smoother skin
appearance hai,kabhi kabhi increased oil glands temporary acne bhi cause kerta hai
Pregnancy Calender Part II-2nd Trimester

PREGNANCY Calendar
week 13 week 13 week 13 week 13 . . .
Baby's Development:
Jaisay he aap second trimester start kerti hen,aap ki placenta develop ho chooki hoti hai aur aap k baby ko
oxygen,nutrients provide ker rahi hoti hai aur waste disposal bhi ho rahi hoti hai.placenta hormones bhi produce kerti hai
jaisay progesterone,estrogen jo k pregnancy ko maintain kernay me help kertay hen.
Ab se,baby k eyelets aik saath fuse ho jatay hen jo k eyes ko protect kertay hen jaisay hi wo develop hoti hen.jab aap
apnay new born ko ghar laati hen tu aap ye bhi wish kerti hen k aap ka baby eyes close keray so that aap rest ker sakain.
Es week aap ka baby es qabil bhi ho ga k apna thumb apnay mouth me daal sakay,although uss k sucking muscles abhi
tak develop nahi huay.
Your Body:
Aap ki first prenatal appointment per,aap ki health care provider shahid aap ko prenatal vitamins ki prescription bhi
day.healthy diet k saath in supplements ka laina es baat ko ensure keray ga that aap ka baby additional vitamins aur
minerals lay raha hai jaisa k folic acid,zinc,iron and calcium etc jo k growth aur development k liay zuroori hen.apnay
pharmacist se baat kerain vitamins lainay k best way k motalik,like in ko food k saath laina chahiay ya phir beverages k
saath.
PREGNANCY Calendar
week 14 week 14 week 14 week 14 . . .
Baby's Development:
Es week tak,kuch fine hairs baby k face per develope ho chookay hoon gay.ye soft colorless hairs languo kahlatay
hen,aur ye aap k baby ki pori body ko cover ker lain gay jab k ye delivery se kuch pelhay shed ho jayain gay.
Ab tak aap k baby k genitals fully develop ho chukay hen,jab k ab bhi in ko ultrasound examination se detect kerna difficult
hai.es k saath aap ka baby thyroid hormones produce kernna shoru ker day gab coz thyroid glands matured ho chukay
hen.ab aap k baby ka weight almost 1.6 ounces(45 grams) aur 3.5 inches(9 cm) long ho ga crown se rump tak.
Your Body:
Kuch circumstances me (for example,ager aap 35 se older hen) ,aap ki health care provider aap se amniocentesis test
discuss keray gi,ye wo test hai jis me fetus k ander abnormalities detect ki jaati hen,jaisay k down syndrome .es test me
aik bahot hi thin needle amniotic fluid me insert ki jaati hai jo k uterus me baby ko surround ker raha hoota hai aur aik fluid
ka sample lay ker uss ko analyze kiya jaata hai.amniocentesis se thora sa miscarriage ka risk bhi hoota hai ,so apni
health care provider se es k risks aur advantages ko bhi discuss kerain.
PREGNANCY Calendar
week 15 week 15 week 15 week 15 . . .
Baby's Development:

Parents aften apnay newborns ki skin k barey me amzed hotay hen,aap k baby ki skin continuously develop ho rahi
hai,aur ye itni thin aur translucent hoti hai that aap es se blood vessels bhi deikh saktay hen,aur sir per aur eyebrows per
hair growth jaari rahti hai,ab aap k baby k ears almost sahi position per hain,although ye abhi bhi thoray head se low hen.
Anderooni torr per ap k baby ka skeletal system develop honna jaari rahta hai aur muscles bhi continuesly develop ho
rahay hen aur aap ka baby bhi shahid apnay head, mouth, arms, wrists, hands, legs, aur feet se kafi sari movements ker
raha hai.
Your Body:
Ab wo stage hai jab women apna abdomen ki swelling ko fel kerti hen aur maternity cloths bhi purchase kerti hen.bahot
sari women k liay ye joyful bhi hoota hai aur frightening bhi.ye feel kerna normal hai that aap aik emotional roller coaster
per hen(aap ko apnay hormones ko thank kerna chahiay).aik aur cheez jo aap feel ker rahi hoon gi?scatterbrained.even
bhot sari organized women ye report kerti hen k pregnancy se un ko forgetfull aur clumsy feel ho raha hai aur ye k they r
unable to concentrate.life me stress ko minimize kernay ki koshish kerain aur apnay mental lapses ko cover kerain---ye
temporary hen.
PREGNANCY Calendar
week 16 week 16 week 16 week 16 . . .
Baby's Development:
Ab aap k baby ka weight 3.9 ounces(110 grams) aur crown se rump tak us ski length 4.7inches(12cm) hai.ab aap ka baby
apnay head ko erect ker sakta hai aur uss k developed facial muscles uss ko different expressions daina allow kertay
hen,jaisa k squinting aur frowning.
Your Body:
Weeks 16 aur 18 k drmyaan ho sakta hai aap ki health care provider aap ko maternal blood screening test keranay ko
kahay jo k triple marker test ya triple screen bhi kahlata hai.jo k alpha-fetoprotein(AFP) ko measure kerta hai,ye wo
protein hai jo k fetus produce kerta hai,aur pregnancy hormones hCG aur estriol ko bhi mother k blood me measure kerta
hai.triple marker test moms ko ye paata daita hai k un k baby ko neural tube defects jaisa k spina bifida ya chromosomal
abnormalities jaisa k Down syndrome ka risk tu nahi hai.1,000 womens me sirf jo ye test kerati hen sirf 50 k abnormal
results hotay hen,laikin sirf aik ya 2 k babies ko actually ko prblm hoti hai.apni health care provider se es test k risks aur
advantages ko bhi discuss kerain.
PREGNANCY Calendar
week 17 week 17 week 17 week 17 . . .
Baby's Development:
5.1 inches(13cm) crown se rump tak aur weight 4.9 ounces(140 grams),aap ka baby abhi bhi kafi tiny hai.
Placenta aap k baby ko fully nourish kerti hai aur oxygen provide kerti hai aur wastes ko bhi remove kerti hai.ab es me
thousands of blood vessels hooi hen jo k aap ki body se nutrients aur oxygen aap k developing baby tak laati hen.
Your Body:
App ne ye baat bhi notice ki ho gi that aap ki breasts bhi pregnancy k shoru hotay hi ab tak kafi change ho choki hen--breasts me zayada blood flow kerta hai,aur glands jo milk secrete kertay hen tezi se grow ker rahay hen aur breastfeeding
ki preparation bhi ker rahay hen.ye aap ki breast ka size bhi increase ker dain gay(aur bahot sari women ka 1 se 2 cup
sizes increase hota hai) aur jis se veins bhi visible honay lagti hen.pregnancy k doraan different sizes me supportive bras
khareed lain apni growing breasts k liay.
PREGNANCY Calendar
week 18 week 18 week 18 week 18 . . .
Baby's Development:
Ears apni final position per ah jaatay hen aur head k saath stand ho jatay han.aur aap k lullabies per brushing up start ker
daitay hen coming week aap ka baby soonnay k qabil ho ga!middle ear ki bones aur nerve endings brain se develop ho

jaati hen so that aap ka baby different sounds hear ker sakay like aap ki heart beat,aur move kerta hua blood umbilical
cord se.wo doseri loud noises ko bhi hear ker sakta hai!aap k baby ki eyes bhi develop ho rahi han aur retinas ab able ho
jayain gay k ager aap apnay abdomen k saath koi flashlight hold kerain tu wo ussay detect ker sakay.
Ab tak aap k baby ki bones tu develop ho choki hen but abhi bhi wo soft hen,es week wo harden honna start ker daiti
hen,pelhay jo bones ossify hooti henwo clavicles aur legs ki bones hen.
Your Body:
Ab aap khud ko baby k saath life k liay prepare ker lain.ab aap ki preparations layette aur nursery decoration se zayada
hooni chahiyain.ab ye good week hai apnay baby k pediatrician ya health care provider ko search kernay ka.aap different
issues (like appointment availability,immunization scheduling,aur kab aap emergency me call kerain) ko potential doctors
se discuss kernay k liay visits schedule kerain aur aap ko un doctors k practices aur procedures ka bhi pata hoona
chahiay.
Some good questions to ask: How many health care providers are in the practice? Who covers nights and weekends?
What is their policy on phone calls? Which hospitals are they affiliated with? What insurance do they accept? What
specialists do they work with? How are emergencies handled?
Ye bahot zuroori hai k aap apnay child's doctor k saath comfortable feel kerain,es liay apna homework kerain aur
decisions carefully lain.
PREGNANCY Calendar
week 19 week 19 week 19 week 19 . . .
Baby's Development:
Ab aap ka baby white,waxy substance se covered hoota hai jis ko vernix caseosa kahtay hen,jo k baby ki delicate skin ko
chapped aur scrached hoonay se buchaata hai.premature babies ko delivery per cheesy coating se cover kiya jaata hai.
Aap ka baby abhi bhi bahot tiny hai ,lakin es week uss k brown fats ki development hooti hai,jo k aap k baby ko birth k
bahud warm rukhta hai.last trimester k doraan aap ka baby aur layers add kerta hai jo k es ko warmth rukhta aur
protection provide kerta hai.
Your Body:
Jahaan tak aap k baby ki health ka constant concern hai tu us ski yaqeen dayhaani aap ko baby ki first movements fel ker
k ho gi.jo k aften week 18 aur 20 k dermayaan hoti hen.ye first movements quickening kahlaati hen.aur ye aap ko apnay
stomach me butterflies ki tara feel hoon gi ya phir growling stomach ki tara.later pregnancy me aap kicks,punches aur
possibly hiccups feel kerain gi!her baby ka apna movement pattern hoota hai,aur ager ye movements frequency se ya
intensity se decrease ho rahi hen tu phir doctor se zuroor baat kerain.
Es stage per bahot sari womens wonder feel ker rahi hoti hen k sex in k developing baby ko hurt na keray,aur answer no
hai.ager aap ki pregnancy normal hai tu sex ko pregnancy ki her stage per safe consider kiya jaata hai,but es ka mean ye
nahi hai k aap ko sex ki desire bhi ho gi.bahot sari expectant womens kahti hen k un ki desire sex k liay pregnancy ki
various stages per fluctuate kerti rahti hi,aur ye un k fatigue, growing size, birth per anxiousness, aur a host of other body
changes per depend kerti hai.aap apnay partner se communication lines open rukhain jaisay hi aisay issues saamnay
aatay hen. Even though aap dono baby k saath preoccupied hen,ye bhi bahot important hai k aap dono kuch time aik
saath guzarain.
PREGNANCY Calendar
week 20 week 20 week 20 week 20 . . .
Baby's Development:
Aap ab halfway per han!pregnancy k 20th week per,aap ka baby significantly first dividing cell se grow ker raha hai aura b
uss ka weight 11 ounces(312 grames) hai aur us ski length 6.3 inches(16 cm) crown se rump tak hai.ab aap ka baby
uterus me zayada spece lay raha hai,aur es ki growth aap k lungs,stomach,bladder aur kidneys per pressure bhi daalain
gay.

vernix caseosa (aik protective, waxy coating) k nichay,aap k baby ki skin thick ho rahi hai aur layers develop ho rahi
hen.hairs aur nails continuesly develop ho rahay hen.
Your Body:
Ager es say pelhay aap ne nahi keraya tu aap ki health care provider may be aap ko ulterasound keranayko kahay,ye aik
diagnostic test hai jis me sound waves use ker k image create ki jaati hai.ulterasound fetus k size aur position ko detect
kerta hai aur bones aur organs ki structural abnormalities bhi es se visible hooti hen.fetus ki position per depend kertay
huay ab baby ki sex bhi determine ki ja sakti hai.ultrasound me umbilical cord, placenta, aur amniotic fluid bhi examine
kiya jaa sakta hai.apni health care provider se es k risks aur advantages ko bhi discuss kerain.
PREGNANCY Calendar
week 21 week 21 week 21 week 21 . . .
Baby's Development:
Wo amniotic fluid jo aap k baby ko uterus me cushion aur support kerta hai ab aik aur purpose serve kerta hai.intestines
ab kafi develop ker choki hen k fluid se suger ki small amount absorb ker lain jo k aap ka baby swallow kerta hai aur phir
ye suger digestive track se guzer ker large bowel me jaati hai.almost saari nourishment aap k baby ki abhi tak placents k
through hi hoti hai.
Ab tak aap k baby ka liver aur spleen blood cells ko produce kernay k responsible ho chokay hotay hen(fetal liver birth se
kuch week pelhay blood cells produce kernna stop ker daita hai aur spleen week 30 se stop kerti hai). Laikin ab tak bone
marows itni develop ho chooki hooti hen k blood cells produce kernna jaari rukhain aur third trimester me bone marrow
cells blood cells produce kernay k major sites hotay hen.
Your Body:
Kiya pregnancy kdoran exercise safe hai?pregnancy k doraan exercise aik great way hai khud ki shape ko sahi rukhnay k
liay aur even kuch symptoms ko bhi kam kerti hai---jaisay k varicose vein(abnormally swollen veins),excessive weight
gain, aur backache.laikin pregnancy wo time nahi hai jis me aap triathlon ki training start ker dain---going slowly is the
name of a game.bcoz pregnancy k doraan ligaments(flexible tissues which bind bones together) relax ho jaatay hen,es
liay aap injury k higher risk per hain,es liay lowya non-impact exercises jaisay k yoga,swimming aur walking best hai.jab
aap pregnant hoon tu koi bhi exercise programe start kernay se pelhay apni health care provider se zuroor baat ker lain.
PREGNANCY Calendar
week 22 week 22 week 22 week 22 . . .
Baby's Development:
Daily development k doraan aap ka baby world k baray me jaannay k liay senses use keray ga.tongue per taste buds
bunna start ho jayain gay,aur brain aur nerve endings itnay form ho jayain gay k aap ka baby touch ko feel ker saakay.aap
ka baby es newfound sense per experiment ker sakta hai apnay face ko stroke ker k ya apnay thumb ko suck ker k,aur
doseray body parts ko feel ker k bhi ya phir un ko move kertay huay dekh ker bhi.
Aap k baby ka reproductive system develop honna jaari rahta hai.,boys me testes abdomen se descend honna shoru ho
jaatay hen aur girls me uterus aur overies apni place per aur vagina ki bhi development hoti hai.
Your Body:
Ager aap ne pelhay ye notice nahi kiya tu aap jaldi notice kerain gi k aap ki uterus delivery ki practice ker rahi hai
irregular,painless contractions se jin ko Broxton Hicks Contractions kahtay hen.aap apnay abdomen me aik squeezing
sensation feel kerain gi.don't worry,though:aap ka baby bhi in contractions ko feel kerta hai jab ye hooti hen lakin Broxton
Hicks Contractions harmfully a dangerous nahi hen.however ager ye contractions painfull,intense aur frequent ho jaati
hen tu immediately apni health care provider se contact kerain because painful aur regular contractions preterm labor ka
sign hen.
PREGNANCY Calendar
week 23 week 23 week 23 week 23 . . .

Baby's Development:
Even though fat aap k baby ki body per accumulate ho rahi hai,lakin skin abhi tak loosly hang kerti hai aur aap k baby ko
aik wrinkled appearance daiti hai.aap k baby ki daily work kernay ki routine me fingers,arms,toes aur legs k muscles ko
regularly move kerna hai.es k result me aap aur bhi zayada forcefull movements feel kerain gi.
Ab tak aap k baby ka weight 1 pound(454 grams) se kuch hi zayada hai.ager es week preterm labor aur delivery hooti hai
tu baby sirf experts medical care se hi survive ker sakta hai,lakin uss ko severe disabilities bhi ho sakti hen.fetal medicine
ki field me increasing research aur knowledge se,premature babies(preemies) k liay prognosis her year improve ho raha
hai.
Your Body:
Aap apni delivery date k jitna close jayain gi utna hi zayada aap ko sleeping me trouble ho gi.anxiety, frequent urination,
heartburn, leg cramps, aur general discomfort aik pregnant women ki sleep ko short night ker daita hai.laikin aap k baby ki
aur aap ki health dono aap k adequate rest per depend kerti hai.khud ko snoozing mood me lanay k liay warm
bath,soothing music,relaxing book aur aik cup herbal tea ka try kerain.
Bahot sarey doctors ye recommend kertay hen k pregnant women ko sides per sleep kerna chahiay na k backs ya
stomach per.takay placenta se blood flow me koi restriction na ho.ager aap s tara ki sleeping position ko uncomfortable
paati hen tu sides per latetay huay weight k pressure ko relieve kernay k liay apnay knees k dermayaan pillows rukh lain.
PREGNANCY Calendar
week 24 week 24 week 24 week 24 . . .
Baby's Development:
Aap ka baby abhi bhi oxygen placenta se hi receive ker raha hai.but jaisay hi birth hooti hai tu baby khud hi oxygen ko
surrounding se intake kerta hai.es ki preparation k liay aap k baby k lungs ye ability develop ker rahay hen k wo sufacant
produce ker sakain.sufacants wo substance hen jo k lungs me air sacs ko exhale k doraan aik saath sticking aur
collapsing se buchatay hen aur allow kertay hen k hum properly breath kerain.
Kuin k inner earjo k body me balance control kerta haiab completely develop ho chooka hai.ab aap ka baby ye
batanay k qabil ho ga k wo upside down hai ya rightside up hai while floating aur amniotic fluid me movements kertay
huay.
Your Body:
Aik important prenatal test,glucose screening,usually 24 se 28 weeks k dermayaan sometimes perform hoota hai.glucose
screening test se gestational diabetes check hooti hai,ye aik temporary type ki diabetes hai jo k pregnancy k doraan hooti
hai aur newborn me problems cause ker sakti hai.jaisa k low blood suger.gestrational diabetes women k cesarean section
k chances ko bhi increase ker daiti hai bcoz es se large babies ki growth hooti hai.
Glucose screening test me pelhay aap ko suger solution drink kernna ho ga phir aap k blood ka aik sample liya jaye
ga.ager aap ka blood suger level bahot high hai tu phir aap k further tests hoon gay,jo k aap ki health care provider aap se
discuss keray gi.gestatinal diabetes ko usually well-planned diet eat kernay aur regular exercise se control kiya ja sakta
hai,but kabhi kabhi medication se,jaisa k daily insulin ki pregnancy me zuroorat hooti hai.
PREGNANCY Calendar
week 25 week 25 week 25 week 25 . . .
Baby's Development:

Aap note kerain gi k aap k baby k resting aur alert periods hen.aap apnay baby ki activity ko aur bhi zayada notice kerain
gi jab aap rest ki halaat mein hoon gi.aap k baby ki hearing develop kerna jaari rahti hai,--ab woe s qabil bhi ho ga k aap
ki voce hear ker sakay!
Your Body:
Ager hum digestion ki teruf ayain tu pregnancy unpleasant side effects cause kerti hai. Sirf hormones progesterone
stomach ko empty kerna slow hi nahi kerta,lakin ye stomach ki enterence per valve ko bhi relax kerta hai so that ye
properly close bhi nahi hoota.ye acidic stomach contents ki esophagus me upward movement cause kerta hai.es ka
result:reflux(jo k heartburn bhi kahlaati hai) jo k aap k favorite meals k khanay ko aik nightmare bunna day ga.pregnancy k
last few months me expanding uterus stomach per additional pressure exert kerti hai. Try eating smaller, more frequent
meals, and avoid spicy and fatty foods.
PREGNANCY Calendar
week 26 week 26 week 26 week 26 . . .
Baby's Development:
Although aap k baby ki eyes last few months se seal shut hen but ab wo open hoti aur blink kerti hen.depending on
ethnicity kuch babies blue ya gray-blue color ki eyes se paeda hotay hen but ye color birth k kuch saal bahd change ho
jaata hai aur kuch brown ya dark eyes se paeda hotay hen.eyelashes grow kertay hen jaisay hi sir per zayada hairs aah
jaatay hen.
Aap k baby ka weight 2 pond(907 grams) se kuch kam hai,abhi bhi wrinkly nazar aata hai but birth tak uss ka weight
continuely increase hoota rahta hai.
Your Body:
Aap ki uterus aap k baby ko birth se pelhay safe heaven provide kerti hai.but what about after delivery?kuch time tak aap
ka baby home me move kerta hua nazer aye ga.tu aap ko chahiay es se pelhay apnay ghar ko babyproof ker lain.
electrical outlets ko cover kerna, choking hazards ko remove kerna, smoke alarms install kerna, and staircases ko block
kerna ye kuch aisay steps hen jo aap ko child ki safty k liay uthanay hoon gay.her wo precaution kerain jo aap sooch sakti
hen,lakin yaad rukhain aap k baby ki carefull supervision ko amount of babyproofing se substitute nahi kiya ja saakta.
Pregnancy Calender Part III-3rd Trimester

PREGNANCY Calendar
week 27 week 27 week 27 week 27 . . .
Baby's Development:
Third trimester k es first week me aap ka baby aisay hi nazer aye ga jaisay k birth k time he/she will look like,except
thinner aur smaller look k.lungs,liver aur immune ko abhi fully mature hoonay ki zuroorat hai,lakin ager a buss ki birth hoti
hai tu uss k survivl ka full chance hai.
Jaisay k uss ki hearing continuously develop ho rahi hai tu ab wo es qabil ho ga k aap ki aur aap k partner ki voice ko
recognize ker sakay.sounds abhi bhi muffled hoon gi bcoz ears abhi bhi vernix(thick waxy coating that protects the skin
from becoming chapped by the amniotic fluid) se covered hen.
Your Body:
Aap ki body instinctively pregnancy k doraan aap k baby ko nourish aur protect ker rahi hai.laikin newborn ki caring ik
learned skill hai.aap apnay local community centre ya hospital ko in topic ko sikhnay aur in k barey me jaannay k liay sign
up kerain like labor, options for pain relief, what to expect after delivery, -PREGNANCY Calendar
week 28 week 28 week 28 week 28 . . .

Baby's Development:
Aap k baby ka ab weight 2 pounds, 2 ounces (1,000 grams) aur crown se rump tak length 10 inches (25 cm) hai.aap ki
next prenatal appointment per aap ki health care provider aap ko baby ki position womb me bataye gi it may be headfirst
or feet- or bottom-first (called breech position).wo babies jo breech position me hootay hen wo cesarean section se deliver
hootay hen.laikin aap k baby k pass abhi bhi 2 months hen position chnge kernay k liay es liay aap ko perayshaan honay
ki koi zuroorat nahi hai ager aap ka baby ab breech position me hai tu.zayada ter babies apni positions khud hi switch
kertay rahtay hen.
Aap k baby k brain ki folds aur grooves continuously develop aur expand kerti rahti hen.es k saath aap ka baby fats ki
layers add kerta aur hair growth kerna jaari rukta hai.
Your Body:
Aap ki health care provider ne aap ko early pregnancy me kuch blood tests keranay ko kaha tha.aik cheez blood tests me
Rh factor ko measure kiya jaata hai,ye wo substance hai jo k bahot saray ppls k red blood cells per hota hai.ager aap k
pass wo nahi hai ya ager aap Rh negative hen aur aap ka baby Rh positive hai tu phi rap k baby ko health prblms ho sakti
hen jaisay k jaundice aur anemia.aap ki doctor in prblms ko prevent ker sakti hai aap ko 28 th week ya aur phir delivery k
bahud aik vaccine day ker jis ko Rh immune globulin kahtay hen.
PREGNANCY Calendar
week 29 week 29 week 29 week 29 . . .
Baby's Development:
Aap ka baby active hoona jaari rahta hai,ye first few flutters ,hard jabs aur punches ko way dain gi jo k aap k breath ko bhi
away lay ja sakti hen.ager aap movements me kami note kerti hen,fetal kick count kerain:aap k baby ko 10 bar aik hour
me move kerna chahiay.ager aap ka baby kam move kerta hai tu apni health care provider se baat kerain.
Your Body:
Pregnancy k doran iron blood cells ki production me bahot important hai.aap ko aik din me atleast 30 miligram iron
khaana chahiay.bcoz pregnancy me iron deficiency common hai.aap ki health care provider aap ko iron check kernay k
liay blood test ka bhi kah sakti hai.ager ye low ho tu wo aap ko iron supplement bhi prescribe ker sakti hai.
PREGNANCY Calendar
week 30 week 30 week 30 week 30 . . .
Baby's Development:
Ab uss ka weight 3 pounds (1,400 grams) aur crown se rump tak length 10.8 inches (27 cm) hai.aap ka baby
countinuously weight gain kerna aur fatty layers add kerna jaari rukhta hai.ye fat aap k baby ko less wrinkly banna daitay
hen aur after birth uss ko warm rukhtay hen.
Birth k bahd respiration ki tayaari me,aap ka baby thori bahot breathing movements kerta hai apnay diaphragm ko
repeatedly move ker k.aap ka baby even hiccups bhi get ker sakta hai,jo k aap rhythmic twitches ki soorat me apni uterus
me feel ker sakti hen.
Your Body:
Constipation pregnancy me aik common complaint hai.wo pregnancy hormones jo k aap ki pregnancy ko maintain kertay
hen wo aap k digestive process ko bhi considerably slow kertay hen.regular exercise,high fiber food eat kernay se jaisay k
vegetables aur whole grains ye sub kuch regular rukhna ka great way hai.
PREGNANCY Calendar
week 31 week 31 week 31 week 31 . . .

Baby's Development:
Ab se aap ka baby aik din me amniotic fluid me kaheen cups of urine urinate kerta hai.wo amniotic fluid ko swallow bhi
kerta hai,jo k din me kaheen bar replace bhi hoota hai.amniotic fluid me excessive fluid(jis ko polyhydramine bhi kahtay
hen) ka matlan hai k baby normally swallow nahi ker raha ya phir koi gastrointestinal obstruction hai.amniotic
sac(oligohydramnios) me inaiquate fluid ka matlab hai k baby properly urinate nahi ker raha ya phir ye kidney ya urinary
track me infection ko indicate kerta hai.aap ki health care provider aap k routine ulterasound me amniotic fluid ka level bhi
measure keray gi.
Your Body:
Kiya aap ne decide kiya hai k aap apnay baby ko breast feed kerain gi ya phir formula feed?although American Academy
of Pediatrics (AAP) breast milk ko infant nutrition ki best form recommend kerti hai,aap apnay child ko kaisay feed kerain
gi ye aap ka personal decision hai.ager ap ko koi choice kerni hai tu pelhay apni health care provider ya phir lactation
consultant se es k barey me zayada information hasil kernay k liay baat kerain.
Ab aap ki breast me milk glnds ne colostrums bunnna shoru ker diya hai.colostrum pre-milk hai jo k aap k baby ko first
few days me milk aanay se pelhay calories aur nutrients provide kerta hai.kuch women k liay ye thin aur watery hai aur
kuch k liay thick aur yellowish.ager aap ye notice ker rahi hen k aap ki breasts colostrums ko leak ker rahi hen tu aap
apnay cloths ko protect kernay k liay disposable or washable breast pads buy kerain.
PREGNANCY Calendar
week 32 week 32 week 32 week 32 . . .
Baby's Development:
Ab aap k baby k masterpiece ko final touches diay ja rahay hen.eyebrows aur hairs aap k baby k head per evident
hain.languo hairs jinhoon ne aap k baby ko second trimester k start se cover kiya hua hai ab wo fall off honna shoru ker
daitay hen,although kuch shoulders aur bac per birth k time rahtay hen.
4 pounds (1,800 grams) aur 11.4 inches (29 cm) crown se rump tal,aap ka baby ab ager womb se bahir ho tu uss ka
survival ka excellent chance hai.
Your Body:
Aap k prenatal visits k doraan,aap ki health care provider aap ka blood pressue,urine aur koi bhi swelling jo develop hui
hai es sub ko check keray gi.laikin symptoms sudden weight gain, swelling in the hands or face, headaches, or changes
in vision -PREGNANCY Calendar
week 33 week 33 week 33 week 33 . . .
Baby's Development:
In delivery se pelhay k last few weeks me,billions of neurons jo k aap k baby k brain me develop ho rahay hen,in ki waja
se aap ka baby ab in-utero environment k baray me kuch learn kerta hai---aap ka baby listen aur feel ker sakta hai aur
even kuch na kuch dekh bhi sakta hai.aap k baby ki eyes light ko bhi detect ker sakti hen aur pupils light k response me
constrict aur dilate ker sakti hen.aik newborn ki tara!aap ka baby zayada waqt k liay soota bhi hai aur rapid eye movement
(REM) stage bhi experience kerta hai,ye wo sleep stage hai jis me humaray bahot saray dreams vivid hotay hen!
Ab aap k baby k lungs almost completely mature han.fats aap k baby ki body per continuously develop ho rahi hen uss ko
protection dainay aur uss ko warm rukhnay k liay.babies final few weeks me kafi sara weight gain kertay hen.
Your Body:
Labor aur delivery sirf 2 week away hen,ab aap ko ye consider kerna hai k aap childbirth me pain ko kaisay cope kerain
gi.es me aap ko un common techniques ko jaanna ho ga jo pain relief me use hoti hen aur in me breathing techniques

shamil hain like jo k lamaza classes me sikhayi jati hen, pain-relief medications jo k injection, and epidurals se di jaati
hai,jis me doctors soft,thin catheter se anesthetic daitay hen jo k aap k lower back per lugaya jaata hai.aap ki ultimate
choice job hi ho laikin aap ko jitni zayada information ho gi utna hi acha aap ka decision ho ga.although aap ko abhi final
decision nahi laina chahiay es se pelhay aap apni choice k barey me apni health care provider se baat kerain.
PREGNANCY Calendar
week 34 week 34 week 34 week 34 . . .
Baby's Development:
Pregnancy mematernal calcium intake bahot hi zayada important hai because baby mother se calcium ko draw kerta hai
jo k us ski bones ko bunnata aur un ko hard kerta hai.ager aik pregnant women emough calcium intake nahi kerti tu ye
uss ki apni bones ko effect ker day ga bcoz developing fetus mother k skeletal structure se minerals take kerna shoru ker
daita hi.
Ab baby ki skin per vernix coating thicker hoti ja rahi hai,jab k langugo hairs almost fully chalay jaatay hen.
Ab tak kaheen baby delivery ki position me hotay hen.aap ki health care provider aap ko bataye gi k kiya aap ka baby
head- or bottom-first position hai.babies jo k 34 week ko born hootay hen wo fairly well-developed lungs rukhtay hen.baby
ka average size 5 pounds (2,250 grams) aur length 12.6 inches (32 cm) crown se rump tak womb k outside without
extensive medical intervention survival allow kerti hai.
Your Body:
Fatigue late pregnancy me aik common complain hai. Difficulty -PREGNANCY Calendar
week 35 week 35 week 35 week 35 . . .
Baby's Development:
Aap k baby ka already weight almost 5 pounds, 5 ounces (2,400 grams) hai,laikin es week aap k baby ka rapidly weight
gain ka period start ho jaata hai--- about 8 se 12 ounces (226 to 340 grams) her week!fat aap k baby ki body per deposit
ho rahay hen especially shoulders k around.
Baby k es size ki waja se aap ka baby ab uterus k ander cramped aur restricted hai---so fetal movements decrease ho
jaati hen,lakin wo ab zayada stronger aur forcefull hooti hen.ager aap ka baby headfirst position me hai tu labor ki
preparation me uss ka head aap ki pubic bone per rest keray ga.
Your Body:
Bond jo aap already inside growing baby k saath feel ker rahi hen ye sirf tak hi aik bar strong ho ga jab us ski birth ho jaye
gi. -PREGNANCY Calendar
week 36 week 36 week 36 week 36 . . .
Baby's Development:
Ye wrinkly,tiny baby ab aap ultrasound me dekhain gi aik plump baby bunnta jar aha hai.ab aap k baby k cheeks per fat
bhi ho gi aur powerfull sucking muscles bhi baby k full face me contribute kerain gay.ab aap k baby ka weight 6 pounds
(2,721 grams) k kuch under ho ga.
Wo bones jo aap k baby ki skull bunnati hen ab relatively aik doseray ko overlap kerain gi jab aap k baby ka head aap k
pelvis me ho ga.es phenomenon ko molding kahtay hen aur ye baby ko birth canal se pass honnay me help kerta

hai.don't be surprised ager aap k baby pointy ya misshapen head se aata hai!kuch hours ya days k bahud aap k baby ka
head rounded shape me wapis ah jaata hai.
Your Body:
Es week k shoru hotay hi aap apni health care provider ko her month dekhain gi.app ki doctor ya midwife ab aap ka aik
internal exam keray gi k kiya cervical effacement (thinning of the cervix) or dilation (opening of the cervix) shoru ho gayi
hai.u may also experience engagement(jis ko lightening bhi kahtay hen),ye tab hota hai jab aap ka baby labor ki
preparation k liay pelvis me drop hota hai.aap ki appetite return ho sakti hai,bcoz aap ka baby aap k stomach aur intestine
per ab zayada pressure nahi dalta aur ager aap heartburn feel ker rahi hen tu baby's descent es ko relief ker daita hai.
PREGNANCY Calendar
week 37 week 37 week 37 week 37 . . .
Baby's Development:
Es week aap k baby ko full-term sumjha jaata hai!laikin aap k baby ne abhi grow kerna stop nahi kiyawo abhi bhi fats
produce ker raha hai half an ounce (14 grams) per day k rate se,in general boys ka weight girls se zayada hoota hai birth
k time.
Aap k baby ne itni coordination develop ker li hai k fingers k saath grsp ker lay.ager uss ko aik bright light dekhayi jaye tu
wo uterus me uss light ki teruf turn ho jaye ga.
Your Body:
Es week k bahud mucous plug lose ker dain gi jo k aap ki uterus ko infection se protect kernay k liay seal off kerta
hai.mucous plug labor se kuch weeks,hours ya days pelhay lost ho jaati hai aur ye thick,yellowish,aur ye blood se tinged
hoti hai so es ko bloody show bhi kahtay hen.jaisay hi labor ki prepration k liay cervix dilate kerti hai ,plug body se
discharge ho jaati hai.be sure ager aap ko koi discharge hoota hai tu aap apni health care provider se e ski baat zuroor
ker lain.
PREGNANCY Calendar
week 38 week 38 week 38 week 38 . . .
Baby's Development:
Aap k baby ka es waqt 6 pounds, 6 ounces (2,900 grams) weight aur crown se rump tak length 13.4 inches (34 cm) hai.fat
abhi bhi uss per accumulate ho rahay hen although growth ab slow ho gayi hai.ab aap notice ker sakti hen k aap ka
weight decrease ho raha hai ya cease ho gaya hai.
App k baby k muscles ab han jo k amniotic fluid ko suck aur swallow ker sakain,waste materials us ski intestine me
accumulate ho rahay hen.cells jo intestine se shed hotay hen,dead skin cells aur langugo hairs kuch waste products hen
jo k meconium kahlati hen,ye wo greenish-black substance hai jo aap k baby ki first bowel movements ko constitute kerta
hai.
Ager aap ka boy hai tu uss k testicles secrotum me descend hotay hen,unless aik condition ah jaati hai jis ko -Your Body:
Because aap ka baby ab aap k pelvis me engaged hai,aap ka bladder extremely compressed ho ga,jis ki waja se aap k
frequent bathroom trips hoon gay.
Kiya ap ne aura aap k partner ne circumcision k baray me koi decision liya hai?circumcision aik surgical procedure hai jis
me male babies k pernis ki foreskin ko remove kiya jaata hai.kuch parents k liay circumcision aik religious decision hai,aur
kaheen doseroon k liay choice easy nhi hai.aap apni health care provider se circumcision k issues k baray me baat ker
lain aur baby k liay pain relief options ki bhi.

PREGNANCY Calendar
week 39 week 39 week 39 week 39 . . .
Baby's Development:
Umbilical cord jo k nutrients ko baby se placenta tak laati hai,size me vary kerti rahti hai aur es ka average size 22 inches
(55 cm) long aur half an inch (1-2 cm) thick hota hai.kabhi kabhi umbilical cord baby ki neck k sides per wrapped bhi hooti
hai.generally ye koi problem cause nahi kerti,although cesarean delivery require hooti hai ager umbilical cord labor ya
delivery me pressure cause keri hai tu.aik true knot umbilical cord me much common hooti hai,jo k sirf 1% pregnancies
me occure hooti hai.
Most vernix jo k aap k baby ki skin ko cover kerti hai ab disappear ho choki hoti hai,eshi tara langugo bhi.aap ki body aap
k baby ko placenta k through antibodies provide ker rahi hi so that ye aap k baby k immune system ko life k first 6-12
months me infection k against help ker sakkay.
Your Body:
Ab Braxton hicks contractions zayada pronounced ho gayi hen.jin ko false labor bhi kahtay hen,ye contractions almost itni
strong aur painfull hooti han jaisay k true labor contractions laikin ye itni regular nahi hootien aur in ki frequency bhi
increase nahi hooti jaisay k true labor.
Aik aur sign labor ka aap k amniotic sac k rupture hoonay ka hai,jo k kisi din bhi ho saakta hai.jab un k water break hoota
hai,kuch womens large gush of water feel kerti han aur kuch steady tickle feel kerti hen.kuch womens water breaking tab
tak experience nahi kertien jab tak wo labor me na hoon.kuch ko health care provider se water breaking kerani perhti hai
takay un me labor start ho sakay ya es ko speed up kiya ja sakay.ager aap ye soochti hen k aap[ ka wter broken ho
chooka hai aur regular contractions bhi ho rahi hen tu aap jald hi apni hhealth care provider se contact kerain.
PREGNANCY Calendar
week 40 week 40 week 40 week 40 . . .
Baby's Development:
Kaheen month ki expectations aur preparations k bahud,aap ka baby yahaan hai ya nahi---sirf 5% women estimated due
dates per deliver kerti hen,aur kaheen first time mothers ko due date k bhi bahud 2 weeks wait kerna perhta hai.
Aik baby jis ki birth 40 weeks k bahud hooti hai uss ka weight 7 pounds, 4 ounces (3,300 grams) aur uss ki length 20
inches (51 cm),newborns k heads aften temporarily misshapen hootay hen birth canal se aur wo vernix se aur blood se
bhi cover ho saktay hen.aap k baby ki skin discolorations, dry patches, aur rashes k saath bhi ho sakti hai---ye bahot sari
variations bhi normal han.
Aap k baby system me birth hormones ki presence ki waja se,aap k baby k genitals (boys me scrotum aur girls me labia)
enlarged appear hootay hen.app ka baby whether wo girl hai ya boy even tiny nipples se milk bhi secrete ker sakta hai.ye
kuch xdays bahud disappear ho jaata hai aur ye completely normal hai.
Right after birth,aap ki health care provider aap k baby k mouth aur nose se mucous ko suction out keray gi aur aap wo
long-awaited voice sonay gi.ab aap k bby ko shahid aap k stomach per rukh ker,umbilical cord ko cut ker dainoften ye
baby k dad se bhi keraya jaata hai,ager wo ye honor hasil kerna chahay tu!aik saries of screening tests aap k baby ka ho
ga jaisay k aggar score,aur ye aap k baby k vital signs aur responses check kernay k liay ho ga aur uss ka weight aur
height measure ki jaye gi.ager aap ki pregnancy high risk per thi aur aap ka cesarean section necessary tha tu aik
neonatologist (a doctor who specializes in -Your Body:
Es week aap wo moment experience kerain gi jis ko aap expect ker rahi thienaap ka introduction aap k baby se!es se
pelhay k aap apnay baby se milain aap ko labor aur delivery se guzerna ho ga.aap ne birth ki three stages ko apni
prenatal stages me learn kiya ho ga.first stage me aap ki uterus ko regular intervals se contract ker k aap ki cervix ko thin

aur stretch kiya jaata hai.second stage wo hai jis me aap apnay baby ko vaginal canal me puch kerti hen aur phir body se
bahir aur third stage wo hai jis me aap placenta ko deliver kerti hen.
Ager aap due date k week me labor ko receive nahi kerti hen tu aap ki health care provider aap ko nonstress test ka
kahay gi.jis me aap k fetal ka heart rate aur movements check ki jaati hen takay ye paata chulaya jaye k aap ka baby
adequate oxygen receive ker raha hai aur kiya uss ka nervous system response ker raha hai.aap apni health care
provider se es test k baray me mazeed jaannay k liay baat kerain.
Sometimes mother ki nature ko bahot patient se kaam laina perhta hai,ager aap labor ko receive nahi ker rahien ya ager
aap ki health aur aap k baby ki health k liay ye zuroori hai tu aap ki health care provider memberanes ko artificially rupture
ker k ya hormone oxytocin ko administrate ker k ya phir doseri medication ker k labor induce kerti hai.ager aap ki delivery
high risk per hai ya phir koi aur complication hai tu aap ko cesarean section delivery ki zuroorat ho gi.
Kuch women ko pelhay hi ye inform ker diy jaata hai k wo cesarean section se deliver kerain gi tu woe s qabil hooti hen k
baby k birth day ko advance me achi tara schedule ker laiti hen,ager aap un me se aik hen tu aap khud ko emotionally
aur mentally prepare ker lainjo k aap ki disappointment ki feelings ko lesson ker day ga jo k aksir un mothers ko hoti hai
jo k es qabil nahi hotien k wo vaginal delivery experience ker sakain.but ager aap ki cesarean section delivery hooti hai
aur aap already planned nahi thien tu aap ko yaqqeen honna chahiay k aap ki bonding zuroor aap k baby se ho gi,ye wo
birth experience nahi ho ga jo aap ne imagine kiya hai but nonetheless aap ka beautifull newborn arrive ho choka hai.ab
waiting months over ho chokay hen!
Good luck with your baby!
10 Pregnancy Sleep Tips

10 Pregnancy Sleep Tips


Pregnancy me sleep disturbance anxiety, stress,hormonal fluctuations aur phtsical discomfort se hotti hai.jaisay
hi pregnancy progress kerti hai tu aap ke liay comfortable position find kerna zyada difficult ho jatta hai ya ap
raat ko kitni bar uth sakti han apnay incleasingly cramped bladder ko empty kernay ke liay.
Better aur zyada comfortable night sleep auer mind aur body ka critical rest hasil kernay ke liay in tips ko read
kerain,
1. Drink up! Din me bahot zyada fluids drink kerain laikin raat ko bedtime se pelhay frequent urination se
bachnay ke liay kuch mat drink kerain.
2. Keep moving. Optimum health ke liay regular exercise kerain, aur circulation ko mprove kerain jis se
nighttime leg cramps reduce hon.late day me exercise ko avoid kerain-kuin ke exercise adrenaline release kerti
hai jo hormone aap ko raat ko jagaye rakhta hai.
3. Reduce stress and anxiety. Stress aur anxiety major factors han good night sleep ko prevent kernay ke.ye
yaad rakhnain ke worry aap ki kisi tara help nahi keray gi instead apni problems ko discuss kerain.ager aap ki
life me aisay issues han jo aap ko tense kertay han tu koi friend ya professional find kerain jo aap ki es matter
me help ker sakay.
4. Get into a routine. Ager aap content,soothing,comfort soothing routine establish kerain,tu aap relax hon gay
aur zyada ease se sooyain gay.jaisay hi bed ki teruf approach kernay ka time aye tu kuch soothing try kerain
jaisa ke caffeine-free tea ya hot milk ka aik cup drink kerain,aik pleasant book ka chapter read kerain,warm
shower lain,shoulder massage kerain ya hairs ko gently brush kerain.
5. Get into position. Third trimester ke doraan,apni left side per sleep kerain jis se kidney,fetus,uterus me best
blood flow ho.apni back per laitnay se avoid kerain.

6. Keep heartburn at bay. Heartburn ko prevent kernay ke liay,meal ke aik ya 2 hours bahd mat sleep
kernain.ager heartburn problem hai tu sootay time head ko pillows se eleviate kerain.aur spicy,fried ya acidic
foods ko avoid kerain kuin ke es se symptoms worse ho jaati han.
7. Nap during the day. Ager aap ko night me enough rest nahi mil raha tu fatigue ko reduce kernay ke liay aik
nap lain.ager nap half hour bhi ho tu uss se bhi relax kerain kisi quiet spot per.
8. Support your body. Special pregnancy body pillows use kerain ya regular pillows body ko support kernay
ke liay.comfort ke liay,apni side per sleep kernay ki koshish kerain jis me aik pillow aap ke knee ke neechay ho
aur aik belly ke neechay.
9. Watch your diet. Insomnia ko completely prevent kernay ke liay caffeine aur alcohol ko eliminate
kerain.ager nausea aap ka problem hai tu poora din frequent bland snacks eat kerain,apnay stomach ko her time
full rakhnay se nausea hotta hai aur aap balance diet eat kerain.ye sirf aap aur aap ke baby ki health ke liay hi
nahi crucial balkay necessary nutriends hasil kernay se aap khud bhi satisfied hon gijis se aap ko zyada sound
sleep aye gi.
10. Get help. Advice ke liayy apnay doctor ko dekhayain ager insomnia constant hai tu.aap ke liay her cheez se
zyada important proper rest hasil kerna hai!
See your doctor for advice if insomnia persists. Now more than ever, it's important to get the rest you need!

You might also like