You are on page 1of 13

Yeh jabr bhi dekha hai tareekh ki nazron ne Lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza payee Sahib-e-imroz i.

Wahi hai saahib-e-imroz (today's master) jis ne apni mehnat se Zamaane ke samundar se nikaala gohar-e-fardaN (tomorrows pearl) Reh guzar i. Tu abhi reh guzar mein hai qaid-e-makaam se guzar Misar(Egypt)-o-hijaaz se guzar, paares(Paris)-o-shaam se guzar [It means that don't confine yourself to any one particular place, you are in a proccess/transit of learning and therefore visit different places without desire reward.] Jis ka amal hai be-gard, us ki jaza kuch aur hai Hur-o-khayam se guzar, baadh-o-jaam (wine) se guzar [One who does deeds without the desire of janat (hur & wine), he will get higher rewards. Although he will also get both the things, but do things without keeping these points in mind.] Tera imaam be-huzoor, teri namaaz be-suroor Aisi namaz se guzar, aise imam se guzar

ii.

iii.

Khird i. Khird (dimaag) ke paas khabar ke siwa kuch aur nahi Tera ilaaj nazar ke siwa kuch aur nahi [This is referred to Allah that our brains have nothing but information about you. But if we could see you then all the problems of believing would be solved.] Har makam se aage makaam hai tera Hayaat zoq-e-safar ke siwa kuch aur nahi [Always keep travelling in search of new goals because life is nothing but a pleasurous journey.] GiraN baha (costly price) hai to hifz-e-khudi (preservation of self) se hai warna Gohar mein aab-e-gohar ke siwa kuch aur nahi [A pearl is just a drop of water which has preserved itself in a shell. It is because of this preservation ability that it is so costly or else it is just a drop of water. It implies that one should guard his khudi to become valuable in the sight of others.] Kaza i. Teri dua se kaza to badal nahi sakti Magar hai is se yeh mumkin ke tu badal jaye. ii. [Although you can not change your destiny, you can change yourself.] Teri dua hai ke ho teri aarzoo poori Meri dua hai teri aarzoo badal jaaye.

ii.

iii.

Musalmaan i. Hum mashriq ke musalmaano ka dil maghrib mein jaa atka hai Waha kuntar (glass) sab billori (crystal) hai, yaha ek puraana matka hai ii. Is daur mein sab mit jaayenge, haN baaqi woh reh jaayega Jo qaayam apni raah pe hai, aur pakka apni hut (maqsad) ka hai iii. Ay! Sheikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-baseerat (witnessers) kehte hai GardoN (storms) ne kitni bulandi se un qaumo ko de patka hai. [People have witnessed the doom of great empires, kingdoms and kings. So those countries who are off track are bound to face annihilation.] Directed to Allah i. Ghaisoo-e-taabdaar (lustrous hair) ko aur bhi taabdaar (lustrous) kar Hosh-o-khird shikar kar qalb-o-nazar shikar kar. [Its implied meaning is that Allah make your signs more & more powerful. Make my mind & heart your captive such that they are used only for your purpose.] Ishq bhi ho hijaab mein husn bhi ho hijaab mein Ya tu khud aashkaar (visible) ho ya mujh ko aashkar kar [My origination is also unseen (unknown) and you are also unseen. Either you make yourself visible or make my purpose of origination clear.] Baag-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyon Kaar-e-jahaaN daraz hai ab mera intezaar kar [Why did you ask me to leave the garden of paradise. Now, I am so busy with the activities of this world, that I am not willing to come back to you.] Roz-e-hisaab jab mera pesh ho daftar-e-amal Aap bhi sharmsaar ho, mujh ko bhi sharmsaar kar

ii.

iii.

iv.

[When my book of deeds is bought in the open on the day of judgement, it will bring shame to both you and me.] Bahaara i. Mumkin hai ke tu jisko samajhta hai bahaara AuroN ki nigaaho mein ho mausam woh khizaaN ka ii. Shayad ke zamiN hai woh kisi aur jahaN ki Tu jisko samajhta hai falak apne jahaN ka Mohabbat ka junoon i. Mohabbat ka junoon baki nahi hai Musalmaano mein khoon baki nahi hai ii. SafeN kaj, dil pareshan, sajda bezook Ke jazba-e-androoN baki nahi hai iii. RagoN mein lahu baki nahi hai Woh dil, woh aawaaz baki nahi hai iv. Namaaz-o-roza-o-qurbaani-o-haj Yeh sab baki hai tu baki nahi hai

Ishq ke imtihaan i. Sitaro se aage jahaan aur bhi hai Abhi ishk ke imtihaan aur bhi hai ii. Tahi (only yours) zindagi se nahi yeh fizaae Yaha saikdooN kaarvaaN aur bhi hai iii. Kina'at (contentment) na kar aalam-e-rang-o-bu par Chaman aur bhi, aashiyaan aur bhi hai iv. Agar kho gaya ek nasheman to kya gham Makaamat-e-aah-o-fagaaN (weeping and crying) aur bhi hai v. Tu shaheen hai parwaaz hai kaam tera Tere saamne aasmaaN aur bhi hai vi. Isi roz-o-shab mein ulhaj kar na reh jaa Ke tere zamaano-o-makaaN (destinations) aur bhi hai vii. Gaye din ki tanha tha mein anjuman mein Yaha ab mere razdaan (confidantes) aur bhi hai Nukta-e-sulaiman i. Hai yaad mujhe nukta-e-sulaiman-e-khush ahang Dunya nahi mardaan-e-jafakash ke liye tang [I still remember the words of Suleman, the (man) with good voice that "the world is not small for a hardworking person", he can get work anywhere.] Cheetah ka jigar chahiye shaheen ka tajassus Jee sakta hai be-roshni daanish-o-farhang [You need the housla (courage) of a cheetah and good research like the falcon. (The falcon sees its prey on land far-away from the sky, because of its research/finding/study of the land). And if u have these two qualities then you can survive (live) without the light of intelligence and understanding.] Kar bulbul-o-taoos ki takhleed se tauba Bulbul fakat awaaz hai, taoos fakat rang

ii.

iii.

[Do not imitate the bulbul or the peacock. As bulbul has nothing but good voice, and peacock has nothing but good color. Yyour inner self is more important.] Kaafir aur Musalmaan i. Pooch us se ke maqbool hai fitrat ki gavaahi Tu saahib-e-manzil hai ke bhatka huwa rahi ii. Kaafir hai musalmaaN to na shahi na fakiri Momin hai to karta hai fakiri mein bhi shahi iii. Kaafir hai to shamseer (sword) pe karta hai bharosa Momin hai to be-tegh (sword) bhi ladta hai sipaahi iv. Kaafir hai to taab-e-taqdeer musalmaaN Momin hai to woh aap hai taqdeer-e-ilaahi Dil

i.

Dil zinda-o-bedaar (alert) agar ho to ba-tadreej (gradually) Bande ko ata karta hai chashme-nigraaN (way to look) aur [If your heart is alive and alert then gradually Allah gives his banda different ways (perspective) to look at things.] Alfaz-o-maani mein tafawat (difference) nahi lekin Mullah (religious person) ki azaaN aur, mujaahid (holy warrior) ki azaaN aur [The mullah and the mujaahid both utter the same words Allah-O-Akbar, but there is a difference in the forcefulness of each.] Parwaaz hai dono ki isi ek fizaaN mein Karghaz (vulture) ka jahaN aur hai, shaheen (falcon) ka jahaaN aur

ii.

iii.

[The vulture and the falcon fly in the same sky, but both have different ways of living. A vulture eats carrion while a falcon preys. So which is more majestic and awesome.] Maikhaane i. Bahut dekhe hai maine mashriq-o-maghrib ke maikhaane Yaha saqi nahi paida, wahaN be-zook (tasteless) hai sehba (wine) [I have visited numerous wine-houses in the east as well as west. Here I find no saqi and there the wine has no taste.] Na iraN mein rahe baaki, na turaaN mein rahe baaki Woh bande fikr tha jin ka hilaak qaisar-o-kasra

ii.

[Neither in Iran nor in Turkey there remains the like of those who could conquer the two thrones (qaisar-o-kasra)] On Muslims i. Sar shak(tears)-e-chashm(eyes)-e-muslim mein hai nesaaN ka asar paida Khalilullah (Moses) ke darya mein hoNga phir gohar (pearl) paida [Iqbal says, I see the tears in the eyes of muslims which shows that they are begining to realise themselves. The magnitude of tears are compared to nesaaN (month of rain).] Agar usmaaniyoo (Turks) par koh-e-gham toota to kya gham hai Ke khoon-e-sad hazaar anjum (stars) se hoti hai sehr paida [Usmaaniyoo are the turks who were very strong at one time. In Urdu it is referred to as the Daur-e-Usmaaniyaa, in English, the Great Ottoman Empire. Iqbal says, so what if they were defeated. The day breaks only after the death of a hundred-thousand stars (ie. after the passing away of the night).] Hazaaro saal nargis (a flower) apni benoori (blindness) pe roti hai Badi mushkil se hota hai chaman mein deeda-e-war (intellectual) paida [Nargis is a name of a white flower, which has the shape of an eye. So, although it has the shape of an eye, it does not have vision, therefore

ii.

iii.

iv.

it is called benoori. But the sheyr, just means that it really takes a long long time, only after which one deeda-war (intellectual, gehri nazar rakhne-wala, daana) is born.] Noha (sorrow) paida ho, ae! bulbul, ke ho tere tarannum (melody) se Kabootar ke tan-e-nazuk (weak body) mein shaheeN ka jigar paida

[Here Iqbal is refering to himself, as a bulbul, and is saying that Iqbal brings so much sorrow in his shairs, that even a weak pigeon gets the daring of a falcon. (It refers to weak muslims)] Majnu ne shahr choda hai i. Majnu ne shahr chhoda hai sahra bhi chhod de Nazaare ki hawas ho to Laila bhi chhod de Majnu has renounced the world, let him renounce the wilds too If he seeks the vision sublime (God), let him forsake Laila too ii. Waaiz kamaal-e-tarq se milti hai yaaN muraad Duniya jo chhod di hai to uqba bhi chhod de Complete self surrender, priest, is the price of the goal Abandon too the world to come (Uqba), not this world alone iii. Taqlid ki rawish se to behtar hai khud kashi Rasta bhi dhoondh, Khizr ka sauda bhi chhod de Suicide is better than servile imitation, Go, find your own path, look not for a Khizr [Khizr is a person referred to in the Quran, who was highly knowledgeable (even more knowledgeable than the prophets who lived during his times), and who also lived an extraordinarily long life.] iv. Shabnam ki tarah phoolon pe ro aur chaman se chal Is bagh mein qayaam ka sauda bhi chhod de Weep like dew over the flowers then quit the grove Give up the idle dream of a permanent stay v. Saudaagri nahin, yeh ibaadat Khuda ki hai Ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhod de It's not dealing, but it is worship divine Eschew, ye ignorant, even the hope of reward vi. Achha hai dil ke saath rahe pasbaan-e-aql Lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod de Good, if reasoning of the mind controls the heart But let it (heart) have it's own way, once in a while vii. Jeena woh kya hai jo ho nafas-e-ghair par madaar Shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhod de 'Tis no life that sustains/depends itself on others Give up dependence on life of earthly fame viii. Waiz sabut laae koi mai ke jawaaz mein Iqbal ko yeh zid hai ke peena bhi chhod de Should the priest produce evidence against the wine Iqbal too will pledge to give up drinking Nukta-e-tawheed

i.

BayaaN mein nukta-e-tawheed aa to sakta hai Tere dimaag mein but khaana ho to kya kahiye [You can speak of tawheed (belief in the unity of God), but what to say about the shirk (setting up partners in worship with God) that you have at the back of ur mind.] Makam-e-fakr (darwaish) hai kitna buland shaheen (royalness) se Ravish (attitude) kisi ki gadaayana (katoora) ho to kya kahiye

ii.

[The position of a fakir, darwaish is higher than that of a king. But, what to say about a fakir who has taken up the attitude of asking for money.] Parinde ki faryaad i. Aata hai yaad mujhko guzraa huwa zamaana Woh baag ki bahaare woh sab ka chechahana ii. Azaadiyaa kaha woh ab apne ghosle ki Apni khushi se aana, apni khusi se jaana iii. Lagti hao chot dil par, aata hai yaad jis dam Shabnam ke aasuoo par kaliyoo ka muskuraana iv. Woh pyaari pyaari surat, woh kaamini si murat Aabad jis ke dam se tha mera aashiyaana v. Aati nahi sadaayee us ki mere kafas (cage) mein Hoti meri rihaahi ay kaash mere bas mein vi. Kya bad-naseeb hoo mein ghar ko taras raha hoon Saathi to hai watan mein, mein kaid mein pada hoon vii. Aayi bahaar, kaliya phoolo ki has rahi hai Mein is andhere ghar mein kismat ko ro raha hoon viii. Is kaid ka ilaahi, dukhda kise sunaoo Dar hai yahee kafas mein, mein gham se mar na jaooo ix. Jab se chaman choota hai yeh haal ho gaya hai Dil gham ko kha raha hai, gham dil ko kha raha hai x. Gaana ise samajh kar khush ho na sunnewale Dukhe huwee diloo ki faryaad, yeh sada hai xi. Azaad mujh ko kar de oh qaid karne wale Mein bezoobaa hoon qaidi, mujhe chod kar dua le Saaqi i. Nasha pila ke giraana to sab ko aata hai Maza to jab hai ke girto ko thaam le saaqi ii. Kahi khaali pyaale hai kahi saaGhar (wine) labaalab hai Yeh kya daur hai saaqi, yeh kyaa taqseem (distribution) hai saaqi Azaad bande i. Tere azaad bandon ki na yeh duniya na woh duniya Yaha marne ki paabandi vahaan jeene ki paabandi KharadmandoN i. KharadmandoN (intellectuals) se kya poocho ke mera ibtada (beginning) kya hai Ke mein is fiqr mein rehtaa hooN mera intehaa (end) kya hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle Khuda bande se khud pooche, bataa teri razaa kya hai Na tu zameeN ke liye i. Na tu zameeN ke liye hai na aasmaaN ke liye Jahaan hai tere liye tu nahi jahaaN ke liye ii. Nishaane raah dikhaate the jo sitaaroN ko Taras gaye hai kisi mard-e-raahdaaN ke liye Nasheman i. Nasheman par nasheman is qadar taamir karta jaa Ke bijli girte girte aap khud bezaar ho jaaye Mohammed se vafa i. Ki Mohammed se vafa tune to hum tere hai Yeh jahaaN cheez hai kya loh-o-qalam tere hai Haqeeqat se khabardar i. Tu agar apni haqeeqat se khabardaar rahe Na siyaah roz rahe phir na siyaahkaar rahe ii. Gaafil na ho khudi se kar apni paasbaani Shayad kisi haram ka tu bhi hai aashiyaana i. Dil sauz se khaali hai nigaah paak nahi hai Phir isme ajab kya ke tu bebaak nahi hai Khudaa kaa Farmaan uTTho merii duniyaa ke Gariibo.n ko jagaa do Khaak-e-umaraa ke dar-o-diivaar hilaa do [Khaak-e-umaraa = palace of rich people] garmaao Gulaamo.n kaa lahuu soz-e-yaqii.n se kunjishk-e-phiromaayaa ko shaahii.n se la.Daa do [soz-e-yaqii.n = warmth (passion) of belief/faith] [kunjishk-e-phiromaayaa = ; shaahii.n = falcon] sultaanii-e-jamahuur kaa aataa hai zamaanaa jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye miTaa do [sultaanii-e-jamahuur = rule of the people] [naqsh-e-kuhan = old structures (ways/traditions)] jis khet se dahaqaa.N ko mayassar nahii.n rozii us Khet ke har Khoshaa-e-gundam ko jalaa do [dahaqaa.N = farmer; mayassar = available/get] [Khoshaa-e-gundam = ear of wheat] kyo.n Khaaliq-o-maKhaluuq me.n haayal rahe.n parde piiraan-e-kaliisaa ko kaliisaa se haTaa do [Khaaliq = creator; maKhaluuq = creation] [piiraan-e-kaliisaa = church officials] mai.n naaKhush-o-bezaar huu.N mar_mar ke silo.n se mere liye miTTii kaa haram aur banaa do [mar_mar = marble] tahaziib-e-navii.n kaar_gah-e-shiishaagaraa.N hai aadaab-e-junuu.N shaayar-e-mashriq ko sikhaa do

ii.

[tahaziib-e-navii.b = new culture; kaar_gah-e-shiishaagaraa.N = factory of glass makers] [shayaar-e-mashriq = poets of the East]

http://freshsmsdaily.blogspot.in/

tu hi nadaan Andaaz-e-bayaan gar che bohat khoob nahin hai Shayad kay utar jaayay teray dil main meri baat *** Toofan kar raha tha mere azm ka twaf aur log samjhe ke kashti bhavar mein hai *** Duniya jise kehte hain, bachche ka khilona hai, Haath aaye tho mitti hai,kho jaye tho sona hai. *** Teri ulfath meri veh'shat hi sahi, meri veh'shat teri shoh'rath hi sahi. *** Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin miltha, kahin zamin tho kahin aasman nahin miltha. Tere jahan mein aisa nahin ke pyar nahin, jahan umeed ho uskee ,wahan nahin miltha. *** Hum mashriq kay musalmaanoan ka dil maghrib main jaa atka hai Wahan kuntar sab billori hain yahan aik purana matka hai *** Adab magrib bhi hai,adab mashrique bhi hai. Wahan topi utarthi hai..yahan jootha utartha hai. *** Ya khuda loag banaaye thay agar pathar kay Meray ehsaas ko sheesha na banaya hota *** Moti samajhkar shaane-kareemi ne chun liye, Khathre jo the mere arkhe infe'aal ke. ***

Itnay majboor hain hum apni anaa ki khaatir Raiza raiza bhi hooay aur bikhray bhi nahin *** Maujuza shaq'qul khamer ka hai Madine se aayan, Maah ne shaq hokar liya hai deen ko aagosh mein. *** Meri dua hai kay too umr-e-jawidaan paaye Na teray paas ghum-o-yaas kabhi aaye Too muskuraaya to aihbaab muskuraa uthain Tera wujood baharoan ki jaan kehlaaye *** Humne maana ke khudaai darde-sar hai, lekin bandagi ,astaghfirullah,yeh darde-sar nahin darde-jigar hai. *** Wohee hai zindagi laikin Jigar yeh haal hai apna Ke jaisay zindagi say zindagi kam hotee jaatee hai *** Girni thi barqe tajalli humpe na toor pe, dete hain ba'ada zarfe khadaqaar dekh kar. *** Aye doast zindagi kay her aik moarrh per sadaa Khushyoan say tera saamna uksur rahaa karay *** Hue marke hum jo rusva ,hue kyon na garkhe dariya. Na kabhi janaaza uth'tha ,na kahin mazaar hotha. Yeh na thi hamaari kismet ke wisaale yaar hotha, agar aur jeethe rahthe yahi intezaar hotha. *** Bus ke dushwaar hai har kaam ka aasaan hona, aadmi ko bhi muyassar nahin insaan hona. *** Dost gumkhaari mein meri sayi farmayenge kya? zakhm bhar jaane talak nahoon na badh aayenge kya? *** Turk-e-talluq ko to bus aik lamhaa chahiyay Laikin mujhay tamaam umr soachna parra *** Ab kay hum bichhrray to shaayad kabhi khuaboan main milain Jaisay sookhay hooay phool kitaaboan main milain *** Hogai baat purani magar ab soachta hoon Aam sa shakhse tha woh us pe dil aaya kaisay *** Tu hi nadaan chand kaliyon par khina'ath kar gaya, warna gulshan mein Ilaaje-tangiye-damaan bhi hai!

*** Bhari duniya main faqt mujh say nigaahain na churaa Ishq per bus na chalay ga teri daanaai ka *** Girthe hai sheh savaar hi maidaan-e-jung mein, woh tifn kya girenge jo ghutnaon ke bal chale. *** Teri duaa hai kay ho teri aarzoo poori Meri dua hai kay teri aarzoo badal jaayay *** Ta-umr dhhondta raha manzil main ishq ki Anjaam yeh kay gard-e-safar lay kay aa gaya *** Barbaad gulistaan karne ko sirf ek hi ulloo kaafi hai, har shaaq pe ulloo baitha hai ,anjaame-gulistaan kya hoga. *** Rahiyay ab aisee jagah chal kar jahan koi na ho Hum-sukhan koi na ho aur hum-zabaan koi na ho *** Ya rub woh na samjhain hain na samjhain gay meri baat Dai aur dil un ko jo na day mujh ko zabaan aur *** Mulke-adam mein yaraon kya eid ho rahi hai? Kyon log jaa rahe hain kapde badal badal kar? *** Woh baithe hue daman se dete hai ruaa'en , khuda kare ke hum na kabhi hosh mein aa'en. *** Us moarr say shuroo karain phir yeh zindagi Her shai jahan haseen thi hum tum thay ajnabi *** Main bhi munh main zabaan rakhta hoon Kash poochho kay muddaa kya hai *** Day kay khat munh daikhta hai nama-bur Kuchh to paigham-e-zabani aur hai *** Tum bhi achhay thay raqeeb bhi achhay Hum he buray thay humari guzar na hooi *** Apnee soorat lagee paraai see Jab kabhi hum nay aaina daikha Teray jaanay main aur aanay main Hum nay sadyoan ka faasla daikha

Dil kay deewaar-o-dur pay kya daikha Bus teraa naam he likha daikha *** Sitam to yeh hai ke woh bhi na bun saka apna Qubool hum nay kiyay jis kay ghum khushee ki tarah Kabhi na soacha tah hum nay Qateel us kay liay Karay ga woh bhi sitam hum pay her kisi ki tarah *** Shayad kay zameen hai woh kisi aur jahaan ki Tu kis ko samajhta hai falak apnay jahaan ka *** Yaad us ki itni khoob nahin Meer baaz aa Nadaan phir woh jee say bhulaaya na jaayay ga *** Shaayad yeh waqt hum say koi chaal chul gaya Rishta wafa ka aur hi rangoan main chul gaya *** Bay-shuk meray naseeb pay rukh apna ikhtiaar Laikin meray naseeb main kya hai bataa to day Main nay yeh kab kaha kay meray haque main ho jawaab Laikin khamoash kyoon hai too koi faisla to day Manzil na day charaagh na day hoasla to day Tinkay ka he sahi magar aasra to day *** Hum bhi tasleem ki hoo daalain gay Bay-niyaazee teri aadat he sahi *** Behtar to hai yehi kay na duniya say dil lagay Per kya karain jo kaam na bay-dillagi challay *** Ghalib chhuti sharaab per ab bhi kabhi kabhi Peeta hoon roaz-e-abre shab-e-maahtaab main *** Palkain bhi num karoa to zaraa aihtiyaat say Daanish rafaaqatoan kay woh mausam guzar gayay *** Tamaam waastay main aisay toarrh baithha hoon Ke jaisay shehr main ab koi aashna he nahin *** Taarruf roag ho jaayay to us ko bhoolna behtar Taalluq boajh bun jaayay to us ko toarrhna achha Woh afsaana jisay takmeel tak laana na ho mumkin Usay ik khoobsoorat moarrh day kar chhorrna achha *** Laayee hayaat aayay qazaa lai chali chalay Apni khooshi na aayay na apnee khooshi chalay

*** Dhoond ujrhay hooay logoan main wafaa kay moti Yeh khazanay tujhay mumkin hai kharaaboan main milain *** Kum hoan gay is bisaat per hum jaisay bud-khumaar Jo chaal hum chalay so nihaayat buri chalay *** Koi meray dil say poochay teray teer-e-neem kush ko Yeh khalish kahan say hoti jo jigar kay paar hota *** Dil he to hai na sang-o-khisht dard say bhur na aayay kyon Roayain gay hum hazaar bar koi hamain rulaayay kyoon *** Tum na aayay to kya sahar na hoi Haan magar chaain say basar na hooi *** Barrhi mushkil say hum samjhay woh hum ko kya samajhtay hain Jo achhay hain woh to her aik ko achha samajhtay hain *** Ho mubarak tumhain maghrib ki tehzeeb sanam Main kaisay bhooloon kay mashriq main hooa mera janam *** Saadiq hoon apnay qoal ka Ghaalib khuda gawaah Kehta hoon such kay jhhoot ki aadat nahin mujhay *** Ilaahi aag lag jaayay is zoaq-e-mohabbat ko Jalay koi maray koi andhera meri mehfil main (http://shaziazamani.tripod.com/sher.htm)

Hazaaron Jawabon Se Acchi Hai Meri Khamoshi, Na Jaane Kitne Sawaalon Ko Aabru Rakhe "Mana ki teri deed ke kabil nahin hoon main, Mera shauq to dekh, mera intezaar to dekh." (I know that I am not worth your affection, but look at my commitment, my patience ) penned by Allama Iqbal Mana Ke Teri Deed Ke Qabil Nahin Hun Main Tu Mera Shauq Dekh, Mera Intizar Dekh

zindagi meri faqat teri raza k wasete zindagi meri faqat teri raza k wasete Aur jaan dedoo, mere Pyaree khuda tereliye Ae khuda tere liye..bas aee khuda tere liye Maal aur na chaheye bas Rabb ki Muhabat Chaheyee Lutfe Duniya rah se hat kar mujkoo janat chaheyee.. Ajnabi saare jahan se ban javo tere liyee.. Ae khuda tere liye..bas aee khuda tere liye Liye Shahadat ki tamanna dil tadapta hai mera Jannato ki Chaaha me bas jee machalta hai mera Baand ke sar pe kafan chal padu tere liye Ae khuda tere liye..bas aee khuda tere liye Guantanamo ke aseero ne pukara hai muje MASJID-e-Aqsa ke khali safoo ne pikaraa hai mujee Keh ke labaik ki sada chal padu teri liye Ae khuda tere liye..bas aee khuda tere liye JAb tera ho khoof dil me too kisi se kya daru khud se to kuch bi nahi bas teri nusrat se ladoon Kar k bas tijpe baroosa datte gaya tere liye Ae khuda tere liye..bas aee khuda tere liye Teri rah me zakhm khana too sa'adat hai meri meri rabb ye zindagi mujko amaanat hai teri Naam par tere lutane chal pada teri liya Ae khuda tere liye..bas aee khuda tere liye Abb kadam rukne payee isse rahe-e-falah me Sar utha kar me ladu jab taq ragoo me hai lahoo ek ek khawahish ko mai kurban karu teri liye Ae khuda tere liye..bas aee khuda tere liye

You might also like