You are on page 1of 15

1

PUNJABI GIRL 'HIRED FIVE CONTRACT


KILLERS TO MURDER HER PARENTS AFTER
THEY OPPOSED HER PLANS TO WED
MARRIED LOVER 16th JULY 2012
KANJLA VILLAGE PUNJAB MAILED ON
20th DECEMBER 2012

Characters

1)Manpreet (19) :Girl who decide to kill her parents and brother,Madly in
Love with Gurmeet

2)Avtaar Singh(45):A Business man of grains,manpreets father,

3)Gurmeet (25) :Manpreets love intrest,A mobile shop owner.married to


other girl due to parents pressure

4) Ramu(26) : Servant at Avtaar Singhs house,He Encourage Manpreet to


follow her heart,Inrodued her with Jyotish Ravi and araange contract killer for
her.Married to a minor girl

5) Jyotish Ravi(30) : A fraud,He took money from Manpreet for havan which
will change mind of Manpreets family.Freind of Ramu

6) Karam Jeet(30) : A contact killer,To whom manpreet hires to kill her family.

7) Sukhvinder Singh(32): Karam Jeets partner in crime,Who kills Jarnail Singh

8) Satgur Singh : Member of Karam-jeets gang

9) Paramjit Singh : Member of Karam-jeets gang

10) Ratandeep Singh : Member of Karam-jeets gang

11) Ekta(17) : Ramus Wife,a Minor,Runway with Ramu

STORY
Manpreet kaur (19) Punjab ke Sangrur Zile ke Dhuri town ke Kanjhla Gaon mein
apne Pita Avtraar Singh(45) maa Parminder Kaur(42) aur chhote Bhai Angad
Singh(17) ke saath rehti thee.Pita Avtaar Singh kee Kanjhla mein do anaaj kee
dukaanne thee.Aur ek Anjaaj kaa godaam bhi tha.

3
Ye ek Jat parivaar tha.Avtaar singh kaa Karobaar kafi achha jamaa hua tha aur Apni
biradri mein Avtar Singh kee kafi izaat bhi thee.
Manpreet Kajhla ke hee ek local school mein baarvi(12 th ) tak padhi thee lekin
imtehaan hone se pahele hee Pita ne use padhai se utha liya tha..Haalki uska bhai
Angad Dhuri town Ke Desh Bhagat College mein Social Studies Padh rahaa
tha.Unke ghar mein ek naukar bhi kaam karta tha.Uska naam Jarnail Singh(20) thaa.
July 2012
Avtaar singh kaa Agriculture se juda business tha aur July mahina aadha khatam ho
cuka tha lekin Baarish bahot heee kam giri thee.Lekin Avtaar Singh ke liye koi zyada
chinta kee baat nahi thee Kyoki Unke godam mein kaafi anaaj padaa hua tha.
15-16 July Kee raat ko pura Parivaar Ghar kee chhat par so rahaa tha.Tabhi raat ke
do baje ke kareeb kuchh awaaze soon kar Avtaar Sngh kee aakh khul gayi.Unki Biwi
aur dono bahchein aaraam se so rahien thae.Avtaar Singh ko lagaa jaise ghar mein
koi log daakhil hue hai.Ve chhat par padi kulhaadi lekar nichein aaye.
Niche aa kar Dekha to ghar mein paanch log ghuse hue thae.Aur Unka Naukar
Jarnail Singh zameen par padda hua tha.Avtaar Singh ne chillana shuru kiya.
Paancho lootere gabhara gayein.Ek admi ne Avtaar Singh par bandook taani aur
Use chhup hone ko dhamkaya. Lekin Avtaar Singh ne poori himmat se us aadmi
par kulhaadi se vaar kiya aur kulhaafi Lootere haath par lagi aur uskee bandook
vahi par geer gayi. Panachon Looterein foram vahaa se bhaag khade hue.
Awaaz soon kar aas-pados ke log bhi ikatha ho gayein.Avtaar Singh ki patni aur
bahcien Jarnail Singh ko behosh padaa dekh darr gayein. Avtaar Singh ne Jarnail
Singh ko uthane kee koshish kee lekin Jarnail Singh utha nahi. Avtaar singh ne dekh
kee Uski saans chal nahi rahi thee.Kisi padosi ne Doctor ko phone kiya.Avtaar Singh
ne khud Police ko phone Kiya.Sadar Dhuri Police Thane se Insp. Gurdev
Singh apni team ke saath mauka-e-vaardaat par pahochein.Ambulance bhi aayi.
Jarnail Singh kee maut ho chuki thee.Vaardaat par aaye doctor ne bataya kee maut
gala ghotne kee vajah se hui hai.Police ne laash ko post-morterm ke liye bhej diya.
Police ko mauka-e-vaardaat par ek .315 pistol aur teen live Kaarttos bhi mili.Jo
jadap ke dauraan vahaa geer gayi thee.
Parminder ne almaari check kee aur bataya kee Ghar se koi cheez gayab nahi hui
hai.
Police ko ye case loot kaa hee lag rahaa tha jahaa Lootere chori ke iraade se ghar
mein ghuse thae lekin Achanak Jarnail Singh kee aakh khul gayi aur Use chup
karnaane ke liye Lootere ne uska gala dabaya jis se uski jaan chali gayi.
Sangrur mein Do mahine pahele hee Police ne Paanch logon kee ek gang ko pakda
tha.JO bandook ked um par loot machati thee.Is gang do logon ko baad mein bail

4
mil gayi thee.Aur Is gang ke pass se bhi .315 Bore Pistol baraamad hui thee.Police
ne Un dono bail par chute aadmiyon ko hirasat mein liya.Lekin Unhoe bataya kee Ye
kaam unki gang kaa nahi hai.Ve Dono Har Doosre deen thane Mein Haazro dene bhi
aate they.
Police ko iss Loot kee koshsih mein ek baat chubh rahi thee. Police ko tajjub kee
baat ye lagi kee Darvaaze kaa taala tuta hua nahi thaa naahi khidkiyon par koi
nishaan thae.Is baat ne Police ko ye sochney par majboor kar diya kee ghar kaa koi
vyakti iss kaand mein shamil ho sakta hai.
Ek aur ajeeb baat Police ke dhyaan mein aati hai kee Ghar ke har darvaaze par
Sindoor se Trishul banaa hua tha.Police jab Us Trishul ke baare mein Avtaar Singh se
poochhti hai to vo kehta hai kee Use Is baar mein kuchh pataa nahi.Angad aur
Parminder bhi Iss nishaan ke baare mein kuchh nahi jaante they.Lekin Manpreet
bataati hai kee Jarnail Kaafi dharmik tha aur usne khud Jarnail ko nishaan lagate hue
dekha tha aur karan poochhne par Jarnail ne kahaa thaa ke Is se Ghar ko boori
nazar nahi lagti.Police iss mudde par zyada tavjjo nahi deti.
Avtaar Singh ke saath baat karne par vo batata hai kee vo ek anaaj kaa vyapaari
hai aur Uski kisi ke saath dushmani nahi hai.Police ne ghar ke sadsyon se baat chit
kee lekin koi khaas jaan kaari nahi mili.Sab ko Jarnail Singh ke liye bahot afsos thaa.
Jarnail singh Bees saal kaa hasmukh ladka tha jisne apni jaan gavaa dee.Vo pichhle
ek saal se Avtaar Singh ke yahaa kaam kar rahaa tha. Uski Maut kee khabar soon
Uske maata pita ke hosh udd gayein.Jarnail Singh ke pita Avtaar Singh ke godaam
mein hee kaam karte thaey aur unhone hee Jarnail ko Avtaar singh ke ghar par
kaam karne rakha thaa.Vo unka ek lauta beta tha.Avtaar Singh ko bhi kaafi afsos
thaa kee Uske ghar mein ek Ek masoom ladke kee jaan gayi.
SSP Harcharn Singh ne Is case ko solve karne ke liye ek Speacil Tema appoint kee
.Jis ke head Inspector Gurudev Singh niyukt hue.
Police ne apne khabriyion ko bhi kaam par lagaya.Lekin koi clue nahi mila.
Khabriyon kaa kehna thaa kee Koi nayi gang kee kartoot honi chahiye.Police ne
Avtaar Singh ke Business Circle mein bhi poochtaach kee Lekin Sabhi kaa yhai
kehna tha ke Avtaar Singh kaafi Sharif aadmi thaey kisi se unki dushmani nahi thee.
Avtaar Singh ke parivaar kaa back ground check karte waqt Police ko ye baat pataa
chali kee pichhle saal gaon mein ek panchayat bethi thee .Avtaar Singh ne Gaon
mein Mobile Repairing kee shop chala rahien Gurmeet Singh(25) naam ke aadmi ke
khilaaf panch ko fariyaad kee thee.
Kyoki Avtar Singh kee Beti Manpreet aur Gurmeet Singh kaa affair chal rahaa
thaa.Manpreet Aksar Gurmet ki Mobile Shop par recharge karvaane aati
thee.Gurmeet dikhne mein kaafi handsome tha aur baate bhi mazedaar karta

5
tha.Manpreet Gurmeet ki baaton aur looks par fida thee.Tab Manpreet Baarvi mein
padh rahi thee.
Chhote se gaon mein Ye baat phelne mein zyada waqt nahi lagaa.Jab ye baat Avtaar
Singh tak pahochi tab unhe kaafi gusssa aaya. Gurmeet Dalit parivaar se tha aur
Manpreet Jaat Gharane se taaluk rakhti thee.Avtaar Singh ko bilkul manzoor nahi
tha kee unki ladki ek dalit se rishta rakhein.Unhone pahele Manpreet ko dhamkaya
aur Gurmeet ko bhi warning dee. Lekin Dono phir bhi milte rahien.Ek deen Avtaar
Singh ne dono ko ek saath ghumte hue dekh liya.
Us deen se Unhone Manpreet kaa School bandh karvaa diya.Aur Gurmeet ke khilaaf
Panchayat mein shikayat kee.Panch ke log Avtaar Singh kee kaafi izzat karte thae.Vo
ek izzatdaar vyapaari thae.Unhone Gurmeet ko apni dukaan gaon se hataa dene
ka hukum diya.Gurmeet ke saath uske maa-baap bhi rehte tahey.Panch ke hukum
kea aage Gurmeet ko jhukna padaa.Gurmeet Pancho ke dabaav mein aa kar vahaa
se chala gyaa apne maa-baap ke saath chala gyaa aur Kanjla Se thai kilometer(2.5
km) door Kanjli naam ke gaon mein phir apna kaam shuru kiya.
Police ko shak hua kee shayd Gurmeet ne badla lene ke liye Ye kaand kiya ho.
Lekin Jab Police ne Avtaar Singh ko Gurmeet ke baar mein poochaa to Avtaar Singh
ne bataya kee Uss baat ko kaafi mahine guzar gayein hai.Aur Gurmeet kisi aur ladki
se shaadi bhi kar lee thee.Aur Us deen ke baad Vo kabhi Kanjhla vaapis nahi ayaa.
Manpreet bhi kehti hai kee Uske pita ne jo kiya vo theek thaa aur Vo Gurmeet ko
bhula chuki hai.Lekin Police ko Avtaar singh aur Manpreet kuchh chhipa rahien hai
aisa abhaas hota hai.
Police Kanjli jaa kar Gurmeet se bhi milti hai lekin vo kehta hai kee Manpreet se
uska koi lena dena nahi aur vo Apni Shadi-shuda zindgi se khush hai.
Police Manpreet aur Gurmeet ke Phone record check karti hai.Lekin pataa chalta hai
kee pichhle kaafi mahino se dono kee beech mein baat nahi hui thee.
Police ko ab tak yahi lag rahaa thaa Kee is case mein robbery kee ek naakaam
koshish hui thee lekin 20 July Do hazar Baara ko Avtar Singh Police Station aa kar PI
Gurdev Singh ko batate hai kee Unke Secret Locker mein se Ek laakh rupey aur
Kuchh pushteni zevraat gayab hai.
Avtaar Singh police ko batate hai kee chhe-saat mahine pahele Unhone apni kuchh
Pushteni jaydad bechi thee Jis mein unhe dus laakh rupey advance mil thae.Aur Ye
Paise Unhone Ghar ki Almaari ke Secret Locker mein rakhein thae. Aur aaj un
paison mein se ek laakh rupey kam thae.Aur Pushteni Zevaraat ki Potli bhi gayab
thee.
15-16 July kee raat ko jab chhor aaye thay tab vo kisi kamre mein nahi ghus paaye
thaey.Yahi Soch kar Avtaar Singh kee Patni ne Secret Locker nahi check kiya tha.

6
Police bhi yahi anumaan lagaati hai hai kee ye Chori 15 July kee ghatna se pahele
hui thee.Aur Secret Locker kisi Dublicate chhabi se khola gyaa hai.
Avtaar Singh Jab chhe mahin pahele ke vo ghatna Police ko batae hai tab vo Kehte
hai Kee Us waqt Jarnail ke alawa ek aur Naukar unke vahaa kaam karta tha jiska
naam Ramu tha.
Ramu 2009 se Avtaar Singh ke vahaa kaam karta tha.Usne Pichhle hee saal shaadi
kee thee aur apni biwi Ekta(17) ko bhi apne saath Kanjhla le aaya tha.Dono Avtaar
Singh ke ghar par hee rehte thae. Phir February 2012 mein vo kaam chhod kar
chala gyaa.Kaam chhod ne kee vajah poochhne par Usne bataya kee Uske ghar par
kuchh problems hai.
Police Ramu Aur Jarnail ke beech kaise relation thaey ye jaan ne kee koshish kartee
hai.Lekin Avtaar Singh batatae hai kee pichhle saal jab Ramu Chuttiyon mein apne
gaon gaya tha tab Unhone apne godam mein kaam kar rahein Ravindar se kahaa
tha kee Kisi ghar kaa kaam karne wale kee zaroorat hai.Aur usne apne bte Jarnail
ko bheja tha.Lekin kuchh hee mahino mein apne hasmukh svabhaav aur mahenat
se Jernal ne sab kaa dil jeet liya tha isliye Jab Ramu vaapis kaam par aaya phir bhi
Jarnail ko Avtaar ne kaam se nahi nikala.
Police ko mahesoos hota hai kee shayad Ramu Is case mein Involved hai.Shayad Ye
loot kaa case nahi hai aur maksad shayd Jarnail ko marne kaa hee thaa.Shayad
Ramu Jarnail ko lekar insecure tha aur dono ke beech Dushamni ho gayi thee.
Halaki Kee Jarnail ke pita is baat se inkaar karte hai.Vo kehte hai Kee Unka beta
kabhi kisi se jagda nahi karta tha.Avtaar bhi kehta hai lee Ramu aur Jarnail mein koi
problem nahi thee.
Lekin Police ko Poorane naukar kaa achanak naukri chhodna aur Naye Nokar kee
maut ke beech koi connection dikhta hai.aur Police Ramu ko khojna shuru karti hai.
Police Avtaar Singh se Ramu ke gaon kaa address Leti hai .Ramu Jalandhar ke
Kohala gaon kaa rehnnewala thaa.Sadar Dhuri Police Jalandhar Police ko Ramu ki
information nikalne ko kehti hai.Police ke Record mein pahele se hee Ramu kaa
naam darj hota hai. Dar-asal Ramu ne Jis ladki se shaadi kee thee vo na-baalig thee
aur Us ladki ke pita ne Police mein Ramu ke khilaaf Compain darj karvaayi thee.
Jalandhar Police aur Sadar Dhuri Kee Police ab Co-ordination se kaam karna shuru
karti hai kyoki dono ko alag alag case ke liye ek hee aadmi ko pakdna tha.
Jalandhar Police Ko ye jaan kaari milti hai kee Ravi maharaj naam kaa ek Jyotish hai
jis se Ramu kee achhi dosti thee.Jalandhar ke Kuchh ilaako mein log aisa bhi
maante theay kee Ravi bahot pachochaa hua Jyotish hai aur vo apni vidhya se
Bhavishya badal sakta hai.Punjab ke kuchh zilon mein iss Jyotish Ravi ke khilaaf
fraud k eek do cases bhi drj hue thaey.Police ne use ek baar hiraast mein bhi liya
tha.Phir usne Jalandhar aa kar phir se apna kaam shuru kiya tha.

7
Khabriyon ke network se police ko pataa lagta hai kee Jyotish Ravi bhi kaafi dino se
undeeground hai.Lekin ek khabari pataa karta hai kee Ravi kaa jyotish kaa dhandha
barabar chal rahaa hai.Uske kuchh chele chapate hai jo Us tak naye naye clients le
aate hai.
Police ek trap bichaati hai.Aur apne khabri ke through Ek Naakli Grahak ko taiyar
karti hai jo apni mushkil kaa hal nikalne ke liye Jyotish Ravi se madad chahta
hai.Khabri log Ravi ke ek chele ko target karte hai.Babu naam kaa Jyotish Ravi kaa
ek chela Uski trap mein aata hai. Do hazaar ruepy advance lekar Babu uss Nakalli
grahak ko Jyoitish Ravi se milne kee jagah le jaata hai.
Nakali graahak ko lekar Babu Jyotish Ravi tak pachochta hai.Police unka chupake se
pichha karti hai.
Police Us jagah chhapa maar kar Babu aur Jyotish Ravi ko dhar leti hai.Jyotish Ravi
ke pass se police ko ek I-phone aur Kuchh logon ke photographs milte hai.Police ko
dekh Ravi kaafi darr jaata hai.
Interogation ke dauraan vo kabool karta hai kee Vo logon ko apni vidhya ke zor par
Unki problems door karne kaa vada kar ke paise ethta hai.Police jab us se Ramu kea
bare mein poochhti hai to voh batata hai kee Ramu Pichhle ek mahine se us ke
contact mein nahi hai.Ravi ke mobile se Ramu kaa naya number police ko milta hai
lekin vo switched off hota hai.
Ravi se Police ko Ramu ke ek do thikaane aur kuchh doson ke naam aur patein milte
hai. Police ko Jyotish Ravi ke saamaan meinn se kuchh photos milti hai.Un mein
kucchh photos Manpreet,Gurmeet,aur Manpret ke parivaar kee hoti hai.Police sari
photos ko Sadar Dhuri Police thane fax karti hai aur khud Ramu kee khoj shuru karti
hai.
PI Guru Dev Singh ko ab ehsaas hota hai kee Darvaazo par Kiya gayein trishul ke
nishaan aur Is Jyotish ke beech zaroor kuchh connection hai. Police anumaan lagaati
hai kee Shayd Gurmeet aur Is Jyotish ne milkar ye kaand kiya tha.Jis mein Jarnail
Singh kee jaan gayi.
Sadar Dhuri se Gurudev Singh Jyotish Ravi se aur poochtaach karte hai.
Ravi kehta hai kee Vo kisi Jarnail Singh ko nahi jaan taa.Lekin jab Police use Gurmeet
ke baare mein poochhti hai to voh batata hai kee Vo Gurmeet ko nahi balake
Manpreet ko jaanta hai. Aur Manpreet aur Uski mulakat Ramu ne hee karvaayi thee.
Ravi batata hai kee Ramu jyotish mein kaafi yakeen karta hai.Ravi kahi hui kisi baat
se Ramu ko kabhi laabh hua tha aur tab se vo Ravi ko bahot manane lagaa tha.Waqt
guzarte dono ke beech achhi dosti ho gayi thee.
Ramu ko pata tha kee Manpreet Gurmeet se shaadi karna chahti thee lekin uske
parivaar ko unki shaadi se inkaar tha.Ramu ne use sujaav diya kee Jyotish Ravi uski

8
problem door kar sakte hai.Janvari 2012 mein Ramu Ne Manpreet ke Mulakat Ravi
se karvaayi.Ghar par bahana kar ke Manpreet dhai ghante kaa safar tey kar
Jalandhar pahochi.
Ravi ne bataya kee Manpreet chahti thee kuch aisa ho jis se Uske maa-baap
Gurmeet ke sath uski shaadi karvaane ko maan jaaye.Ravi ne ye bhaap liya tha ke
Manpreet Bahot desparate hai.aur Is baat kaa fayda utha te hue Ravi ne Usein
kahaa kee Ek hawan vo karega jis se Manpreet ke parivaar ke vichron kee shuddhi
ho jaayegi aur vo Is shaadi ke liye maan jaayege.Manpreet Ye soon kar bahot khush
hui.Ravi ne Iss havan ke liye ek laakh rupey maange.Thodi binati karne ke baad Ravi
sattar hazaar mein havan karne ko taiyar hua.Manpreet ne Use vada kiya kee vo
kuchh hafton mein paise lekar aayegi.
Teen Hafte baad Manpreet khud akele Ravi semilne Jaladhar aayi thee aur Use
sattar hazaar rupay diye. Ravi ne Manpreet ke pass se Uske poore parivaar kee phto
maangi aur saath hee Gurmeet kee bhi.
Police ko ab yaaken hone lagta hai ke Manpreet aur Gurmeet dono is kaand mein
shamil hai.Halaki Ravi kaa kehna thaa kee Usne hamesha Manpreet se hee baat kee
thee.Vo Gurmeet se kabhi nahi mila ,naa hee kabhi baat kee hai.Lekin Manpreet ne
use bataya thee kee agar uske parents raazi ho jaate hai to Gurmeet apni patni ko
talaakh dekar Manpreet se shaadi karne ko taiyaar hai. Ravi se Police ko Manpreet
kaa dossra number milta hai.
Police Manpreet ke number kee call records nikalvaate hai.
Is Beech 22 July ko Jalandhar Police Naa-baalik ladki se shaadi karne ke jurm mein
Ramu ko giraftaar karti hai.Sadar police ko jab ye pataa lagta hai to Vo Court se
Ramu kee Interogation karne kee permission maangte hai.lekin Permission milne
mein waqt lagta hai.
Doosri aur Sadar Dhuri Ke Police ko phone record Milte hai.
Ek Number par police kaa dhyaan jaata hai jis number par Manpreet ne kaafi baat
kee hui thee.Us number kee location Kanjli gaon hoti hai.Jis se ye saabit hota hai
kee Gurmeet aur Manpreet alag hone ke baad bhi ek doosre ke touch mein thaey
aur Murder vaali raat ko kareeb Dus baje Dono ke beech baat hui thee.
Police ko ek chaukane wali baat pataa chalti hai kee Manpreet ne 15 July kee raat
ko ek aur Number par raat dus baje aur phir raat ek baje phone kiya tha. Aur iss
number se vo pichhle ek mahine se lagaatar touch mein thee.Police ko yakeen
hota hai ye number Un lootere mein se kisi ek kaa hai Jisne Manpreet ke ghar mein
ghus kar Jarnail Singh ko maara.Lekin Ye number switched off hota hai.
Police ab Pukhta saboot ke bina par 6 august ko Manpreet Ko hirasat mein leti
hai.Aur Gurmeet ko bhi Kanjli se uthvaane team bhejti hai.. Manpreet Police ke
saamne saari sachhai ugal deti hai.

9
Manpreet kehti hai kee vo 11th Standard mein padhti thee tab se Use Gurmeet
pasand tha.Vo Recharge ke bahaane yaa mobile-Cover lene ke bahane Uski dukan
par aksar jaaya karti thee.Gurmeet bhi use pasand karne lagaa thaa. Manpreet ke
pita ne Unke rishte ko manzroori nahi dee.Kyoki Gurmeet dalit parivaar se
tha.Manpreet apne pita se kaafi darti thee Isliye usne apni Maa ko apni aur karne ke
koshish kee .lekin Uski maa ne bhi uski nahi sooni.Jab Manpreet ke pita ne Gurdeep
ko Gaon se nikalwa diya Uske baad bhi phone par dono contact mein thae.Gaon
chhodne se pahele Manpeer ko Gurdeep ne naya mobile aur Sim diya tha.
Mapreet Dhai kilo meter door Kanjli gaon mein chala gyaa.Uske parivaar ne us par
shaadi kaa dabaav dala aur Do mahine ke andar uski shaadi ho gayi.
Manpreet ko jab shaadi kee baat pataa chali to use bahot bura lagaa.Lekin Gurmeet
ne use samjaya kee Pairvaar ke dabaav mein aa kar usne shaadi kee hai.Vo aaj bhi
usi se pyaar karta hai.Agar manpreet apne maa-baap ko manaa legi to Vo apni biwi
ko talaakh de kar us se shaadi kar lega.
Manpreet ne apni maa ko manane kee kaafi koshish ke lekin Uski Maa ne inkaar kar
diya.Manpreet ko samaj nahi aa rahaa thaa ke vo kya karein.
Isi beech December 2011 mein Ramu apni biwi Ekta ko lekar Manpreet ke ghar aata
hai.Ramu aur Ekta se baat kar ke Manpreet ko pataa chalta hai kee Ramu aur Uski
biwi ne bhi bhaag kar , Parivaar kee marzi ke khilaaf jaa kar shaadi kee hai.Ramu
use apni shaadi kaa kissa ek Filmy andaaz mein sunata hai aur kehta hai kee
sachein pyaar se badh kar kuchh nahi hota.Manpreet Ramu aur uski biwi kee love
story soon kar dang reh jaati hai.Ekta ek naa baalig aur Manpreet kee tarah baheki
hui ladki hoti hai jo pyar mein andhi ho gayi thee.Ekta aur manpreet mein kaafi
banane lagti hai.Manpreet apna dukhda un dono ko sunaati hai.
Manpreet, Ramu aur Uski biwi se madad maangti hai.Koi aisa upaay jis se Uska
maa-baap Gurmeet se uski shaadi karnane ko raazi ho jaayein. Ramu use kehta hai
kee uski pehchan kaa ek jyotish hai Jalandhar mein jo in chizo mein maahir
hai.Janvari 2012 mein Manpreet ghar se bahana kar ke Ramu ke saath Jalandhar
Jaati hai aur Jyotish Ravi Maharaj se milti hai.Jab Jyotish Ravi paiso kee maang karta
hai to Manpreet Kuchh hafton mein paise dene kaa vaada karti hai.
Manpreet Duvidh mein hoti hai kee vo paise kaa intzaam kaha se karein.Usi beech
Zameen ke Saude mein Avtaar Singh ko laakho reupey milte hai.Manpreet ko pataa
hota hai kee Uski Maa ne Pushteni zameen bechene ke baad mile pasie Almaari ke
Secret locker mein rakhein hai.JIs ki chaabi Manpret kee maa ke pass hee hoti hai.
Manpreet mauka dekh kar chaabi nikal leti hai aur Locker se Ek laakh ruepy aur
zevar nikaal leti hai.
Jyotish ne havan ke liye paiso ke saath Manpreet ke parivaar kee aur Gurmeet kee
photo bhi maagi thee.Ye sab lekar Manpreet Jaladhar jaati hai.Lekin iss baar vo akeli

10
Ravi ke pass jaati hai.Kyoki Ramu ko Pata chalta hai kee Police use dudh rahi hai
Isliye vo Kanjhla chhod deta hai,Halaki Manpreet aur Ramu ke beech phone par baat
hot rehti hai.
Jalandhar pahoch kar Manpreet Ravi ko pasie deti hai. Jyotish Ravi Manpreet se
Poore parivaar kee aur Gurmeet kee photo maangta hai.Aur kehta hai kee vo teen
dino tak havan karenga aur Iska natija Use ek theek ek mahine ke baad dikhay
dega.Ravi use Sindoor kee ek Dibbi deta hai aur kehta hai kee Ghar ke har
darvaaze par Is Sindoor se Ek trishul ka nishan banaa kar rakhein.
Manpreet sab se chupakar ghar ke har darvaaze par ye trishul kaa nishan banaa
deti hai.Ravi ne us se yeh bhi kahaa hota hai kee ek mahine tak usein har guruvaar
ko Upvaas karna hoga.Manpreet har niyam kaa palan karti hai.
Ravi ne kahaa hota hai kee In chezon ko karne se ek mahine mein uski saari mushkil
hal ho jaayegi.Us ke maa baap ke andar badlaav aayega.
Ek mahine baad vo phir se ek baar apni maa se Gurmeet ke baare mein baat karti
hai aur Uski maa use daat tee hai.
Vo Phone par Ravi se baat karti hai aur batati hai ke uske Maa-baap ke vicharon
mein koi parivartan nahi aaya hai..Ravi kehta hai kee Graho kee dashaa shayad
badal gayi hai Thoda aur intezaar karna hoga.
Do mahine beet jaate hai.Aur Yahaa Manpreet ke maa-baap to Manpreet ke liye
ladka dhudhne mein lage hote hai.
Ab Manpreet kaa sabra javaab de deta hai.Yahaa Maa-baap Uske liye ladkaa dekhna
shuru karte hai.Jabarjasti use ek ladke se milva te bhi hai.Manpreet kee samaj mein
nahi i aata kee vo kya karein.Vo Gurmeet se madad maangti hai.
Manpreet Gurmeet se kehti hai kee Vo use bhagaa kar le jaaye lekin Gurmeet
manaa karta hai.Vo kehta kee Manpreet kaa parivaar Unhe chen se jine nahi
denge.Kahi se bhi Doondh kar maar daalenge.
Gurmeet Manpreet ko samjaata hai kee vo kuchh bhi kar ke apne maa-baap ko
manaa lega aur apni biwi ko talaakh de dega lekin Sirf Manpreet ke maa-baap he
hai jo raaste kaa kaata hai.Aur jab tak vo hai Un dono kee shaadi nahi ho sakti.
Manpreet Ramu se madad maangti hai.Ramu kehta hai kee agar Uska Parivaaar
agar Gurmeet se shaadi karne par use maar sakta hai to Is se bahetar hai kee Vo
khud hee apne parivaar ko raaste se hataa de.Pyaar kee badi badi baate Ramu
Manpreet se karta hai kee Pyaar Kurbaani maangta hai vagera aur apni kahaani kee
misaal deta hai kee kaise Usne aur Uski biwi ekta ne samjaaj kee parvaah naa karte
hue bhaag kar shaadi kee thee.

11
Manpreet asmanjas mein hoti hai.Vo himmat kar ke apne pita se baat karti hai.Uske
pita kaafi gussa karte hai,kehte hai kee agar vo unki marzi ke khilaaf shaadi karegi
to Vo yaa to usein maar daalenge yaa phir khud apni jaan de denge.Maa bhi ro ro
kar Use binati karti hai kee Gurmeet ko bhul jaa.
Manpreet Unse kuchh keh nahi paati.vo rone lagti hai.Uske maa baap sochte hai
kee Manpreet ko apni gaalti samaj aa gayi hai.Lekin Manpreet ke dimmag mein
kuchh aur hee chal raha hota hai.Raat bhar vo sochti hai.aur akhri faisla karti hai.
Manpreet Ramu ko phone kar ke kehti hai kee Vo apne parivaar ko khatam karna
chahti hai.Pyaar ke liye vo yeh kurbaani dene ko taiyaar hai.Manpreet kehti hai kee
Use Kisi Contract killer se milvaa de.Ramu kehta hai kee vo Bandobast kar dega.
Manpreet Gurmeet ko ye baat batati hai.Gurmeet Manpreet se Ramu kaa number
leta hai.Aur us se baat karta hai.
Ek Mahina Guzar jaata hai.
Ek deen Ramu ka Manpreet ko phone aata hai aur Karamjeet naam ke aadmi kaa
number deta hai.
Karam jeet peshevar chor hota hai aur Usne ek do haalkf-murder bhi kiye hote
hai.Contactor kaa Number dene ke baad Ramu aage ke plan kaa hissa nahi banata.
Phone Par Manpreet Karamjeet ko pooora plan samjaati hai.
June Mahine Karamjeet Kanjhla aata hai. Aur Karamjeet aur Manpreet kee
mulakaat hoti hai .Karam jeet paanch laakh rupey iss kaam ke liye maangta
hai.Manpret kehti hai kee vo kaam hone ke bad pasie dengi lekin Karamjeet kehta
hai kee Use hathiyaar kharidne ke liye advance chaiye.Manpreet Use tees hazaar
rupey deti hai.Lekin Vo Karamjet ko kam lagte hai.Manpreet use apne parivaar ke
pushteni zevar bhi deti hai Lekin Karam jeet kehta hai kee Gahene bechne mein
risk hai tab Manpreet kehti hai kee gaheno ko girvi samaj kar rakh le jab kaam ho
jayega to vo paise dekar gahene chhuda legi.Karamjeet ye baat maan leta hai.
Karam jeet Manpreet se kehta hai kee Vo hathiyaron kaa bandobast kar ke use
contact karenga.
July 2012 mein Karam Jeet apne saathi Sukhvinder aur teen aur aadmiyon ke saath
Kanjhla aata hai aur Manpreet se contact karta hai.
Vo Manpreet ko bata ta hai kee Vo poori taiyaari ke saath aaya hai.Jab mauka theek
lage tab Manpreet use phone par bata de Vo Manpreet ke ghar par Aa akr Uska
kaam kar dega.
Two Fail attempt

12
Manpreet ne ek hafte mein do baar Karam jeet ko phone kar ke apne ghar par
bulaya tha.Dono baar Jarnail Singh ke so jane ke baad Manpreet ne chup ke se jaa
kar ghar kaa Darvaza khol diya tha taaki Karamjeet aur uske saathi aasaani se ghar
mein daakhil ho sakein.
Lekin Paheli baar Jab Karamjeet singh uske ghar pachochta hai to dekhta hai kee
Darvaza bandh tha.Dar-asal Aadhi raat ko Jarnail Singh kee aakh khulti hai aur Vo
Uthkar darvaza check karta hai to Darvaza khula hota hai aur vo sochta hai kee vo
darvaza bandh karna bhool gyaa tha aur phir darvaza bandh kar ke so jaata hai.Aur
Manpreet ka aplan Saphal nahi hota hai.
Doosri baar Jab Vo hamle kaa plan banaate hai.Raat ko Darvaza khula chhod
Manpraeet Karam Jeet ko phone karti hai lekin Us deen Manpreet ke bhai ko
achanak bukhar ho jaata hai aur Uske maa- baap Uski dekh bhal mein jaagte rehta
hai is liye Manpreet Message kar ke Karam Jeet ko plan drop karne ko kehti hai.
Teesri baar ve koshsih karte hai.Poore parivaar ke sone ke baad Manpreet KaramDeep ko phone karti hai.Karam-deep ghar mein daakhil hota hai.Lekin Jarnail Singh
Jaag jaata hai.Karam Deep kaa saathi Sukhvinder singh Uska gala dabaa deta
hai,Lekin Avtaar singh kee aakh khul jaati hai.Karam Deep Uski aur bandook taakta
hai lekin Avtaar Singh jab unka saamna karta hai to vo darr ke maare bhaag jaaate
hai.Aur unka poora plan chopat ho jaata hai.
Manpreet ye Poori baat Bina kisi afsos ke police ko batati hai.Jab Lootere hatya ke
liye aaye thae tab Manpreet sirf Sone kee acting kar rahi thee.
Police Manpreet se Karam Jeet aur Uske saathiyon ka pataa poochte hai.Manpreet
kehti hai kee Vo log Kanjhla chhod kar chale gayein hai.Lekin Uske pass Karam Jeet
kaa number hai.
Police karam Jeet ko pakad ne ke liye plan banati hai.Manpreet se Karamjeet ko
phone karvaati hai.phone par Manpreet ,Karam-Jeet ko kehti hai kee Use gahene
chaiye kyoki uska parivaar gahene dhudhn raha hai.Agar gahene jadli nahi mile to
Unhe shak ho jaayega.Lekin Karam Jeet ko vaapis Kanjhla aana risky lagta hai lekin
Man-preet kehti hai kee Usne cash kaa bando-bast kar diya hai.Vo cash de kar
gahene Lene kee baat karti hai,jise Karam Jeet maan leta hai.

Police ke isharon par Chal rahi Manpreet, Meeting fix karti hai.Pichhli dafaa ,Jis Hotel
mein Karmajeet aur uske sathi thahere thae vahi meeting fix hoti hai.Cash kee
lalach mein Karam Jeet aur Sukhvinder Hotel aate hai .Jaise hee vo manpreet ke
pass aa kar bethte hai Plain Kapdo mein tainaat Police unhe dhar leti hai.Lekin unke
pass se gahene nahi milte.

13
Dono ko thane laa kar 3rd degree dee jaati hai.Akhir kaar vo apne saathi Satgur
Singh, Paramjit Singh and Ratandeep Singh ke nam aur address police ko bata dete
hai.Dhuri saher kee ek lodge se unhe pakad liya jaata hai.
Manpreet batati hai kee Usne Gurmet ko bhi poora plan bataya tha.Har baar jab
Plan execute karne kee koshsih hui Usne phone kar ke Gurmeet ko bataya tha.Police
Gurmeet ko bhi arrest karti hai lekin vo Iss baat se inkaar karta hai.Kehta hai kee
Use Murder ke plan ke bare mein kuchh pataa nahi.Use Sirf Manpreet ne Jyotish kee
baat batayi thee.Aur usne kabhi Ramu se baat nahi kee thee.Lekin 15 July ko dus
baje Manpreet Ne Gurmeet ko kyon phone kiya tha is par dono kaa bayaan viprit
hota hai.
Manpreet kehti hai kee 15 kee raat dus baje phone kar ke Usne Gurmeet ko bataya
thaa kee aaj raat ko Karam Jeet phir se koshish karnega.ye batane ke liye Usne
Gurmeet ko phone kiya tha lekin Gurmeet kehta hai kee Manpreet sirf paheliyaan
buja rahi thee aur usne sirf yeh kahaa thaa kae bahot jallad Vo dono ek ho
jaayege.Lekin Vo kyaa karne wali thee ye use nahi pataa thaa.
Manpreet Kehti hai kee Jyotish Ravi ko bhi Uske plaan ke baare mein pataa tha.Lekin
Ravi iss baat se inkaar karta hai. Ravi batata hai kee uski aur Manpreet ke beech
April mein akhri baar baat hui thi.Aur Tab Manpreet ne Usein fraud keh kar apne
pasie vaapis maange thaey jo dene se Ravi ne inkaar kiya tha aur isliye Manpreet
Usein khoon ke ilzaan mein phasa rahi hai.
Manpreet aur Ravi ke phone records se ye baat saabit hoti hai kee Ravi sach keh
raha hai.Uski aur Manpreet ke beech April ke baad koi baat nahi hui thee.
Gurmeet Is Murder plan mein kitna involve tha Is baat kee pushti abhi baaki thee
kyoki Manpreet aur Gurmeet Ek doosre se viruddh bayaan de rahien thaey.Gurmeet
ke phone records mein kahi par bhi Ramu kaa Number nai tha.Police yahi sochti hai
kee shayad Manpreet Ravi ki tarah Gurmeet ko bhi phasaa rahi thee.
Police ko jab Court se Ramu ke interrogation ke order milte hai tab Ramu kehta hai
kee Gurdeep ne us se ek baar baat kee the aur Use Manpreet ke har munkin madad
karne ko kahaa tha.Police Ramu ke bayaan par Gurmeet ko arrest karti hai.
Mapreet,Karamjeet Singh,Sukhwifnder Singh, Satgur Singh, Paramjit Singh and
Ratandeep Singh aur Gurmeet Singh in saat logo ke khilaaf IPC 302 ke antargat
case file hota hai.
Ravi kaa Khoon mein koi involvement saabit nahi hota aur Us par Sirf Fraud ke
charges lagate hai.Do mahine baad use bail mil jaati hai.
Manpreet kaa parivar ab tak shok mein hai.Unhe Yakeen Nahi hai kee Unki beti unhe
maarne kaa soch sakti hai.

14
Poore Punjaab Is case ke khulaase ke baad chok jaata hai.Pyaar mein andhi ek ladki
ek shadi-shuda ladke ko paane ke liye Apne ghar se chori karti hai,Jyotish se havan
karvaati hai,Contract killer ko Supari deti hai.Ek aur jahaa Honour killing kee vaar
daate ye sabit karti hai kee Maa-baap apni sadi hui paraparon aur jaati ke naam par
apne bahcon kee bali chadhate hai tau doosri aur Bachien bhi love kee Stupid
philosophy ke pichhe apne Maa-baap ke payaar ko koi mol nahi karte.Akhir Do
generation mein itna man-mutaav itna sochkaa antar kyo hai?

Add On :-

According to the latest National Crime Records Bureau (NCRB) Report 2012,
crimes involving teenagers have increased from 0.8% in 2001 to 11.8% in
2011.
NCRB data on juvenile delinquency shows that children apprehended under
both Indian Penal Code (IPC) and Special & Local Laws (SLL) has increased
from 30,303 in 2010 to 33,887 in 2011.
NCRB data also points that a majority of juveniles are mostly involved in
theft, hurting, burglary and riots.
Surprisingly, in addition to other crime heads, kidnapping and abduction
(Section 363-369,371-373 IPC) committed by juveniles have also registered
a noticeable increase from 2008 to 2011. While Kidnapping and abduction
(Section 363- 369,371-373 IPC) committed by juvenile was recorded at 354
in 2008, it inflated to 823 during 2011.
Citing the adverse effects of peer pressure, lavish lifestyles, too much
freedom from the parents as major factors .Social maladjustment and family
disintegration is on the rise which brings children into a state of
abandonment and disorientation and they make their way out by indulging
into criminal activities.
Another worrying trend that the NCRB data reflects is the growing
numbers of girl child in crimes. From 5.1% in 2010, it has climbed to
5.8% in 2011.

15

You might also like