You are on page 1of 1

meri kismat mein tu nahin shayad

kyon tera intazaar karta hu


main tujhe kal bhi pyar karta tha
main tujhe ab bhi pyar karta hu
aaj samjhi hu pyar ko shayad
aaj main tuz ko pyaar karatee hoo
kal meraa intazaar thaa tujh ko
aaj main intazaar karti hu
sochta hu ke meri aankhon ne
kyon sajaaye the pyar ke sapne
tujh se maangi thi ek khushi maine
tune gham bhi nahin diye apne
zindagi bojh ban gayi ab to
ab to jeeta hu, aur naa marta hu
mai tujhe kal bhi pyar karta tha
main tujhe ab bhi pyar karta hu
ab naa tute ye pyar ke rishte
ab ye rishte sanbhaalne honge
meri raahon se tujh ko kal ki tarah
dukh ke kaante nikaalne honge
mil naa jaaye khushi ke raste me
gham ki parchhaiyon se darti hu
kal mera intazaar thaa tujh ko
aaj main intazaar karatee hu
dil nahin ikhtiyaar mein mere
jaan jaayegi pyar mein tere
tujh se milane ki aas hain aa jaa
meri duniyan udaas hain aa jaa
pyaar shaayad isee ko kahte hai
har ghadi bekaraar rahta hu
raat din teri yaad aati hai
raat din intazaar karti hoo

You might also like