You are on page 1of 20

www.ruhaniamals.blogspot.

com
amilwasimali@gmail.com

AMLIYAT KE POSHEEDAH RAAZ


RAAZ-1: AMAL HAMESHA BA 'WUZU KARNA CHAIAY BE' WUZU AMAL BE'ASAR HOTA HAI,
AMAL KAMIL YAKSOOYE K SATH AUR MUKAMMAL TANHAYE MEI KARNA CHAIAY.

RAAZ-2: DORAN-E-AMAL BE'YAQEENI WASWAS-E-SHETANI AUR KHAYALAT-E-FASIDAH SE


KHUD KO MEHFOOZ RAKHEN AGAR AMAL PER KISI TARAH KA DIL MEI SHAK HO TO AMAL KO
CHORR DE JAB TAK K YAQEEN-E-KAMIL WA QALB NA HASIL HO JAYE.

RAAZ-3: JIS KAMRAY MEI AMAL KIYA JAYE WAHAN SAMAN BILKUL BHI NA HO KAMRAH JIS
QADAR KHALI HO GA AMAL KI KAMYABI K USI QADAR AMKANAT HON GE AUR KAMRAY MEI
DORAN-E-CHILLA DOSRA KOYE SHAKHS AAMAD-O-RAFT NA RAKHAY.

RAAZ-4: JO BHI AMAL KIYA JAYE US MEI TADAD K SATH SATH SAHEE TALAFFUZ KA KHAYAL
RAKHAY AGAR SEHAT-E-ALFAZI KO NAZAR'ANDAZ KAR K AMAL KIYA JAYE TO KAMYABI
HARGIZ NAHI HO GE.

RAAZ-5: AMAL SE PEHLE 2 NAFALEN ZAMEEN PER ADAA KARY KISI CHATAYE YA ZAMEEN PER
NAHI WARNA PHIR KHAJOOR KI CHATAYE PER ADAA KARAY AUR ALLAH SE AMAL KI KAMYABI
KI DUA KARE , AMAL AUR DUA KA CHOLI, DAMAN KA SATH HAI.

RAAZ-6: AMIL MEI HABS-E-DAM KI SALAHIYYAT HONI ZAROORI HAI AIK SAANS MEI ZEYADA
SE ZEYADA AMAL PARRHNE SE KAMYABI K AMKANAT ZEYADA ROSHAN HO JATAY HEN.

RAAZ-7: DORAN-E-AMAL BE'WAJA APNE JISAM MEI HARKAT NA AANAY DE JIS QADAR SAQAT
RAHE GA USI QADAR FAYEDAH HO GA.

RAAZ-8: AMAL K DORAN PARHEZ JALALI YA JAMALI ZAROOR KARE KHANAY PEENAY KI
CHEEZEN APNA ASAR ZAROOR DIKHATI HEN IS LIAY KHANAY PEENAY KI CHEEZON MEI KHAS
TOR PER PARHEZ ZAROORI HAI , BADBOO'DAR CHEEZON SE PRYAZ,LEHSAN,TAMBAKOO
WAGHAIRAH SE MUKAMAL IJTENAB BARTE.

RAAZ-9: AMAL KOYE AIK WAQT MUQARRAR KAR K SHURU KARE AUR AAKHEER TAK WAQT KI
PABANDI RAKHAY IKHTELAF-E-WAQT AMAL K ANDER KAMZORI PEDA KARTA HAI.

RAAZ-10: AMAL MEI JAGAH KA TA'AYYUN BHI ZAROORI HAI KISI DIN KISI JAGAH AUR KISI DIN
KISI JAGAH AMAL KARNE SE AMAL KI TASEER KHATAM HO JATI HAI.

RAAZ-11: AAYT-UL-KURSI , S.AL-BAQARAH KA AAKHRI RUKU AUR 4 QUL SHARIF KI TELAWAT


KARE APNA HISAR KAR K AMAL SHURU KARE AUR DORAN-E-CHILLA AMAL KI SHURUA'AT ISI
TARAH KARAY.

RAAZ-12: AMAL K LAWAZMAT PEHLE HE SE AKHTAY KAR LE MASLAN BEGHAIR SILA LIBAS ,
KHAJOOR KI CHETAYE, MATTI KA CHARAGH, TILON KA TAIL, ITTER WA BAKHOORAT, AUR PANI
K LIAY MATTI KA LOTA MATTI KA HE PEYALA , KOYELA KI ANGEETHE AUR MACHIS WAGHIRAH
JESI LAWAZMAT-E-AMAL PEHLE SE HE TAYAR KAR LE AUR BA'PARHEZ GHIZA BHI.
RAAZ-13: JO CHEEZEN DORAN-E-CHILLA ISTEMAL KARNI HEN WOH BHI AIK HE BAR LE AAYE
AUR KOSHISH KARE K KISI MUSHRIK YA BIDDA'ATI SE YEH CHEEZEN NA KHAREEDA.
RAAZ-14: DORAN-E-CHILLA ROZANA KUCH NA KUCH KHERAT KARE AUR KUCH NA KUCH
ALLAH K BANDO KI KHIDMAT KARE KHIDMAT BA'ZARIYA MAAL BHI KARNI CHAHIAY AUR
BA'ZARIYA JAN BHI.
RAAZ-15: BA'MOAKEL AMAL MEI KISI SAHIB-E-AMAL YA KISI AMIL KAMIL SE IJAZAT LENI
ZAROORI HAI IJAZAT HASIL HONE K BAD HE AMLIYAT KA AAGHAZ KARE.
RAAZ-16: CHILLA K DORAN ROZANA ROZA RAKHE AGAR YEH MUMKIN NA HO TO HAR PEER
AUR JUMERAT KA ROZA RAKHAY YEH BHI MUMKIN NA HO TO HAR JUMERAT KA ROZA
ZAROOR RAKHAY HAFTAY MEI AIK ROZA ZAROORI HAI.
RAAZ-17: ROZANA GHUSAL KARNA BHI ZAROORI HAI , MOSAM SARMA HO TO GARAM PANI
SE GHUSAL KARE , AFZAL YEH HAI K GHUSAL KAR K HE ROZANA AMAL KARE.
RAAZ-18: DORAN-E-CHILLA KAM UMAR LARRKON AUR AURTON SE NA MILA KARE WARNA
AMAL K ZAYA HO JANAY KA KHATRA RAHE GA AUR RUJJAT K BHI AMKAN HAI.
RAAZ-19: AMAL KARTY WAQT QIBLA RU BETH KAR AMAL SHURU KARE PHIR FORAN HE RIJALUL-GHAIB KI SIMT KA KHAYAL KAR K APNA RUKH BADAL LE AGAR RIJAL-UL-GHAIB KI SIMTON

KA LIHAZ NAHI KARAY GA TO AMAL ZAYA HO JAYE GA.


RAAZ-20: AKSAR YEH HOTA HAI K PEHLE CHILLA MEI TASEER ZAHIR NAHI HOTI , ALLAH NA
KARAY AGAR PEHLE YA DOSRAY CHILLA MEI NAKAMI MILAY TO TEESRI BAR PHIR KARE
TEESRAY CHILLAY MEI BIL'AMOOM KAMYABI MIL JATI HAI.
RAAZ-21: APNE KHANE PEENE K BARTANO KO KISI KO HATH NA LAGANAY DE KHUD HE IN KO
DHOYE KISI AURAT K HATH KA KHANA NA KHAYE BEHTER HAI K KHUD HE KHANA PAKAYE.
RAAZ-22: AMAL AROOJ MAH MEI SHURU KARE NO'CHANDI JUMERAT KO SHURU KARE TO
BEHTER HAI.
RAAZ-23: IS BAT KA BHI LEHAZ RAKHE JIS DIN AMAL SHURU KAR RAHA HO US DIN CHAND
BURJ AQRAB MEI NA HO YANI QAMAR DAR AQRAB NA HO.
RAAZ-24: AMAL SUFED YA SABAZ RANG K BEGHAIR SILAY LIBAS MEI KARNA CHAHIAY.
RAAZ-25: AMAL K DORAN HAR SITARE SE MUTALQA BAKHOOR KI DHONI LENI CHAHIAY AUR
SITARON KA CHART AMIL KO HAR WAQT APNE PAS RAKHNA CHAIAY ISI TARAH SITARON K
BAKHOORAT KI SHEESHIYAN BHI HAR WAQT AMAIL KO KAMRAY MEI RAKHNI CHAHIAY.
RAAZ-26: HISAR K DAAYERAY MEI AIK PAK MATTI KI KACHI EENT TAYAMMAM K LIAY RAKHNI
CHAIAY AGAR WUZU TOOT JAYE TO TAYAMMAM BA'NEYYAT AMAL KAR LENA CHAHIAY.
RAAZ-27: KAMRAH-E-AMAL MEI MATTI K TAIL KA CHARAGH HARGIZ HARGIZ NA JALAYEN ,
NIGHT BULB JALA SAKTAY HEN LEKIN AFZAL YEH HAI K SARSON YA TILON K TAIL SE MATTI KA
CHARAGH ROSHAN KAREN,
RAAZ-28: AMAL KO KAMYABI SE HAMKINAR KARANE K LIAY 3 BATEN BUNYADI HESSIYAT
RAKHTI HEN , KAM KHANA, KAM BOLNA, KAM SONA, LOGO SE KAM SE KAM MULAQAT
KAREN TA K KAM SE KAM ZUBAN KHULNE KI NOBAT AAYE ZUBAN SE MUTALIQ JO GUNAH
HOTAY HEN UNHEN CHORR DENA LAZMI HAI WARNA AMAL BE'ASAR RAHE GA, ZUBAN SE
MUTALLIQ GUNAH YEH HEN JHOOT,GHEEBAT,TANZ-O-TAHQEER,LA'AN TA'AN, WAGHAIRAH
IN GUNAHON MEI AGAR AMIL KI ZUBAN MULAVVIS RAHE GE TO IS KA AMAL KAMYABI SE
HAMKINAR NAHI HO GA.
RAAZ-29: LAZZAT AMEZ CHEEZON SE KHUD KO BACHAYEN LAZEEZ CHEEZEN ZEYADA MIQDAR
MEI KHAYE JATI HEN AUR JAB MEDAH GHIZA SE BHAR JATA HAI TO PHIR INSAN PER
GHANOODGI AUR NEEND KA GHALBA HO JATA HAI AZAA SUST PARR JATAY HEN AUR GES
BAN'NAY K IMKAN PEDA HO JATAY HEN IS LIAY GHIZA AISE ISTEMAL KARNI CHAHIAY JO
ZINDAH REHNAY K LIAY KAFI HO AUR GHIZA BARAYE NAME LENI CHAHIAY TA K AZAA PER
SUSTI KA GHALBA NA RAHAY AUR NEEND NA AAYE AKSAR AAMILEEN DORAN-E-AMAL SATTU

ISTEMAL KARTAY THAY YA DAAL KA PANI PEETAY THAY ISI TARAH KI HLKI PHULKI GHIZA LENI
CHAIAY AUR YEH BHI PET BHAR K NA HO.
RAAZ-30: JIN AAMAL MEI TARK-E-HEWANAT KI QAID HO UN AAMAL MEI KOYE AISE CHEEZ
ISTEMAL NAHI KARNI CHAIAY JO KISI JANWAR SE MUTALLIQ HO MASLAN CHAYE NAHI PEENI
CHAIAY KEON K IS MEI DOODH DALTA HAI AUR DOODH JANWARON K THANO MEI SE NIKALTA
HAI , GHARRI KA PATTA CHAMRRY KA NA HO, JOOTA CHAMRRAY KA NA HO, KEON K YEH
CHEEZEN JANWARON KI KHAL SE TAYAR HOTI HEN.
RAAZ-31: AMLIYAT K DORAN PHALON KA ISTEMAL BHI NAHI KARNA CHAHIAY ISI TARAH KISI
LAKRRI KI CHEEZ BHI ISTEMAL NA KAREN DARAKHTON SE MUTALLIQ SIRF KHAJOOR KI
CHATAYE KI IJAZAT HAI WARNA DARAKHTON KO JANWARON KI MISAL SAMAJHNA CHAIAY.
RAAZ-32: DORAN-E-CHILLA AMIL KO CHAHIAY K WOH KISI CHOTAY SE CHOTAY JANWAR KA
BHI KHOON NA KARE MASLAN MAKHI AUR MACHAR KO BHI MARNE SE AMAL BE'ASAR HO
JAYE GA NEEZ NAKHUN KAT'TAY WAQT IS BAT KI EHTEYAT RAKHAY K KHOON NA NIKLAY
AGAR AMIL K JISAM K KISI BHI HISSA SE KHOON NIKAL GEYA TO BHI AMAL BEKAR HO JAYE
GA.
RAAZ-33: AMAL JARRAY KI SARD RATON MEI KARNA CHAIAY , IN RATON MEI YAKSOOYE
ZEYADA HOTI HAI RATEN BHI LAMBI HOTI HEN AUR HASHRAT-UL-ARZ SE BHI INSAN MEHFOOZ
REHTA HAI.
RAAZ-34: AMAL K DORAN TADAD K SATH SATH AMIL KO CHAIAY K WOH YAKSOO RAHE
DHEYAN APNA IDHAR UDHAR NA LEJAYE TADAD MEI KISI QADAR KAMI BESHI BHI GAWARAH
HO GE LEKIN SEHAT-E-ALFAZI K SATH ROZANA AMAL KI TAKMEEL ZAROORI HAI.
RAAZ-35: HAR AMAL SE MUTALLIQ DUROOD HOTA HAI AGAR WOH YAD NA HO TO DUROODE-IBRAHEEMI KO TARJEEH DEN AWWAL WA AAKHEER DUROOD SHARIF PARRHNA ZAROORI
HAI WARNA AMAL MEI NORANIYAT PEDA NAHI HO GE.
RAAZ-36: AMIL KO CHAHIAY K AISE AMAL KO TARJEEH DE JO ZEYADAH SE ZEYADAH 4
GHANTAY MEI PURA HO JATA HO KEON K US SE ZEYADAH DAIR MEI PURI HONE WALI TADAD
AMIL K LIAY MASLA BANTI HAI AUR US KI ZUBAN LARR'KHARRANE LAGTI HAI.
RAAZ-37: JO BHI AMAL KAREN US KO PEHLE BILA NEYYAT 3 DIN TAK BATOR-E-TAJARBA KAR K
DEKHEN K AMAL KITNI DAIR MEI PURA HO RAHA HAI US K BAD BA'QAYEDAH CHILLAY KA
EHTAMAM KAREN.
RAAZ-38: AMIL KO CHAHIAY K AMAL SE PEHLE TAAZAH GHUSAL K BAD NAYA PASANDEEDAH
YA SUFED LIBAS PEHAN KAR 2 NAFAL NEMAZ PARRHAY AUR ALLAH SE APNE AMAL KI
KAMYABI KI DUA KARE.

RAAZ-39: AMAL SE PEHLE KAMYABI AUR APNI DUA KI QABOOLIYAT KA MUKAMMAL YAQEEN
DIL MEI HONA CHAHIAY SHAK WA BE'YAQEENI YA BE'ITMENANI AMAL KI NAKAMI KA SABAB
BANTI HAI.
RAAZ-40: AMAL K PEHLE DIN AUR AMAL K AAKHRI DIN KAM SE KAM 3 AADMIYON KO PET
BHAR K KHANA KHILANA CHAHIAY ZEYADAH SE ZEYADAH APNI WUSSA'AT K MUTABIQ LEKIN
TADAD TAQ RAHE TO BEHTER HAI, KHANA KHILANA ALLAH KO PASAND HAI IS LIAY IS KI
BARKAT SE AMAL MEI NOORANIYAT PEDA HOTI HAI.
RAAZ-41: AMIL KO CHAHIAY JIS USTAD KI REHNUMAYE SE YA JIS KITAB K ISTEFADAH SE YA JIS
BUZURG KI DUA SE YA JIS AMIL KI SARPARASTI MEI WOH APNA AMAL SHURU KARAY YA JARI
RAKHAY US KI DIL SE QADAR KARNI CHAHIAY AUR UN K LIAY DUA-E-KHAIR KARNI CHAHIAY JO
AMIL IS FARMOLAY PER AMAL KARTA HAI US KO ALLAH PAK MAQASID-E-HASANA MEI
KAMYABI ATA KARTY HEN AUR US KI IZZAT WA MAQBOOLIYAT MEI DIN BA DIN IZAFA HOTA
HAI.
ROOHANI AMLIYAT K YEH TAMAM SAR'BASTA RAAZ UN TAMAM HAZRAT K LIAY YAKJA KAR
DIAY GAYE HEN JO IN ZIMMADARIYON KO ADAA KARNE K AEHAL HON AUR JO MEHNAT-OREYAZAT SE KAMYABI HASIL KARNA CHAHTAY HON.
RAAZ-42: ROOHANI AMLIYAT MEI ROOHANIYAT KO APNE QALB MEI SAMETNAY K LIAY
ZAROORI HAI K AMIL ALLAH K ZIKR SE APNI ZUBAN KO HAMESHA SAR'SHAR RAKHAY AUR
AKABIREEN K FARMUDAT K MUTABIQ ZIKR K SILSILAY KO JARI RAKHAY TA K WOH
ROOHANIYAT KI DOLAT SE SARFARAZ HO SAKAY , FAN APNI JAGAH HAI AUR FAZL-E-KHUDA
WANDI APNI JAGAH, AUR ASAL CHEEZ FAZL-E-KHUDA WANDI HE HAI AUR FAZL-E-KHUDA
WANDI KI DOLAT SE AMIL IS WAQT HOTA HAI JAB WOH ALLAH K ZIKR KO AIK KHAS TAREEQAY
SE AUR AIK KHAS ANDAZ SE KARAY MASLAN BUZURGON NE FARMAYA K....
* ATWAR K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S. ALAM NASHRAH 40 MARTABA PARRHAY AUR
MAGHRIB K BAD YA ALLAH 66 MARTABA PARRHE.
* PEER K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S.FATIHA 40 MARTABA PARRHAY AUR NAMAZ MAGHRIB
K BAD YA BASITU 72 MARTABA PARRHAE.
* MANGAL K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S.AN NASR 40 MARTABA PARRHAY AUR NAMAZ
MAGHRIB K BAD YA MUGHNIYU 110 MRTABA PARRHE.
* BUDH K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S. EKHLAS 40 MARTABA PARRHAY AUR NAMAZ
MAGHRIB K BAD YA BASEERU 100 MRTABA PARRHE.
* JUMERAT K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S.QADAR 40 MRTABA PARRHAY AUR NAMAZ
MAGHRIB K BAD YA JALEELU 73 MRTABA PARRHE.

* JUMMA K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD S.QURESH 40 MRTABA PARRHAY AUR NAMAZ


MAGHRIB K BAD YA WADOODU 120 MARTABA PARRHE.
* SENECHAR(HAFTA) K DIN NAMAZ-E-FAJAR K BAD MA'OOZTEN 40 MRTABA PARRHAY AUR
NAMAZ MAGHRIB K BAD YA WAKEELU,YA KAFEELU 100 MRTABA PARRHE.
IN'SHAA'ALLAH AZZAWAJAL IN WAZAYEF KI PABANDI SE QALB WA ROOH MEI SAFAYE AUR
TAHARAT PEDA HO GE AUR PARRHNAY WALA DOLAT-E-ROOHANIYAT SE SAR'SHAR HO GA.

AMIL KE FARYEZ AUR ZIMMADARIYAN


ROOHANI AMLIYAT KI LAYEN AIK MUQADDAS AUR PAKEEZAH LAYEN HAI IS LAYEN SE
DILCHASPI RAKHNAY WALAY HAZRAT K LIAY ZAROORI HAI K WOH IS RAH PER CHALNE K
ASOOL AUR QAWAYED SE PURI TARAH WAQIF HOUN AIK AMIL K ANDER KYA KYA
KHASOOSIYAT HONI CHAHIAY AUR USKO KIN KIN OSAAF SE BEHRA'WER HONA CHAHIAY WOH
SAB IS NOTES MEI KHOL DIAY GAYE HAEN YEH NOTES AIK AAYENA HAI AMIL KO IS AAYENE
MEI APNI TASWEER DEKHNI CHAHIAY AUR AGAR AAYENA SACH BOL RAHA HO TO USKI
SACHAYE KA EHTARAM KARTY HOYE APNI SHAKHSIYAT KI NOK PALAK DURUST KARNI
CHAHIAY AAYENE PER TAAO KHANE KI ZAROORAT NAHI ZAROORAT APNE KHAD-O-KHAL KO
BEHTER BANANY KI HAI TA K IS RAH PER CHAL KAR AWAM WA KHAWAS KI BEHTER KHIDMAT
KI JA SAKAY JAB TAK AMIL APNE ANDER WOH KHASOOSIYAT PEDA NAHI KARE GA JO
BUZURGON KA TARKA HEN TAB TAK WOH IS RAH MEI KAMYAB NAHI HO SAKTA AUR NA KISI K
KAM AA SAKTA HAI SIRF APNE MAFADAT PURAY KAR LENA KAMAL NAHI KAMAL YEH HAI K
HUM SAHEE TREEQON SE IS RAH MEI LOGO K KAM AAYEN AUR YEH USI WAQT MUMKIN HAI K
JAB HAM K JAB HAM NE UN FARAYEZ-O-WAJIBAT KO AEHAM SAMAJH LIYA HO JO IS RASTE K
AEHAM SUTOON HEN AUR JIN PER AMAL KIAY BEGHAIR "AMIL KAMIL" BAN'NA QATAN NA
MUMKIN HAI
AMIL KE FARAYEZ
1- RIZQE HALAL KHANE KA PABAND HO AADI HO AUR HARAM CHEEZON SE USAY NAFRAT HO
2- SACH BOLNA IS KA MIZAJ HO JHOOT BOLNE SE USAY NAFRAT HO
3- TAHARAT ZAHIRI SE BEHRA'WER HO HAMESHA BA'WUZU REHNE KI AADAT HO
4- TAHARAT BATINI SE BHI BEHRA'WER HO US K KHAYALAT PAKEEZAH HON NEYYAT USKI SAF
SUTHRI HO DIL MEI KHIDMAT-E-KHALQ KA JAZBA HO
5- ALLAH KI SARI MAKHLOOQ SE MOHABBAT KARNE KA MIZAJ HO KISI AIK MASLAK KA BHOOT
US PER SAWAR NA HO BILA TAFREEQ MAZHAB-O-MILLAT LOGO KI KHIDMAT K LIAY HAR
WAQT KAMAR BASTA HO

6- LAB-O-LEHJA NARAM HO MAKHLOOQ K DARD KO APNE DIL MEI MEHSOOS KARNE KI


SALAHIYYAT HO MAREEZON SE MOHABBAT KARNE KA MIZAJ HO
7- ALLAH PER EMAN KAMIL HO AUR AUR YEH YAQEEN DIL MEI HO K TAVEEZAT KI HESSIYAT
TADBEER KI HAI AUR FANN-E-AMLIYAT KI HESSIYAT HUSN-E-TADBEER KA DARJA RAKHTI HAI
LEKIN HUKME KHUDA WANDI AUR IZN-E-KHUDA WANDI K BEGHAIR KISI BHI MUQADDAS
KAMYABI KA IMKAN NAHI
8- AMIL KO KAMYABI KI NISBAT ALLAH KI TARAF KARNI CHAHIAY AUR NAKAMI KI SURAT MEI
YEH SAMAJHNA CHAHIAY K IS SE KOYE KOTAHE HO GAYE HO GE WARNA AKABIREEN K
TAJARBAT BARHAQ HEN
9- KHALOOS-E-LILLAHIYYAT SE PURI TARAH SARSHAR HO
10- AMIL K LIAY ZAROORI HAI K WOH JAB BHI KISI AMAL KI SHURU'AT KARE TO DUROOD
SHARIF SE SHURU KARE HAN AL'BATTA MANFI KAMON MEI DUROOD SHARIF NA PARRHE
11- JIN AYYAM YA SA'ATON MEI AMAL KARY UNKI SA'ADAT WA NAHOOSAT KO PESH-ENAZAR RAKH KAR AMAL K MAWAFIQ PARHEZ JALALI WA JAMALI KARY AUR SITARON K
MUTABIQ BAKHOORAT KA EHTAMAM KARY KHANE PEENE KI CHEEZON MEI KHAS TOR SE
ACHI BURI TASEER HOTI HAI IS LIAY KHANE PEENAY MEI ACHI TARAH SE EHTEYAT KARE AUR
ZUBAN KO LA'YANI GUFTAGOO SE MEHFOOZ RAKHE
12- AMIL KO CHAHIAY K MUSBAT NAQSOOH LIKHTAY WAQT BADBOO'DAR CHEEZON SE
BACHE AUR MANFI NAQOOSH LIKHTY WAQT IS TARAH KI CHEEZON KA ISTEMAL RAKHE
13- KISI BHI AMAL KO QABOO KARNE K LIAY JAGAH AUR WAQT KI PABANDI KARNA ZAROORI
HAI JAGAH YA WAQT KI TABDEELI SE AMAL KI TASEER WA QUWWAT MEI KAMI PEDA HO JATI
HAI
14- KISI BHI AMAL KO QABOO MEI KARNE K BAD IS AMAL KO KISI NA KISI MIQDAR MEI
ROZANA PARRHNA ZAROORI HAI TA K AMAL QABOO MEI RAHE
15- AMAL K LIAY KISI REHNUMA KI REHNUMAYE ZAROORI HAI AUR JIS KO AMIL APNA
REHNUMA YA USTAD TASLEEM KARTA HO US K HUKAM KI THEEK THEEK TAMEEL KARNA
ZAROORI HAI
16- BE WUZU NA KOYE AMAL KAREN NA KOYE NAQSH LIKHEN BIL'KHSOOS WOH NAQOOSH JO
AAYT-E-QURANI PER MUSHTAMIL HON UN K LIKHNE SE PEHLE WUZU KARNA ZAROORI HAI
17- AMIL KO CHAHIAY WOH APNE LIKHAY HOYE NAQOOSH PER KHUD BHI YAQEEN KAMIL
RAKHTA HO AUR YEH SAMAJHTA HO K IS K NAQOOSH ILMI AUR FIKRI ETBAR SE AIK ACHI
TADBEER KI HESSIYAT RAKHTY HEN AUR IN K ISTEMAL SE ZAROORAT MANDON KO APNE
MAQASID MEI BE'IZNILLAH YAQEENAN KAMYABI MIL SAKTI HAI

18-AMIL KO CHAHIAY WOH JIS AAYT QURANI YA ISM KA NAQSH LIKHE NAQSH LIKHNE K BAD
US AAYAT YA US ISM KO KAM SE KAM AIK MARTABA PARRH KAR NAQSH PER DAM KAR DE YA
PHIR AAYAT AUR ISM ILAHE K MUFRAD ADAD K BARABAR PARRH KAR DAM KAR DE , MASLAN
AGAR WOH YA''BASITU'' KA NAQSH LIKHE TO 9 MARTABA YA BASITU KO PARRH KAR NAQSH
PER DAM KARY
19- AAYAT QURANI AUR ISME ILAHE K ADAAD DURUST NIKALE IS MEI AGAR KHATA HO GAYE
TO NAQSH DURUST NAI BANE GA AUR JAB NAQSH DURUST NAHI BANE GA TO TASEER ZAHIR
NAHI HO GE

CHILLA KASHI

KOYE BHI AMIL CHILLA KASHI K BEGHAIR AMLIYAT MEI KAMYAB NAHI HO SAKTA AIK CHILLA
AMOOME TOR PER 40 DIN KA HOTA HAI AUR 40 DIN LAGATAR AIK AMAL KARNE SE US MEI
TASEER PEDA HO JATI HAI 40 DIN K BAD US AMAL K ANWAR-O-ASAAR AMIL KI ZUBAN WA
QALB PER JARI HO JATAY HEN BA'SHART K DORAN-E-CHILLA AMIL SE KISI TARAH KI KOYE
KOTAHE SARZAD NA HOYE HO

CHILLA KASHI KI SHARAYET


CHILLA KASHI KI SHARAYET YEH HEN,
1- KISI MUSTANAD AMIL KAMIL KI REHNUMAYE MEI CHILLE KI SHURUWAT KARE APNI AQALO-FEHAM KO IMAM BANANY KI GHALTI NA KARE JIS AMIL SE REHNUMAYE HASIL KARE US KI
HADAYAT KO PESH-E-NAZAR RAKH KAR AMAL SHURU KARE SABAR-O-ZABT SE CHILLA PURA
KARE JALD BAZI K MUZAHIRAH NA KARE NA KISI BE'SABARI KA MUZAHIRAH KARE HATHLE PER
SARSON JAMANY KI GHALTI NA KARY APNE WAQT PER KHUD BA KHUD ASRAT ZAHIR HOTAY
HEN AUR WAQT-E-MUAYYANA SE QABAL KUCH ZAHIR NAHI HOTA IS LIAY SABAR-O-ZABT
NEHAYAT ZAROORI HAI
2- AMIL K LIAY RIZQ-E-HALAL BEHAD ZAROORI HAI KEON K AGAR PET MEI HARAM ROZI JATI
HAI TO PHIR DUA QABOOL NAHI HOTI AUR AMAL MEI TASEER BHI PEDA NAHI HOTI
"ROOHANI AMLIYAT" MEI HALAL RIZQ HONA BUNYADI SHART HAI AGAR KOYE AMIL DANISTA
AIK LUQMA HARAM KHATA HAI TO 40 DIN TAK USKI EBADAT BHI QABOOL NAHI HOTI DUA
KYA QABOOL HO GE AMIL KO YAQEEN RAKHNA CHAIAY K JO ISKI TAQDEER MEI ROZI LIKHI HAI
WOH US KO MIL KAR RAHE GE IS LIAY LOGO K SAMNAY HATH PHELANA BHI AMIL K LIAY ACHA
NAHI HAI JO HATH BAR BAR LOGO K SAMNAY PHELTA HAI IS HATH KI TASEERAT FANA HO JATI
HEN IS LIAY AMIL KO CHAHIAY K WOH BAR BAR K MUTALBE SE KHUD KO MEHFOOZ RAKHE
AUR BOHAT HE HIKMAT-E-AMALI , ADAYE BENEYAZI WA KHUDDARI SE IS LAYEN MEI APNA

SAFAR JARI RAKHE JO LOG ALLAH K BANDON K SATH LOOT MAR WALA RAH EKHTEYAR
KARTAY HEN WOH KISI BHI HALAT MEI "KHADIM" KEHLANE K HAQDAR NAHI HEN
3- DORAN-E-CHILLA AISE GHIZAON SE DOOR REHNA CHAIAY JO SUSTI KA BAYES BANTI HON IS
LIAY TARK-E-HEWANAT MEI GOSHT WAGAIRAH KI PABANDI AAYED KI JATI HAI KEON K GOSHT
KHORI SE NEEND KA GHALBA REHTA HAI DORAN-E-CHILLA BEHTER TO YEH HAI AMIL ZINDAGI
BAQI RAKHNE K LIAY MAMOOL DARJE KI KHORAK LE PET BHAR K KHANA MUNASIB NAHI
4- AGAR DORAN-E-CHILLA AKSAR ROZA SE RAHE TO AFZAL HAI
5- CHILLA KASHI K LIAY KISI AISE JAGAH KA INTEKHAB KARNA CHAHIAY JAHAN MAKHLOOQ KA
GUZAR NA HO AUR AMIL KO YAKSOOYE KI JAGAH BETH KAR AMAL KARNA CHAHIAY AAJ KAL
CHILLA KASHI K LIAY MUNASIB JAGAH NASEEB NAHI HOTI KEON K AABADIYAN BOHAT BARRH
GAYE HEN AUR SHEHRON MEI MAKAN BOHAT CHOTAY HEN IN MAKANO MEI YAKSOOYE
HASIL NAHI HOTI AGAR AMIL KISI AISE JAGAH AMAL KAR RAHA HAI JAHAN T.V KI REDIO KI YA
KISI BHI TARAH K GAANE BAJANE KI YA LOGO KI GUFTAGU KI AAWAZ AA RAHE HO TO WAHAN
AMAL MEI KAMYABI MILNA NA'MUMKIN HAI AAJ KAL MASAJID K KAMRAY BHI SHOR-O-GHUL
SE MEHFOOZ NAHI HEN IS LIAY AMAL K LIAY KOYE AISE JAGAH TALASH KARNI CHAHIAY
KHAWAH IS K LIAY KAHEEN WEERANE MEI JANA PARRAY JO BILKUL ALAG THALAG HO AUR
HAR TARAH KI AWAZON SE WOH MEHFOOZ HO
6- DORAN-E-CHILLA AMIL KO CHAHIAY APNI ZUBAN KI HIFAZAT RAKHAY
JHOOT,GHEEBAT,ILZAM TARASHI KALMAT-E-DIL SHIKNI WAGHERAH SE APNI ZUBAN KO PURI
TARAH MEFOOZ RAKHE WARNA AMAL KI TASEER ZAHIR NAHI HO GE
7- AMAL SHURU KARNE SE PEHLE KUCH NA KUCH SADQA KAR DENA ZAROORI HAI AGAR HAR
ROZ SADQA KARTA RAHE TO AUR BHI ACHA HAI
8- PARHEZ DORAN-E-AMAL ZAROORI HEN AUR BADBOO DAR CHEEZEN JESE KACHA PEYAZ ,
KACHI LEHSAN WAGHAIRAH K ISTEMAL SE DOOR RAHE
9- AGAR GHUSAL KARNE MEI KOYE PARESHANI NA HO TO ROZANA TAZAH GHUSAL KAR K
AMIL APNA AMAL SHURU KARE WARNA WUZU K SATH AMAL SHURU KARE AGAR AMAL SE
PEHLE 2 NAFAL PARRH LE TO AFZAL HAI
10- DORAN-E-AMAL BAKHOORAT ZAROORI HEN AGAR SITARON K MUTABIQ HON TO BEHTER
HAI
11- DORAN-E-CHILLA KASHI AMIL KO CHAHIAY MAKHLOOQ SE ZEYADAH NA MILA JULA KARE
KAM UMAR LARRKO AUR ORATO SE KHUD KO DOOR RAKHE NEEZ DUNIYADAR QISAM K LOGO
SE BILKUL NA MILE WARNA IS K AMAL PER IN CHEEZON KA ASAR PARRAY GA AUR AMAL ZAYA
HO JAYE GA
12- AMAL QIBLA RUKH BETH KAR KARE AUR DO'ZANO JIS TARAH NAMAZ MEI TASH'HUD MEI
BETHTAY HEN US TARAH BETHAY AUR AMAL KI NEYYAT KARE AUR YEH BHI NEYYAT KARE K

YEH AMAL MEI ROZANA ITNI TADAD MEI AUR ITNAY DINO MEI MUKAMMAL KARON GA AGAR
AMAL BA MOAKEL HAI TO PEHLE ROZ QIBLA RU BETHAY US K BAD RIJAL-UL-GHAIB KA LEHAZ
RAKHTAY HOYE ROZANA APNA RUKH BADALTA RAHE
13- AGAR AMAL AIK CHILLA MEI KAMYABI NA HO TO DOBARA US AMAL KO KARE AUR HARGIZ
HARGIZ MAYOOS NA HO YAQEEN RAKHE K AKABIREEN NE JO TAJARBAT KITABON MEI LIKHAY
HEN 100% DURUST HEN IN MEI KISI BHI TARAH KI NAKAMI APNI KISI NA KISI KAMI YA
KOTAHE KA NATEEJA HAI AIK AMAL KO NAKAM HONAY K BAD PHIR DOBARA KARE DOBARA
BHI NAKAMI HO TO TEESRI BAR KARE IN'SHAALLAH TEESRI BAR ZAROOR KAMYABI MIL JAYE
GE
14- HAR AMAL K SHURU MEI 11 BAR DUROOD SHARIF PARRHE IS TARAH AMAL K KHATAM
PER BHI ROZANA 11 BAR DUROOD SHARIF PARRHE DUROOD SHARIF PARRHNE SE AMAL MEI
NORANIYAT PEDA HOTI HAI AUR DUROOD PAK KI BARKAT SE DUAAEN AUR AAMAL BARGAH
KHUDA'WANDI MEI MAQBOOL HO JATY HEN IS LIAY DUROOD KA EHTEMAM ROZANA AMIL
KO KARNA CHAIAY
15- JIN AMLIYAT MEI BEGHIAR SILA HOWA KAPRRA PEHANA HO UN BEGHAIR SILA HOWA
KAPRRA PEHNE YANI EHRAM BANDHE LEKIN AMAL K DORAN HE EHRAM BANDHNA CHAIAY
24 GHANTAY EHRAM MEI REHNE KI ZAROORAT NAHI JIN AMLIYAT MEI BEGHAIR SILA KAPRRA
PEHNANY KI SHART NAHI HOTI UN MEI KOYE SA BHI LIBAS PEHAN LEN LEKIN SUFED RANG K
LIBAS KO TARJEEH DEN AUR AMAL K DORAN JO LIBAS PEHNEY AMAL K BAD USAY UTAR DEN
LEKIN ROZANA US LIBAS KO DHONE KA EHTEMAM KAREN AGAR AMIL APNA LIBAS APNE
HATHO SE KHUD DHOYE TO BEHTER HAI
16- AMIL APNE KHANE PEENAY AUR KHANA PAKANY K BARTEN ALAG RAKHE
17- AMAL HAMESHA NO'CHANDI JUMERAT SE SHURU KARE BA'SHART K QAMAR DAR AQRAB
NA HO QAMAR DAR AQRAB HO TO AGLE MAH KA INTEZAR KAREN
18- NO'CHANDI JUMERAT US JUMERAT KO KEHTAY HEN JO CHAND KI 3 TAREEKH K BAD AAYE
PEHLI JUMERAT AUR NO'CHANDI JUMERAT MEI FARQ HOTA HAI CHAND KI PEHLI, DOSRI YA
TEESRI TAREEKH KO JO JUMERAT AAYE GE US KO PEHLI JUMERAT KAHEN GE AUR JO CHAND KI
3 TAREEKH K BAD 14 TAREEKH SE PEHLE JUMERAT AAYE GE US KO NO'CHANDI JUMERAT
KAHEN GE ISI TARAH NO'CHANDI ITWAR WAGHAIRAH KO QEYAS KAREN
19- AGAR KOYE WAEEFA WAQT MUQARRAR PER NA PARRHA JA SAKAY KISI SHDEED
MAJBOORI KI WAJA SE TO US WAZEEFA KO NAMAZ-E-FAJAR K BAD SE NAMAZ-E-ZOHAR TAK
PARRH LE TA K NAAGHA NA HO LEKIN BOHAT HE SHADEED MAJBOORI MEI IS REYAT SE
FAYEDAH UTHAYE KHAWAMAKHA AMAL KO QAZA NA KARY AIK CHILLA MEI AGAR 4
MARTABA SE ZAYED AMAL WAQT-E-MUQARRARAH PER NA PARRHA JAYE TO PHIR WOH
BE'ASAR HO JATA HAI

20- DORAN-E-CHILLA AMIL KO CHAHIAY K AAJIZI AUR INKASARI KO MALHOOZ RAKHE


LARRAYE JHGARRA, BEHAS MUBAHISA AUR LA YANI BATON SE KHUD KO DOOR RAKHE KEON
K YEH BATEN AMAL PER ASAR ANDAZ HOTI HEN AUR IS K SATH AMIL APNE AMAL KO
HATTA'AL'AMKAN POSHEEDAH RAKHE IS KA PARCHAR NA KARE
21- AMIL K LIAY YEH BHI ZAROORI HAI K JIN ZARAYE YA JIN SHKHSIYAT SE ISKO REHNUMAYE
AMAL MUYASSAR AAYE HO UMAR BHAR UN ZARAYE AUR UN SHAKHSIYAT KI QADAR KARE
AUR DIL SE UN KA EHTARAM KARE
22- ZIKR-E-ELAHI K SATH FIKR AUR GHOUR-O-GHOZ SE BHI AMIL KO WABASTA REHNA
CHAIAY
23- AMIL KO CHAHIAY WOH HAR HAL MEI HAR SURAT MEI YEH YAQEEN RAKHE K KHDA
WADAHU LA SHAREEK K IZN K BEGHAIR IS DUNIYA MEI KUCH NAHI HOTA , JO AMIL YEH
SAMAJHTA HAI YA BAWER KARATA HAI WOH CHUTKI BAJATAY HOAY KHUD LOGO KI
TAQDEER BADAL DETA HAI TO WOH AMIL NAHI WOH SHETAN HAI
24- AMIL KO CHAHIAY ALLAH K SAB BANDON SE BILA TAFREEQ MAZHAB-O-MILLAT AUR BILA
TAFREEQ MASLAK MOHABBAT KARY AUR UNKI KHIDMAT K LIAY KHUD KO WAQF KAR DE
25- AMIL K LIAY YEH BHI ZAROORI HAI K ROZANA AAMDANI MEI SE KUCH NA KUCH KHERAT
KARTA RAHE AUR ZAKAT WA SADQAT MEI HARGIZ HARGIZ KOTAHE NA KARY IN K ELAWAH
ACHA AMIL HAR KHOOBI KO EKHTEYAR KARTA HAI AUR HAR KHARABI AUR BURAYE SE APNA
DAMAN BACHATA HAI ISI MEI US KI AAFIYYAT HAI AUR ISI MEI US KI AZMAT HAI

AAKHRI BAT YEH HAI K AIK ACHAY AMIL KI NEYYAT AAYENAY KI TARAH SAF HOTI HAI JIN
AAMILEEN KI NEYYAT KHARAB HO YA JIN KA MAQSAD SIRF DOLAT SAMETNA HO WOH IS
DUNIYA MEI MUMKIN HAI KAMYAB HO JAYEN LEKIN AAKHIRAT MEI KHASARE MEI RAHEN GE
SOCH-O-FIKAR KI APNI NAZAR KI APNE USTADON KI PURI TARAH HIFAZAT KAREN AUR
SHETANO KI CHALON SE GHAFIL NA RAHEN.

AMIL KE LIYE MAZEED HADAYAT

ROOHANI AMLIYAT K MEDAN MEI QADAM RAKHNE WALE HAZRAT KO JIN BUNYADI
MALOOMAT KI ZAROORAT HAI WOH YEH HEN

1- ILM-E-ABJAD SE ITNI WAQFIYYAT HO K ASMA-E-ILAHE , AAYAT-E-QURANI, ASMA-EMUHAMMADI AUR INSANO K NAMO K ADAAD BA'KHOOBI NIKAL SAKTA HO

2- MAJMOOYE ADAAD, MURAKKAB ADAAD AUR MUFRAD ADAAD NIKALNE KI MAHARAT HO

3- HAROOF-E-QAMRI AUR HAROOF-E-SHAMSI AZBAR HON AUR UN K ADAAD BHI AZBAR HON

4- ABJAD-E-QAMRI MEI 'GHAYEEN'' K ADAAD AIK HAZAR 1000 HOTAY HEN AUR ABJAD-ESHAMSI MEI 'YAA'' K ADAAD AIK HAZAR 1000 HOTAY HEN

5- IS K ELAWAH KUL ABJADEN 28 HEN UN SAB ABJADON SE AIK AMIL KO WAQIF HONA
CHAHIAY AUR UN K ADAAD SE BHI AMIL KO WAQIF HONA CHAHIAY

6- MAHIREEN-E-JAFAR NE MOAKEL BANANY K MUTADID TAREEQAY DARYAFT KIAY HEN AMIL


KO MOAKEL BANANY K TAREEQON SE BA'KHOOBI WAQFIYYAT HONI CHAIAY

7- AZEEMATEN BHI AKABIREEN SE MANQOOL LEKIN AMIL K ANDER ITNI SALAHIYYAT HONE
CHAHIAY K WOH HASB-E-ZAROORAT AZEEMAT KHUD TAYAR KAR SAKE

8- ISI TARAH AWAN, KHALEEFA, JIN, WAGHIRAH BANANY KI TARKEEB BUZURGON SE


MANQOOL HEN AMIL K ANDERYEH SALAHIYAT HONI CHAHIAY K WOH ASMA-E-ELAHI K
MUKHTALIF AAYAT-E-QURANI K AUR MUKHTALIF KALMAT K MOAKEL, AWAN, KHALEEFA, AUR
JIN AKHAZ KAR LE AUR PHIR HASB-E-QAYEDAH UN SE ROOHANI IMDAD HASIL KARY

9- AMIL KO SADQAT , ZAKAT BAKHOORAT WAGHIRAH SE MUKAMMAL WAQFIYYAT HONI


CHAIAY

10- AMIL KO ANASIR-E-ARBA AUR HAWAS-E-KHAMSA AUR ILM E RIJAL'UL GHAIB SE BHI
WAQFIYYAT HONA ZAROORI HAI

11- AMIL K LIAY ZAROORI HAI K WOH ILM-E-ADAAD , ILM-E-NAJOOM, AUR ILM-E-SA'AT SE
BA'KHABAR HO

12- ADAD KI DOSTI DUSHMANI HAROOF K ANASIR AUR SA'AT K SAD-O-NEHAS K BARE MEI
ZAROORI MALOOMAT HASIL HON

13- SHRAYET-E-AAMAL AUR AOQAT-E-AMAL MUTAEYYAN KARNE K TAREEQON SE WAQIF HO

14- AAYAT-E-QURANI K ZARIAY MATLOOBA MAQASID MEI KAMYABI HASIL KARNE K ZARAYE
AUR TADABEER KI MALOOMAT RAKHTA HO

15- AQAYED PUKHTA HON, ALLAH KI WAHDANIYYAT PER KAMIL YAQEEN HO


HUZUR NABI KAREEM SAL'ALLAHO ALEHE WA SALLAM KI AZMAT-O-RIFA'AT K EHSAS SE QALBO-NAZAR PURI TARAH SARSHAR HON AUR DUROOD PAK KI ZAROORAT WA AEHMIYYAT KA
PURI TARAH ANDAZAH RAKHTA HO

16- ZAHIRI WA BATINI TAHARAT KA HAMIL HO

17- AMIL K LIAY BEHTER TO YEH HAI KITAB ALLAH KI KA HAFIZ HO WARNA AMIL K LIAY
ZAROORI HAI CHAND SURTEN SAHEE SAHEE TALAFFUZ K SATH YAD KAR LE
MASLAN, S.YASEEN, S.REHMAN, S.MUZZAMMIL, S.MULK, 4 QUL SHARIF, AAYAT UL KURSI,
S.ALBAQARA KI AAKHRI AAYAT WAGHERAH IN SAB K ELAWAH ALLAH TA'ALA K 99 SIFATI
NAME AMIL KO YAD HON AUR UN K ADAAD AUR MA'ANI BHI AMIL KO MALOOM HON

18- AMIL K LIAY ZAROORI HAI USKO NAQSH BHARNE K TAMAM TAREEQON SE WAQFIYYAT HO
AUR AMIL DORAN-E-AMAL NISHIST WA BARKHAST K ASOOLON SAY BHI PURI TARAH WAQIF
HO

19- AMIL KO MUKHTALIF QISAM K DUROOD BHI YAD HONE CHAIAY KEON K BAZ UMOOR MEI
BAZ DUROOD BOHAT MUFEED AUR MOASSER SABIT HOTAY HEN

20- AMIL K LIAY YEH BHI ZAROORI HAI K WOH INSANI NAMO K MA'ANI SE WAQFIYYAT
RAKHTA HO AUR UN K ADAAD NIKALNE KI BHI US MEI BHARPOOR SALAHIYYAT MOJOD HO

21- HAR AMIL KO CHAIAY K WOH S. YASEEN K IBTEDAYE CHILLON SE GUZAR CHUKA HO JO US
KO RUJJAT AUR INQALAB-E-AMAL SE MEHFOOZ RAKHTAY HEN
22- AMIL KO CHAHIAY HISAR BANDHNE AUR IS K TAREEQON SE WAQIF HO AUR HISAR QATBI
KI IS NE ZAKAWT ADA KAR RAKHI HO IS K ELAVAH AMIL KO HIZB-UL-BEHAR KI ZAKAWT BHI
ADAA KARNI CHAIAY NEEZ CHEHAL KAF , AAYAT-E-QUTAB, AAYAT-E-HIRS WAGHAIRAH KI
ISKO MUKAMMAL JANKARI HO IS NE ZAKAWT BHI ADAA KAR RAKHI HO
23- ASHAB-E-KEHAF K NAAM BHI ROOHANI AMLIYAT MEI BOHAT AEHMIYYAT RAKHATY HEN
AMIL KO CHAHIAY INHEN YAD KAR LE AUR IN SE BHI ISTEFADAH HASIL KARE

AMIL KE LIYE MAZEED WAJIBAT

* AMIL K LIAY YEH BAT BHI LAZIM HAI K CHILLA KASHI K DORAN WOH APNE BISTER PER KISI
AUR KO NA SONAY DE AUR NA HE WOH KISI K BISTER PER SOYE APNE ISTEMAL K BARTAN
WAGHAIRAH KO BHI KISI DOSRE KA HATH NA LAGNE DE AUR NA HE DOSRON K BARTANO KO
ISTEMAL KARE KEON K HAR INSAN KI APNI ZATI ZAROORIYAT HOTI HEN AUR JAB BHI KOYE
INSAN KISI CHEEZ KO HATH LAGATA HAI TO SIRF ISKO CHOO LENAY SE BHI USKI SHAKHSIYAT
KI KHOOBI US CHOOYE HOYE SHAY MEI PEDA HO JATI HAI IS LIAY MAHIREEN NE IS BAT KI
SAKHT TAKEED KI HAI K DORAN-E-AMAL NA KISI KA ISTEMAL SHUDAH SAMAN KHUD ISTEMAL
KARE AUR NA HE APNA SAMAN KISI DOSRE KO ISTEMAL KARNE DE

* CHILLE K DORAN HAR AMIL K LIAY ZAROORI HAI K WOH ZAHIRI AUR BATINI DONO TARAH KI
TAHARATON KA KHAYAL RAKHE JHOOT,GHEEBAT,BAD'NAZRI WAGHAIRAH SE KHUD KO
MEHFOOZ RAKHE TA K BATINI TAHARAT SE MALA MAL RAHE AUR ZAHIRI TAHARAT KA BHI
HAR LAMHA EHTEMAM KARE MASLAN HAR WAQT BA'WUZU RAHE AUR BILA NAGHA GHUSAL
KARE AGAR MUMKIN HO TO DORAN-E-CHILLA ROZAY SE RAHE WARNA HAR TEESRE DIN ROZA
RAKHE YEH BHI AGAR KAMZORI KI WAJAH SE MUMKIN NA HO TO HAR PEER AUR JUMERAT KA
ROZA RAKHE AUR AMAL K PEHLE AUR AAKHRI DIN GHUSAL KARE

* DORAN-E-AMAL AGAR ROZANA EHRAMI LIBAS PEHNE TO IS SE AMAL KI QUWWAT MEI


IZAFA HO JATA HAI LIBAS JO BHI HO KHUSHBOO SE MOATTER HO KOSHISH KARE K DORAN-EAMAL SUFED LIBAS PEHNE SUFED LIBAS HAR QISAM K AMAL K LIAY BEHTER SABIT HOTA HAI
WARNA PHIR APNI TAQDEER K SITARE KA JO RANG HO US KI MUNASIBAT SE LIBAS ZEB'TAN
KARE

* AMLIYAT MEI QADAM RAKHNE SE QABAL YEH BAT ZEHAN KI GEHRAYE MEI UTAR LENI
CHAHIAY K JIS TARAH DOCTOR AUR TABEEB BAN'NAY K LIAY AIK KHAS MUDDAT TAK TALEEMO-TARBEYYAT K MUKHTALIF MARAHIL SE GUZARNA PARRTA HAI BILKUL ISI TARAH AMIL
KAMIL BAN'NAY K LIAY MEHNAT-O-MUSHAQQAT AUR ILM-O-AMAL KI KAYE MANZILEN TAY
KARNI PARRTI HEN WARNA KUCH HATH NAHI LAGTA AUR KABHI KABHI FAYEDAH HONE KI
BAJAYE ZABARDAST NUQSAN HO JATA HAI AAJ GALI DAR GALI JO LOG DHONI RACHAYE
BETHAY HEN YEH AMIL NAHI HEN MEHAZ PESHA KARNE WALE AUR AIK MUQADDAS FANN KO
BADNAM KARNE WALE LOG HEN JINHO NE 2, 4 KITABE PARRH KAR APNI DUKAN SAJA LI AISE
LOG KHUDA KI SEEDHE SADI MAKHLOOQ KO ULLU BANANY MEI MASROOF HEN

* AGAR AAP FIL'HAQEEQAT AMIL BAN'NA CHAHTAY HEN TO PHIR AAP MEHNAT AUR REYAZAT
K LIAY TAYAR RAHEN KEON K IS K BEGHAIR AMLIYAT KA MEDAN FATAH NAHI HOTA AUR JO
REYAZAT AUR TAQWAY SE JAN CHURATA HO IS KO IS MEDAN MEI QADAM NAHI RAKHNA
CHAHIAY KEON K IS MEDAN KA HAQ UN LOGO K LIAY MAKHSOOS HAI JO MEHNAT AUR
EBADAT K AADI HON

YEH BAT YAD RAKHEN,

1- AMLIYAT AUR NAQOOSH KO KITABON SE JOON KA TOON NAQAL KAR DENA KAR'AAMAD
NAHI HO SAKTA JAB TAK BA'QAYEDAH HAR AMAL AUR NAQSH KI ZAKAWT ADAA NA KAR DI
GAYE HO AGAR ZAKAWT K BEGHAIR KISI AMAL YA NAQSH MEI TASEER PEDA HO GAYE TO YEH
ITTEFAQI BAT HAI AUR KISI ITTEFAQI KAMYABI KO APNA KAMAL SAMAJH LENA NADANI KI
BAT HAI

2- KOYE BHI WAZEEFA PARRHNE YA AMLIYAT KI ZAKAWT ADAA KARNE KI SHURUWAT KARNE
SE PEHLE UN TAMAM SHARAYET WA QAYOOD KO PESH-E-NAZAR RAKHNA CHAIAY JO HAR
AMAIL K LIAY ZAROORI HEN , MASLAN TAHARAT KA EHTAMAM , EBADAT KA ELTEZAM,
KHIDMAT-E-KHLAQ KI PABANDI, SACH BOLNE KI AADAT, HALAL ROZI HASIL KARNE KI FIKAR,

NEYYAT KI SAFAYE AUR KHUDA KI KUL MAKHLOOQ SE MOHABBAT KARNE KA JAZBA


WAGHAIRAH, IN OSAF K BEGHAIR AMIL BAN'NA NAMUMKIN HAI

3- KISI BHI AMIL KO KOYE AMAL KISI KO NUQSAN POHANCHANE K LIAY NAHI KARNA CHAIAY
WARNA ROOHANI TOR PER FAYEDAH KI BAJAYE NUQSAN HO GA MUA'ALIJ SIRF ZINDGI
BACHANE KA KAM KARTA HAI KISI KI ZINDGI CHEEN'NAY KI KOSHISH JAB K YEH MUMKIN BHI
NAHI MUA'ALIJ KA KAM NAHI MANFI AMAL KARNE WALE AAMILEEN KI DEEN-O-DUNIYA
BARBAD HO JATI HAI WARNA IN KA KIYA HOWA INKI OLAD K SAMNE AATA HAI

4- AMLIYAT SHURU KARNE SE QABAL UN TAMAM TAFSEELAT SE BA'KHABAR HONA CHAIAY


JIN KI JANKARI HAR AMIL K LIAY ZAROORI HAI MASLAN SITARON KI TAFSEELAT , SA'ATON KI
JANKARI AUR ILM-E-NAJOOM KI IS HAD TAK MALOOMAT JIS HAD TAK ILM-E-NAJOOM HASIL
KARNA SHAR'AN JAYEZ HAI AUR AGAR SA'ATON K SAEED AUR GHAIR SAEED HONE KI
MALOOMAT WAGHAIRAH NAHI HO GE TO AMIL KO JAGAH JAGAH DUSHWARIYAN PESH
AAYEN GE AUR PHIR WOH IDHAR UDHAR BHATAKNE PER MAJBOOR HO GA

5- AFZAL TO YEH HAI K AMIL BAN'NAY KA SHOQ RAKHNE WALE HAZRAT HAFIZ-E-QURAN HON
LEKIN AGAR HAFIZ-E-QURAN NA HON TO UNHE
S.YASEEN,S.MUZZAMMIL,S.JINN,S.FATAH.S.SAFFAT,S.REHMAN ZAROOR YAD HONE CHAHIAY
AUR QURAN PAK DEKH KAR SAHEE TALAFFUZ K MUSALSAL PARRHNE KI MASHQ HONE
CHAHIAY

6- IS MEDAN MEI QADAM RAKHNE WALE KO YEH BHI MALOOM HONA CHAIAY K US KA
SITARA KONSA HAI USKA MIZAJ KIYA HAI ?

IS PURI DUNIYA KA NIZAM ACHI BURI SA'ATON AUR SITARON PER MUNHASIR HAI BOHAT SE
GHARRIYAN MUBARAK HEN YEHE MAQBOOLIYAT KI GHARRIYAN HEN AUR BOHAT SEE
GHARRIYAN GHER MUBARAK HEN YEH ADAM MAQBOOLIYAT KI GHARRIYAN HEN HAD YEH
HAI K BAZ GHARRIYAN AISE BHI HEN K IN MEI KHUDA KO SAJDAH KARNA BHI JAYEZ NAHI HAI
JAB K DIN RAT MEI BAZ GHARRIYAN AISEE BHI HEN BIL'KHASOOS AAKHRI SHAB KI SA'ATEN K
UN MEI HATH UTHTAY HE DUA QABOOL HO JATI HAI JAB YEH TAMAM BATEN AQEEDATAN
DURUST HEN TO PHIR GHER MUBARAK SA'ATON SE AMLIYAT KI SHURUWAT MEI EHTEYAT
BARATNA HARAM QARAR NAHI PAA SAKTA

BESHUMAR LOG NADANI MEI YA NA'WAQFIYYAT MEI AMLIYAT MEI ACHI BURI SA'ATON KA
LEHAZ NAHI KAR PATAY AUR NAKAM HO JATAY HEN AUR BIL'AAKHIR ROOHANI AMLIYAT SE
BAD'ZAN HO JATAY HEN HUM IN SA'ATON KI WAZAHAT IS LIAY KAR RAHE HEN TA K IS RAH
PER CHALNE WALE TULABA KI MEHNAT ZAYA NA JAYE YOUN ALLAH TA'ALA QADIR MUTLAQ
AUR MUKHTAR-E-KULL HAI AUR WOH APNE BANAYE HOAY QAWANEEEN KA BHI PABAND
NAHI HAI WOH CHAHE TO MUBARAK AUR SAEED SA'ATON MEI BHI BIJLIYAN KOOND SAKTI
HEN AUR WOH CHAHE TO NA'MUBARAK AUR MANHOOS GHARRIYON MEI BHI REHMATEN
BARAS SAKTI HEN IS RAH MEI QADAM RAKHNE SE PEHLE ANDAZAH KAR LEN K AAP KA BURJ
KON SA HAI.

* AMIL AMAL K DORAN QIBLA RUKH BETHAY AUR IS TARAH BETHAY JIS TARAH NEMAZ MEI
BETHTA HAI

* AMAL K DORAN AFZAL HAI K PEHLU BHI NA BADLE PURA AMAL AIK HE PEHLU PER PARRH LE
YANI SHURU SE AAKHIR TAK AIK HE ANDAZ BEGHAIR HARKAT K BETHA RAHE LEKIN AGAR
AMAL LAMBA HO TO PEHLU BADALNAY MEI KOYE HARJ NAHI HAN YEH YAD RAHE K NISHIST
KI IBTEDA AUR INTEHA NEMAZ KI TARAH BETHNE WALI HE HO DARMIYAN MEI KISI AUR
TARAH BHI BETHA JA SAKTA HAI LAMBE AMAL SE MURAD JIS MEI NISF GHANTAY SE ZAYED
WAQT LAGE

* AMAL SHURU KARTAY WAQT YEH NEYYAT KARNA K FALAN MAQSAD K LIAY AMAL KAR
RAHA HOUN AUR AAJ ITNI BAR PARRHO GA BE'HAD ZAROORI HAI BEGHAIR NEYYAT K AMAL
MOASSER NAHI HOTA

* BEHTER YEH HAI K HAR ROZ AMAL SE PEHLE 2 RAKAT NAFAL BA'NEYYAT ''SALAT-UL-HAJA''
PARRHE AUR JO AMAL KAR RAHA HAI US KI KAMYABI K LIAY DUA'A KARE PHIR APNA AMAL
SHURU KARE IS TARAH ''IN'SHAALLAH AMAL KI KAMYABI K AMKANAT ROSHAN HO JAYEN GE

* DORAN-E-AMAL APNE GIRD MAZBOOT HISAR ZAROOR KAR LE, HISAR KARNE K KAYE
TAREEQAY HEN QURANI HISAR SAB SE MOASSER AUR AFZAL HAI

* AMAL K DORAN BOHAT SE KHOFZADA MANAZIR SAMNAY AAYEN GE MAGAR UNKI


HAQEEQAT KUCH NAHI WOH MEHAZ AMIL KO KHOFZADA KARNY K LIAY HON GE TA K AMIL
KHOFZADA HO KAR APNA AMAL PARRHNA TARK KAR DE AISE SURAT MEI KHUD KO QABOO
RKHIAY AUR HISAR SE NA UTHE AUR AMAL MUSALSAL PARRHTAY RAHE
* BAZ OQAT KISI AMAL KI TASEER AIK CHILLA MEI ZAHIR NAHI HOTI AGAR AISA HO TO
MAYOOS NA HO AMAL JARI RAKHAY AUR DOSRA CHILLA KARAY AAMILEEN NE FARMAYA HAI
DOSRA CHILLA KAM SE KAM 10 DIN BAD YA PHIR AIK MAH BAD SHURU KARE NAKAMI K
FORAN BAD HE DOSRA CHILLA SHURU NA KARE

* MAYOOSI KUFAR HAI MOMEN KABHI MAYOOS NAHI HOTA AMLIYAT KA QILLA SAR KARNE K
LIAY ZAROORI HAI K TAMAM HALAT MEI KHAWAH BAZAHIR KITNAY HE MAYOOS KUN HALAT
HON AAS KA DAMAN NA CHORRAY ALLAH PER BHAROSA RAKHAY AUR CHEYUNTI SE EBRAT
HASIL KARTAY HOYE APNI DHUN MEI LAGA RAHE AUR YAQEEN RAKHE AIK DIN WOH
BA'FAZAL RAB KAMYAB HO GA AGAR PEHLE CHILLA MEI KAMYABI NAHI HOTI TO DOSRAY YA
TEESRAY CHILLA MEI ZAROOR KAMYABI HO GE

* HAR AMAL SE PEHLE TAAQ TADAD MEI DUROOD SHARIF PARRHNA ZAROORI HAI , HAR
AMAL SE MUTALLIQ ALAG ALAG DUROOD SHARIF HEN AGAR WOH MUYASSER NA HON TO
DUROOD-E-IBRAHEEMI HE KAFI HAI

* APNAY KHANAY PEENY K BARTAN KHUD DHOYE AUR INHE KISI KO BIL'KHASOOS KISI AURAT
KO HATH NA LAGANAY DE

* AGAR KISI KHADIM KA TAWWUN ZAROORI HO TO KHADIM NAMAZI AUR PARHEZ'GAR HO

* AMAL K LIAY AIK HE JAGAH RAHAY AUR WAQT BHI AIK HE RAHE DONO CHEEZON MEI
TABDEELI NA HO TO AFZAL HAI

* AMAL NO'CHANDI JUMERAT SE SHURU KARE TO BEHTER HAI AUR NO'CHANDI JUMERAT
AISE JUMERAT KO KEHTAY HEN JO CHAND KI 4 TAREEKH YA US K BAD AAYE AGAR PEHLI YA
DOSRI TAREEH KO JUMERAT KO PARRHEN GE TO US KO NO'CHANDI NAHI MANEY GE

* WAZEEFA AUR AMAL BILA NAGHA PARRHNA CHAIAY AGAR KISI MAJBOORI YA SHARYE UZR
KI BINA PER NA K SUSTI AUR KAHELI KI WAJA SE WAZEEFA TARK KAR DIYA GEYA TO AGLAY
DIN ZOHAR K BAD PARRH LE LEKIN TARK KARNAY KO AADAT NA BANAYE YANI AKSAR TARK
NA KARAY WARNA AMAL AUR WAZEEFAY KI TASEER KHATAM HO JAYE GE

* HAR AMAL AUR NAQSH KI ZAKAWT ADAA KARNA ZAROORI HAI , ZAKAWT ADAA KARNE K
BAD US AMAL KO ROZANA 3, 7, YA 11 BAR PARRHNA ZAROORI HAI TA K AMAL QABOO MEI
RAHE

* AMAL KI IJAZAT SAHIB-E-AMAL SE LENA ZAROORI HAI WARNA IS K KARNE SE NUQSAN KA


ANDESHA HAI

* JIS ZAMANA MEI AMAL PARRHE PEYAZ WAGHERAH SE IJTENAB KARE DORAN-E-AMAL AGAR
MOUN SE BADBOO AAYE TO MOAKELEEN KO TAKLEEF POHANCHAE GE AUR WOH IMDAD
KARNE KI BAJAYE DUA KAREN GE IS LIAY BADBOO SE BACHAE AUR KHUSHBOO'DAR RAHE.

BAQI HAR AMAL K SATH APNI SHARAYET MAKHSOOS HOTI HEN UNKA KHAYAL RAKHA JAYE
JIS AMAL K SATH JO SHART RAKHE GAYE HAI US KO PURA KARE US MEI APNI TARAF SE IZAFA
YA KAM NA KARE BAL K HAR SHART PER PURA PURA AMAL KIYA JAYE.

You might also like