You are on page 1of 3

KIYA ANGRAIZI AATAY KAL KO KORA-E-ARZ KI ZOBAN HO GI?!

Es main koe shak nahain kah Angraizi es waqt dunyaan ki hakam zoban hai aur bala
tabqay kay saray kaam essi kay hawala say teh patay hain. Yah mojoodah ehad ki
baat hai likin yah fakhar-o-eftakhar seraf Angraizi say hi mukhsus nahain. Her
hakam zoban ko yah fazelat hasal ho jati hai. Choon’kah hakam zoban kay bool chal
ka halqa pehlay say wase'tar ho jata hai es liay es ka daman bhi pehlay ki nisbat
bhar jata hai. Essay aisay mukhsus log, jin ki kah woh zoban nahain rahi hoti aur
nahi woh oon ki zati zoban kay darjay par faez ho pati hai, ka sath mayassar aa
jata hai. Bahmi hawala say bhi wo oon ki zoban nahain ban pati. Goya oon ka daerah
awal ta aakhar ajnabi aur mehdood hi rehta hai. Jab hakam zoban kisi gher ki
rabtay ki zoban banti hai to ossay os ki zarorat mazaj halaat aalat-e-notaq aur
moawan aalat-e-notaq kay motabaq chalna parta hai basurat-e-degar rabtay bahal
nahain reh patay. Yah os ki majbori hoti hai jisay os ko her hal main nibhana hota
hai. Nahain to boli aur zoban ka faraq paida ho jata hai. Es feal say kuch batain
waqo main aati hain:

Gher ki zoban assar’andaz hoti hai


Gher ki zoban bhi assar laiti hai
Gher ka lab-o-lehjah ekhtayar karnay ki koshesh hoti hai
Nahvi set up main tabdeli aati hai ya apnay nahvi set up kay motbaq dhalnay ki
koshesh karti hai
Alfaz kay mafaheem main tabdili aati hai
Na’ay marakbaat tarkeeb-o-tashkeel patay hain
Nae estalahaat janum laiti hain
Zoban ka mazaj jo os say mukhsus hota hai, main tabdeli aati hai

Agar wo nae zoban ka sath nahain daiti to hakam aur mahkoom kay darmiyan rabt-o-
ethad main na’kam rehti hai. Jis kay natijah main khoon’raizi aur ghalt fehmiyaan
khatam nahain ho patein. Ghalt’fehmiaan bharti chali jati hain. Aaj dunyaan main
qatal-o-gharat ka bazar kayoon garam hai?! Es ka bunyadi sabab Angrazi hi hai
jisay eak arsa guzar janay kay ba’vajood os ki lisani khamioon ki wajah say qabool
nahain kiya ja saka. Angraizi awami sata par apna moqam nahain bana saki aur nahi
kabhi apnay naqas lisani set up kay sabab bana sakay gi. Zarorat’mand essay
majbori samjh kar apnanay ki na’kaam koshesh kar raha hai. Essay azafi aur thopa
howa bojh samjha ja raha hai.

Arbi aur Farsi bhi arsa daraz tak hakam zobanain rahi hain likin enhain kabhi
azafi bojh nahain samjha giya. En kay un’gint alfaz mashraqi zobanoon main kisi na
kisi roop main sadyoon say mojood chalay aatay hain. Yah donoon zobanain auroon
kay liay gher thein. Es kay ba’vajood en kay asraat un’mit rahay hain. En kay
khalaaf nafrat kabhi bhi parwan nahain chari. Jo log yah samjhtay hain kah aatay
waqtoon main Angraizi kura-e-arz ki zoban ho gi, entahae ghalt fehmi main mubtala
hain kayoon’kah lisani hawala say yah dunyaan ki kamzoor tarein aur eak mukhsus
alaqay ki zoban hai. Es ka khudara aur akhara lehja aur aryal mazaj-o-rujhan hi es
ki taraqi ki rah main aray aata rahay ga.

Es nay gheroon kay haan apna koe moqam nahain banaya. Yah gheroon kay (awami sata
par) aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq, mahool, halaat, tagheraat,
zaroriyaat, mosamoon, shakhsi rujhanaat, moashi aur masharti zaroratoon aur kheta
say motalaq zaroratoon ka sath dainay say qasar rahi hai. Angraizi logoon ki
taraqi ki rah main Koh-e-Hamaliya say bhar kar rakawat sabat ho rahi hai. Logoon
ki sari tawanae essay sikhnay main saraf ho rahi hai. Es tara woh mazeed kuch kar
nahain pa rahay.

Awami ta’asar yahi hai kah yah chamchoon karchoon mafad parast aur khud gharaz
(gher angraizi jo awan par thopy aur masalt kiay gay hain) ki zoban hai. Yah
tabqay barabar Angraiz ko yah bawar karanay ki koshesh main hain kah essay qabool
kar liya giya hai halan’kah amli toor par qatae aisa nahain hai. Yah bhi zahar
kiya ja raha kah hum logoon kay namaenda hain jab’kah yah seray say jhoot hai.
Dusri taraf Angraizi dushmani main, awami sata par azafa hota chala ja raha hai jo
eak rooz Angraiz aur os kay hawarioon ko bha kar lay ja’ay gi.

Hindustani (Hindi aur Urdu) hi es waqt dunyaan ki wahad zoban hai jo kura-e-arz ki
zoban bannay kay johar rakhti hai. Yah koe nae zoban nahain hazaroon saal porani
zoban hai. Es waqt es kay teen rasm-ul-khat raej hain:
Arbi
Dev Nagri
Roman
Dunyaan ki koe zoban aisi nahain jis kay teen rasm-ul-khat, jo os kay apnay hoon
aur rabtay ka zareya hoon mojood nahjan hain. Mazay ki baat yah kah yah tenoon es
kay apnay nahain pher bhi kisi Hindustani bolnay walay ko ajnabi mehsus nahain
hotay.

Anraizi ko sarkari sar’parasti hasal hai es kay ba’vajood karkardgi main 2.7 % say
aagay nahain bhar saki. Mein baray wasooq say kehta hoon yah es tanasab say
zeyadah kabhi bhi aagay nahain bhar pa’ay gi. Hindustani es waqt dunyaan ki dusri
bari zoban hai. Dunyaan ki dusri bari aabadi essay samjhti aur bool bhi hai.

Angraizi kura-e-arz ki zoban ho gi, kay liay yah daleel qatae boda hai kah es main
science aur tecnology say motalaq estalahaat mojood hain. Jab angraizi zoban hakam
nahain thi:
Angraizi estalahaat raej thein ya science aur tecnology say motalaq estalahaat
mojood hi na thein?
Kiya angraizi estalahaat angraizi ki apni zati yah mangay tangay ki hain aur asal
talafaz kay sath mostamal hain?

Es zoban kay hawala say yah bhi kaha ja raha hai kah es main tamam aham kotab
tarjamah ho choki hain. Angraizi kay kora-e-arz ki zoban bannay kay hawala say
shaed hi koe ahmaqa daleel/baat ho. Es zeman main Hindustani say shaed hi koe
zoban zeyadah amir ho. Es main lafz apnanay, gharnay ya ashkaal tabdeel karnay ki
kisi aur zoban say ziyada shakti hai.

Kaha jata hai kah aloom ka azafa seraf Angraizi main ho raha hai.
Yah koe karnay aur kehnay ki baat hai?!
Jis zoban ko vasael aur tovajo doo gay tatraqi karay gi. Yah bharam subh honay kay
baad khatam ho ja’ay ga. jab tak Angraizi hakam hai yah nara boland hota rahay ga.
Joon’hi dunyaan ki koe dusri qoom arooj par ho gi os waqt yahhi kuch os kay
motalaq kaha ja’ay ga.

Hindustani main koon say aloom nahain hain?! yah to apnay khadmat’gozaroon kay
hawala say taraqi ki manazal teh karti aae hai jab'kah sarkari sata par sotaili
maan ka piyar aur khlos mila hai.

Eak daleel yah bhi de jati hai kah tajarat es say wabastah hai. Es daleel say
zeyadah kamzoor daleel aur koon se ho gi. Tajarat:

Talab aur wafar paidawar say wabastah hai


Hindustani bolnay waloon ki tadaad dunyaan ki dusri bari aabadi hai es liay en say
tajarat auroon ki majbori hai. En say talaq nata toor kar to daikhain tajar bhokay
mar jaein gay
Kiya guzray kal main tajarti aloom Angraizi say liay jatay thay?
Dharay mortay dair nahain lagti.

Kaha jata hai kah hum apna asal angraizi kay bagher talash nahain kar saktay.
Bawar rehna chahiay dunyaan ki her zoban ka apna nazam aur zakherah hai aur wo
angraizi ki marhon-e-mint nahain. Dunyaan ki zobanain apnay zati hawalah say aagay
bharti aae hain. Hindustani ki apni tarekh hai. Her hindustani apna asaol essi
main talash sakta hai. Koe zoban seraf angraizi kay saharay nahain chal sakti.
Aisa hona na’mumkinaat main hai. Baray etmad say kaha ja sakta hai kah Angraizi
kisi zoban ka makhaz nahain lihaza es qesam ki baat koe manveat nahain rakhti.
Samjh main nahain aata angraizi parast kis natay es qesam ki ahmqana baat kartay
hain.

Angraizi dusri zobanoon ki tara ezhar ka mehz eak wasela hai. Es main bhi dusri
zobanoon ki tara aur kay un’gint al;faz mojood hain. agar yah nikal liay jaein to
yah tahi’dast ho ja’ay gi.

Kaha jata hai zoban adab kay saharay zindah nahain reh sakti. Zoban say adab nikal
dain zoban zinda na reh sakay gi. Adab:

Alfaz, jo azhar ka zareya hain, mayassar karta hai


Tarkibaat mohahya karta hai
Azhar main vosat paidah karta hai
Saliqah aur sha’oor farahum karta hai
Samaji rovaeay tarkeeb daita hai
Qomoon kay tashakhas jo oon say mukhsus hota hai ki hifazat kata hai
Yah guzray kal ki aatay kal kay liay hifazat karta hai
Her zoban adab kay bal botay par apna vajood barqarar rakhti hai
Samaj-o-moashrat ki baqa ka zaman hai
Yah rujhanaat aur rovaeoon ko janan day kar zindgi ko agay bharhata hai
Adab zindagi hai zindagi nahain to kuch bhi nahain
Adad na ho to zindagi mehz mashinoon ka shoor ho kar reh ja’ay

Kaha jata hai ashati adaray Urdu tehriroon ki hosla afzae nahain kartay. Bawar
rehna chahiay es qesam kay adaroon kay malik tajar hain onhain khedmat say zeyadah
raqam say gharaz hoti hai. Woh mojodah rujhan kay motabaq kaam kartay hain aur
mojodah rujhan ka hi sath dain gay. Urdu’koshi kay ba’vajood bohat saray rasael-
o-jaraed akhbaraat aur her tara ki kitabain bazar main dasyaab hain. Agar en ka
qari nahain to yah sara mowad kayoon mojood hai.
Mazay ki baat yah hai kah Angraizi kay hami Hindustani (Urdu+Hindi) zoban main
Angraizi ki hamaet kartay hain.
Angraizi kay ziman main jo dalael diay jatay hain oon say qatae toor par yah wazay
nahain hota kah aatay kal ko Angraizi kura-e-araz ki zoban ho gi.

You might also like