You are on page 1of 1

Ustad Aziz Ahmed Khan Warsi (Page 2) | 489265

Page 1 of 1

Quawwal & Music: Aziz Ahmed Khan Warsi Lyrics: Amjad Hyderabadi Jo maangna hai musabbib-e-sabab se maango (musabbib-e-sabab = one who shows) Minnat se, KHushaamat se, adab se maango ( the logical path; in this) Kyun GHair ke aage haath phailaate ho (context = God) Bande ho agar Rab ke to Rab se maango Maayus saayal ne jab ghar ki raah li |(saayal=sawaal karnewaala, beggar) Aankhon me aansu thhe, thhi jholi KHaali (|Maayus=disheartened, )depressed) Itne me Rehmat jhunjlaake ke boli Maayus jaata hai kyun haath KHaali Saayal idhar aa, phir maang, phir maang KHush hote hain hum, teri sada se Aa phir sada de, dilkash ada se Ai bande mat rooTH apne KHuda se Le haath phaila, phir maang, phir maang Aa aa idhar aa, phri maang, phir maang Kis se muquaatib hi, kya keh raha hai Kya teri KHwaaish hai, kya mudduaa hai Sar ko paTak-kar kyun ro raha hai Humne to dene ka waada kiya hai Le haath phaila, phir maang, phir maang Paida Sikander ko kisne kiya thha Aadam ke haathon me kisne diya thha Tu kya samajhkar waapas chala thha Maayus jaane ko kisne kaha thha Aa aa idhar aa, phir maang, phir maang Hum apni Shaan-e-Rehmat dikhaaen Sab aarzuen teri bar laaen & nbsp; Tu maangta ja, hum dete jaaen Tu chup na hoja, phir maang, phir maang Tu maangtaja, hum dete jaaen Le haath phaila, phir maang, phir maang ( |bar laana = poori karna)

Ab ye sukoon hai, ye bequaraari Zor aur zar se, behtar hai zaari & nbsp; (zor=force, zar=wealth, zaari=mehnat) Chhai hai tujh par, Rehmat humaari Har dam Humaare Fazl-o-karam ka Jaari hai dariya, phir maang, phir maang Tu hai bhikari, Hum hain daata Le bharle "Amjad" kaasa hawas ka Hum bhi to dekhen, hai zarph kitna Le haath phaila, phir maang, phir maang Aa aa idhar aa, phir maang phir maang (kaasa = vessel or begging bowl; or "bartan" hawas = desire zarph = capacity)

http://www.india-forums.com/forum_posts.asp?TID=489265&TPN=2

6/2/2011

You might also like