You are on page 1of 3

HAYA =>

Rasul(saw) ne LAANAT ki hai un mardo ke upar jo aurato ki mushahibat iqtiyaar karte hai aur
un aurato par LAANAT ki hai jo mardo ki mushahibat iqtiyaar karti hai.
>Bukhari, Al-Fath-10/332
Aurat ki mushahibat jo mard karte hai: gale me chain pehanna chahe wo sona ho ya chaandi, haat
me kadhe ya bracelet pehanna, kaano me baliya pehanna, mehandi lagana, sar par aurato jaise
lambey baal rakhna, make-up karna, daadhi mundna, phool pehanna jaisa ke dulha sehra pehanta
hai uski shaadi me, kapdo ko takno se niche latkana.
Mard ki mushahibat jo aurat karti hai: jeans/shirt pehanna, sar nanga rakhna, salwaar ko apne
takno se upar rakhna, tang(tight) kapde pehanna, sar ke baalo ko mardo jaise chote karna, mardo
jaise chalna, mardo jaise baat karna.
Aap(saw) ne farmaya: Jo Aurat khushbo laga kar ghar se bahar nikal thi hai aur wo khushbo kisi
na-mahram mard ki naak tak pahunchti hai, Aap(saw) aisa 3 baar farmate hai: fa hi ya
Zaniyatun! Zaniyatun! Zaniya. ye badkaar Aurat hai, badkaar Aurat hai, badkaar Aurat hai.
>Musnad Ahmad:4/418
Jo Auratein khushbo laga kar, phool, itar, face powder, lipstick, body spray, make-up kar ke
shadiyo me, shopping ke liye jaati hai, dewaro, na-mahram mardo se gupshup (baatein) karti hai,
un se hansi-masaaq karti hai, aisi Aurato ko Aap(saw) ki baaton par ghor karna chahiye, Jinka
inho ne kalma pada hai.
Aap(saw) ne farmaya: Jo Aurat khushbo laga kar Masjid me namaz padne ke liye jaye, is haal
me ke uske jism se khushbo aa rahi ho, uski namaz us waqat tak kabool nahi hoti, jab tak wo
ghusl-e-janabat ki tarah ghusl na karle.
>Musnad Ahmad:2/444
Jaise farzi ghusl hai, janabat ka ghusl hai, agar wo janabat ke ghusl ki tarah ghusl karti hai toh
uski namaz kabool hoti hai, agar wo ghusl-e-janabat ki tarah ghusl nahi karti toh uski namaz
kabool nahi hoti.
Jo Auratein Masjid me itar, make-up, phool, body spray aur jo cheez khushbo deti hai, use laga
kar jane se un Aurato ki namaz hi kabool nahi hoti.
Chehara ka parda zaroori hai, kyu ke chehara hi fitna ka bayis hota hai, toh face veil aur
KHIMAR yani lamba kapda jo peet tak padta hai, bahoot zaroori hai.
Sar ya choti ke baalo ko dikana HARAM hai, burqa bilkul dhila hona chahiye, transparent yani
patla na ho, jis se andar ka libhaz dikhayi de.
Koi bhi color design ya chamki ka design burqa pe HARAM hai, burqe par golden buttons ko
rakhan bhi zeenat ko zahir karna hai, aisa karna manaa hai. Haato me dastana pehanna bhi wajib
hai, burqa ko ek haat apne takno se niche rakhna chahiye.
Aap(saw) ne farmaya: Kisi na-mahram Aurat ke jism ko haat lagana, usko choo ne se behtar hai
ke lohe ki salaak ko apne sar par marwa kar bardast karle, is se behtar hai ke lohe ki salaak, iske
sar me maar di jaye.
>Tabrani:20/212, Sahih Al Jaami:4921
Jo log na-mahram ladkhiyon se haat mila te hai, un se gale milte hai, is se behtar hai ke wo ek
lohe ki salaak ko apne sar me maar lein aur us dard ko bardasht kar lein.
Agar aisa nahi kar sakte ho aur hargiz nahi kar sakoge, toh na-mahram ladkhiyon aur Aurato se
door raho.
Aap(saw) ne farmaya: Aye Aurato! apne dewaro aur jheeto se waise hi dara karo, jaise apni mout
se darti ho.
Sahaba ne Aap(saw) se pucha ke kya dewar se bhi parda hai?
toh Aap(saw) ne farmaya: Dewar toh mout hai mout.
>Bukhari
Ye bahoot badi bimari hai, apni biwiyon ko apne bhaiyon se door rakho, unko parda karwaao.
Log kehte hai ke bhabi toh Maa jaisi hai, us se kaisa parda. Hum kehte hai ke phir in Maa-beto ki
vardatein kyu pesh aati hai???
Aap(saw) ne farmaya: Agar kisi Aurat par achaanak nigah pad jaye toh nazar pherlo, doosri
nigah us par na daalo.
>Abu Dawood:2149
Rasul(saw) ne farmaya: Jaha koi na-mahram Mard aur na-mahram Aurat tanha akhele me ikatta
hote hai, toh unka teesra Shaitan hota hai.
>Tirmizi:3/474
Aap(saw) ne farmaya: Jo Aurat Allah aur aakhirat par imaan rakhti ho, uske liye hargiz jayaz
nahi ke wo bina mahram (Mard) ke ek din ka safar kare.
>Muslim:2/977
Aurat ko saree nahi pehan'na chahiye, is me pura satar nahi dakta. Kamar, sar wagera khula rehta
hai. Ye hinduo ka libhaz hai, islam ka nahi.
Aap(saw) ne farmaya: Jo jis qaum ki Mushabat iqtiyar karega, wo unhi me se hoga (Qayamat ke
din unhi logo ke saath utaya jayega).
>Tirmizi
Kuch log shadi ke baad apni biwi ko gale me lachcha, kali manko ki dori, pairo ki ungliyo me
challa pehna dete hai, ye bhi Kuffar(Rajputo) se liya gaya hai. Pairo ki patti, jis se awaz ati ho,
usko pehan'na haram hai.
Hindustan ke Musalmano ne hinduo ki mushabat karte karte islam ko hi badal diya, kuffar ka
taur tarika islam me daqil kiya taaki hindu khush rahe, ye samjota islam me nahi, Aap(saw) jis
Deen ko lekar aaye te, is me in cheezo ki ijazat hargiz nahi hai.

You might also like